आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah


Welcome to Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah



Hazrat anas raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya. Jis shakhs nai chalees Din musalsal jamaat kai sath iss tarha namaz ada ki kai. Wo takbeer oola sai jamaat mai shareek raha. Uskai liyai Do cheezo sai braat or hifazat ka faisla ho gaya. Jahannum ki aag sai braat wa hifazat or nifaq sai braat wa hifazat... 


Deeni aamal mai namaz purai deen ka sarchashma hai. Namaz aadmi KO buraiyo sai Rokti bhi hai. Or puri zindigi mai khuda ki bandigi kai liyai taayaar bhi karti hai. Deen mai namaz ka muqam wahi hai.  Jo jismai insaani mai sar ka hai. Namaz ka qiyam darasal deen ka qiyam hai. Or jo shakhs namaz ki hofazat nhi kar sakta wo hargis deen ka pairow nhi ho sakta... 


Hazrat umar raziallahutaala anho nai apnai gawarnaro KO likha tha. Tumharai saarai kamo mai sabsai badkar ahaimyat meray nazdeek namaz ki hai. Jisnai namaz ki hifazat ki or uski daikh bhaal karta raha usnai apnai purai Deen ki hifazat ki. Or jisnai namaz ko zaaya kar diya. too wo dusri deeni cheezo ko or ziyadah zaaya karnai wala hoga... 


Namaz ki yai ahaimyat or azmat samnai rahai too iss baat ko samajhnai kai liyai kisi daleel wa hijjat ki zarurat nhi rehti kai. Namaz ki paabandi or hifazat karnai wala shakhs yaqeenan jahannum sai bhi mehfooz hai or nifaaq sai bhi... 


Iss liyai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualyhiwasallam nai saadah andaaz mai mehaiz yai baat nhi samjhaee balkai paighambraana baseerat wa hikmat kai sath aik aisa muharrak saamnai rakha or aisi kaamyaab tadbeer bataee kai. Har musalmaan kai andar paabandai namaz bannai ka shoq bhi paida ho or iss amli tadbeer sai wo waqaye namaz ka paaband bhi ban jaaye... 


Allaha kai bando kai kaam aana

Allaha kai bando kai kaam aana

Welcome to Allaha kai bando kai kaam aana



Jo bandah acchi niyat sai Allaha kai bando kai kaam aata hai. too Allaha taala bhi us bandai ka kaam aasaan Karta hai. Magar kuch log aisay hai. Jo kisi kai kaam bilkul bhi nhi aatai. Jaisai wo kisi par kuch kharch kar daingai. Wo log paisai laikar bhi kam nhi karana chahatai...


Badi hi choti soch rakhnai Walay log hai. agar kisi kaam mai mahir hai. ya kisi aisay insaan sai acchai taaluq hai. Jo kisi kamzor ka kaam bhohot aasaani sai kra sakta hai. Laiken yai log kisi kai kaam nhi aana chahatai. Kya maloom aisay log konsi soch laikar jeetai hai...


Agar tum Allaha kai kisi bhi Bandai kai kaam aaow gai. too Allaha bhi tumhara kaam banayega. Agar tum kisi par ahsaan krowgai too Allaha bhi tum par ahsaan krainga. Or Allaha hamesha hi apnai bando par ahsaan karta hai. Agar tum kisi par Raihaim krowgai too Allaha bhi tum par Raihaim krainga. Jaisi niyat hoti hai wasay hi milta hai. Jo bowgai Wahi kaatowgai...


Aajkal insaaniyat Marti ja rhai hai. Or hamdardi logo mai sai khatam hoti ja rahi hai. Ziyadahtar log sirf or sirf apnai hi baarai mai sochtai hai. unko kisi bhi Yateem garib ya kisi kamzor Allaha kai bandai ki koi fikr nhi hoti hai. kai wo jeeyai Ya marai unhai koi matlab nhi...


Allaha aisay kamzarf logo ko hidayat dai. Kai wo kisi kai kaam aa asakai. Agar yai log kisi kai kaam aa jaayengai too inka kya bigad jaayenga kisi ka kaam hi ban jaayega. Khali hath aaya tha khali hath jaayega. Shukr kar us Rabbul izzat ka jisnai Teri mout kai  waqt tujhai kafan ata farmaaya. Or teri paidaish Kai waqt teri maa ki godd Or uskai seenai mai teray liyai doodh utaara. wo bhohot hi gafurrurraheem hai. Or ham log bhohot hi nafarman Or zalim hai...

