आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Gussa door karnai ka elaj

Popular Posts

Showing posts with label Gussa door karnai ka elaj. Show all posts
Showing posts with label Gussa door karnai ka elaj. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Gussa door karnai ka elaj

Gussa door karnai ka elaj



Welcome to Gussa door karnai ka elaj



 Hum logo ko maloom hona chaiyai. Kai Gussa bhi amraaz ki nishani mai sai aik marz hai. gussai sai khud apnai aap ko bhi nuqsaan hota hai. Or dusro ko bhi Gussa paida hota hai. Safra kai josh mai baaz martaba uski ziyadati sai Roh or hararatai gharizee bahar aa jati hai. Or uski wajah sai bukhar,sar Dard khafqaan, ghashi Or un kai ilawa tarha tarha kai amraaz paida ho jatai hai. Or baaz dafa yaha tak nobat pouch jati hai. kai kufriya kalmat zubaan sai nikalnai lagtai hai. Aisai shakhs ki izzat or waqar logo ki nazro mai kam ho jata hai. Or aisai shakhs kai dushman bhout hotai hai. Or dost kam. Gussai sai hasad, keena Or bughz wa adawat jaisai amraaz paida hotai hai. Aisai shakhs ko agar qudrat hasil ho too dusro ko nuqsaan pouchata hai. Or agar qudrat na ho too wo khud apni hi jaan ko halak karta hai. Gussai mai insaan galiya dainai lagta hai. Apnai kapdai phad dalta hai. Or nobat yaha tak pouhoch jati hai kai wo khudkushi ki koshish karta hai. isiliyai aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya hai. Kai aey logo Gussa wo chingari hai jo admiyo kai dilo mai sulgaye jati hai. Or gussai ki aag Honai ki daleel yai hai. Kai Gussai ki halat mai aankhai surkh ho jati hai. Gardan ki ragai phool jati hai. Rang mutaghayyer ho jata hai. Or pura jism josh mai aa jata hai...


iss hadees sai maloom huwa kai Gussa aik aag hai. Jo dil mai paida hoti hai. Or phir badan par zahir hoti hai. isliyai insaan ko chaiyai kai iss aag sai apnai aap ko bachayai. Or agar Gussa aa hi jaye too hadees shareef mai uskai teen elaj byan huai hai. Aik elaj too yai hai kai thanda pani pee lai. Or thandai pani sai wazu krai. Chanancha Hakim ali shairazy qanoon ki sharah mai likhtai hai kai Gussai ki halat mai Ruh Or hararat gharizee insaan ki harkat mai hoti hai. usi waqt thanda pani peenai or badan par dalnai sai mukammal nafaa hasil hota hai. Dusra elaj yai hai kai. Gussai kai waqt aadmi agar khada hai too baith jayai or agar baitha hai too lait jayai...


Baaz olma nai likha hai. Kai lait janai sai aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ki murad yai hai. Kai admi aajzi karnai lagai or apnai nafs ko samjhai kai. Mitti sai paida huwa hai. Phir aag sai kyun khailta hai. Zameen ko daikh kai uspar paishab pakhana kartai or gandigi daltai hai. Or zameen harcheez ko bardasht karti hai. Tujhai bhi chaiyai kai too jis cheez sai bna hai. Yani mitti sai usi ki hars kar. Tujhai aag sai kya kaam. Kyunki yai aag hi thi jisnai shaitaan ko kafir kar diya. Or teesra elaj huzur sallalahualayhiwassalam nai bataya hai. Kai Gussai kai waqt Allaha taala ko yaad krai or aaouzo billahi minashshaitaanirrajeem padai. Kyunki Gussa karna shaitaan ka kaam hai. Or hazrat aadam alayhisalam par sabsai Pehlai usi nai Gussa kiya tha. Jiski wajah sai us haal ko poucha. Hamai chaiyai kai iss waqai sai ibrat hasil karkai Gussai ko dafa krai. Or yai Jo farmaya gaya hai kai khuda ko yaad krai. Iska matlab yai hai kai apnai nafs ko samjhai. Kai too din bhar khuda ki nafarmani Or gunah karta rahta hai. Or khadai taala bawajood har qism ki qudrat kai maaf farmata rahta hai. Or too to Aajiz tareen makhlooq hai. Tujhai bhi chaiyai kai har waqt afu kiya krai taki qayamat kai din tairay gunah maaf ho...
  

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...