Musalmaan muaashray ka behtreen ghar
Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Musalmaano mai sabsai behtar ghar wo hai. Jismai koi yayeem ho. Or uskai sath accha suluk kiya ja raha ho. or musalmaano mai badtareen ghar wo hai. Jismai koi yateem ho or uskai sath bura suluk kiya ja raha ho...
Musalmaan muaashray mai agar kisi ghar mai koi yateem hai. Or ghar Walay uskai sath husnay suluk kar rahai hai. Ghar mai usai izzat wa shafqat bhi hasil hai. Or uska maal bhi mehfooz hai. too yai shahadat hai. iss haqeeqat ki kai yai ghar musalmaan muaashray ka behtreen ghar hai...
OR agar kisi ghar mai yateem kai sath bura suluk ho rha hai. usai haqeer Or zaleel samjha ja raha hai. har waqt dhutkaara ja rha hai. Or uskai maal ko hadap kiya ja rha hai. ya barbaad kiya ja rha hai. too yai shahadat hai iss baat ki kai yai musalmaan muaashray ka badtareen ghar hai...
Quraan wa sunnat mai yateemo Kai sath husnay suluk ki intaihaaye taakeed ki gaye hai. Nuzulai Quraan sai Pehlai bhi yateemo Kai sath nihayat zillat ka suluk hota tha. Or aaj bhi iss kamzor makhlooq kai sath intaihaaye haqarat ka bartaow hota hai...
Islaam taakeed karta hai. Kai unkai maal wa jaydad ki hifazat ki jaaye. mumkin ho too usko badhanai ki koshish ki jaaye. Or unkai maal wa jaydad ko zaaya karnai or hadap karnai ko badtareen jurm qarar diya gaya hai. Quraan ki aayaat hai. ( JO LOg yateemo ka maal Na Haq khatai hai Dar haqeeqat wo apnai pait mai aag bhartai hai or wo laazman jahannum ki bhadkti aag mai jhookai jaayengai )...