Duniya chaar din ki chandini Or akhrat hamaisha ka ghar. ((Kisi kai kaam aa jaayega tera kya bigad jaayega kisi ki Duwa sai tera akhrat mai ghar ban jaayega))...

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk 


Welcome to Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk



Hazrat jabir raziallahutaala aanho nai Nabi Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai daryafat kiya. ya rasullala. mai apnai zair nigraani yateem KO kis surat mai maar sakta hoon? irshaad farmaaya. Jis bina par tum apnai bacchai KO saza daitai no. usi bina par usai bhi saza dai saktai ho... 


Laiken tum aisa na karna kai tum uskai maal kai bal bootai par apna maal bachanai ki koshish karo.  or na uskai maal mai sai kuch samaitnai or jama karnai ki koshish karna... 


Yai hadees wazaa andaaz mai batati hai. Kai musalmaan gharano mai yateem kai sath husnay suluk ka kya matlab hai. Khuwa wo yateem apna Rishtaidaar ho ya koi ghair or ajnabi ho. Yateem ki nigraani or tarbiyat isi tawajjai; Shafqat or dard mandi kai sath ki jaaye... 


Jis tarha apnai bacchai ki tarbiyat or nigraani ki jaati hai. or uskai maal wa jaaydaaad ki usi tarha hifazat ki jaaye. Jis tarha apnai maal ki hifazat ki jaati hai. Yai nhi kai yateem kai maal kai bal bootai par apnai maal ko bachanai or mehfooz rakhnai ki koshish ki jaaye... 


Yateem ki kifalat or husnay suluk ki targheeb daitai huwai Nabi Huzur hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai uska wo ajar or sila bataya hai. Jo aik momin ki sabsai badi tamanna ho sakti hai. Yani jannat mai Nabi Huzur sallallahualyhiwasallam kai sath rehnai ki saaadat. Aap Huzur sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya... 


Jo shakhs apnai ya kisi or kai yateem ki kifaalat kraiga. Wo jannat mai meray sath iss tarha rahaiga.  Aap Huzur Hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai kalmai ki ungli or beech ki ungli sai isharah farmaaya or Dono kai darmiyaan zara saa fasla rakha... 

Chotay baccho sai muhabbat

Chotay baccho sai muhabbat 


Welcome to Chotay baccho sai muhabbat



Chotay bacchai masoom hotai hai. hamai chotay baccho kai sath bhout pyar sai paish aana chahiye. Allah kai habeeb Huzur hazrat Muhammad mustafa sallallahualyhiwasallam chotay baccho sai bhout muhabbat kartai thai. Or baccho kai sath bhout hi pyar sai paish aatai thai... 


Ham logo ko bhi chahiye kai chotay baccho kai sath bhout hi pyar or shafqat sai paish aana chahiye. Yai nhi hona chahiye kai apnai baccho ko baccha samjhai or dusro kai baccho ko baccha nhi samajhna. Unkai saath bura suluk karna. aisay log hi hamaray muaashray ko kharab kartai hai... 


Apna khoon khoon or dusro ka khoon paani. Yai kaisai log hai. Ya too aisai logo ko Deen ki maalumaat hi nhi hai. Ya yai log Amal hi karna  nhi chahatai. Bas Allah taala aisay logo ko hidayat ata farmaaye. kai wo insaan ko insaan samjhai. Or dusro kai baccho ko bhi apnai baccho hi ki Tarha samjhai.... 

Naarai jahannum sai aad

Naarai  jahannum  sai  aad 


Welcome to Naarai  jahannum  sai  aad




Hazrat aayesha raziallaahutaala anho farmaatai hai. Meray pass aik ourat apni Do ladkiyo ko liyai huwai maangnai kai liyai aaye. Us waqt meray pass kuch na tha. Bas aik khajoor thi. Wahi khajoor mai nai uskai hath par rakh di. usnai Wahi khajoor apni Dono baitiyo Ko aadhi aadhi dai di. Or khud zra nhi chakhi. Phir uthi or chali gaye...


Uskai baad Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ghar aaye. too mai nai unko yai waqiya sunaya. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Jo shakhs bhi inn bachchiyo Kai zaryai aazmaaish mai daala gaya. Or usnai unkai sath husnay suluk kiya. too yai bachchiya uskai liyai jahannum ki aag sai aad ban jaayegi...


Duniya mai ladki ki zaat sai kisi maaddi faydai ki towaqqa na ho too na sahi. Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ki sadaqat Or akhrat par yaqeen rakhnai Walay maa baap kai liyai ladki kai sath husnay suluk ka ussai bda quvvi mehrak Or kya hoga kai. yahi kamzor bachchiya Qayamat kai Roz uskai liyai jahannum ki bhadakti aag sai aad ban jaayegi...



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk

Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk


Welcome to Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk ki taakeed ka matlab yai hai kai. Agar maa baap apni sakht mizaji ya tang mizaji sai aisay mutalbaat karnai lagai. Jin ka pura karna oulaad kai liyai dushwaar ho. Ya oulaad ki quvvatai bardasht ka khayaal kiyai baghair ziyadah sai ziyadah jismaani mehnat lainai lagai. Ya oulaad ki hasiyat sai ziyadah maali mutalbaat karnai lagai...


Tab bhi oulaad ko chahiyai kai wo apnai jazbaat par qabu rakh kar apnai upar jabar karkai unki khidmat krai. Or unkai sath naik suluk krai. Is Surat mai agar cha oulaad par ataaat wajib nhi hai. Kyunkai Allaha kisi par uski bardasht sai ziyadah bojh nhi dalta...


Laiken ataaatai waldain ka darjaye kamaal baihairhaal yahi hai. Kai oulaad apni parwa kiyai baghair maa baap ki khidmat mai apni zindigi khapa dai. Or unhai Razi rakhai or aaraam pohchanai kai liyai apna sab kuch taj dai. Ha agar wo koi aisa mutalba krai jissai dusro ka Haq maara jaata ho. Or jiska koi takleef deh asar dusro par padta ho...


Ya jissai barahai raast khuda kai Hukum ki khilafai warzi hoti ho. too aisi surat mai waldain ki ataaat wajib nhi. misaal kai towr par wo kisi ka maali Haq ada karnai sai roktai ho. Ya ladki ko shohar ki Nafarmani par bila wajah aamaadah kartai ho. Ya ladkai Ko biwi Kai sath bila wajah ziyadati kai liyai majboor kartai ho. ya oulaad ko Deen sai baghawat par aamaadah kartai ho. too aisey surat mai waldain ki ataaat hargis jaaiz nhi...


Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. (uski naak khaak aalowd ho). Teen baar Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai yai baat farmaaye. Logo nai kaha. Aey Allaha kai Rasul huzur sallallahualayhiwasallam. Kon zaleel ho? Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya wo shakhs jisnai apnai waldain ko budhapai ki haalat mai paaya. UN dono mai sai aik ko ya dono ko or phir unki khidmat karkai jannat mai dakhil na huwa...



Musalmaan muaashray ka behtreen ghar

Musalmaan muaashray ka behtreen ghar 



Welcome to Musalmaan muaashray ka behtreen ghar




Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Musalmaano mai sabsai behtar ghar wo hai. Jismai koi yayeem ho. Or uskai sath accha suluk kiya ja raha ho. or musalmaano mai badtareen ghar wo hai. Jismai koi yateem ho or uskai sath bura suluk kiya ja raha ho...


Musalmaan muaashray mai agar kisi ghar mai koi yateem hai. Or ghar Walay uskai sath husnay suluk kar rahai hai. Ghar mai usai izzat wa shafqat bhi hasil hai. Or uska maal bhi mehfooz hai. too yai shahadat hai. iss haqeeqat ki kai yai ghar musalmaan muaashray ka behtreen ghar hai...


OR agar kisi ghar mai yateem kai sath bura suluk ho rha hai. usai haqeer Or zaleel samjha ja raha hai. har waqt dhutkaara ja rha hai. Or uskai maal ko hadap kiya ja rha hai. ya barbaad kiya ja rha hai. too yai shahadat hai iss baat ki kai yai musalmaan muaashray ka badtareen ghar hai...


Quraan wa sunnat mai yateemo Kai sath husnay suluk ki intaihaaye taakeed  ki gaye hai. Nuzulai Quraan sai Pehlai bhi yateemo Kai sath nihayat zillat ka suluk hota tha. Or aaj bhi iss kamzor makhlooq kai sath intaihaaye haqarat ka bartaow hota hai...


Islaam taakeed karta hai. Kai unkai maal wa jaydad ki hifazat ki jaaye. mumkin ho too usko badhanai ki koshish ki jaaye. Or unkai maal wa jaydad ko zaaya karnai or hadap karnai ko badtareen jurm qarar diya gaya hai. Quraan ki aayaat hai. ( JO LOg yateemo ka maal Na Haq khatai hai Dar haqeeqat wo apnai pait mai aag bhartai hai or wo laazman jahannum ki bhadkti aag mai jhookai jaayengai )...



Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...