आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : August 2023

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard


Welcome to Sabsai accha mard



Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo apnai ikhlaq mai sabsai acchai hai. Or tum mai sabsai acchai wo hai. Jo apni biwiyo kai Haq mai sabsai acchai hai. imaan khuda or uskai Deen par pukhta yaqeen ka naam hai...


Imaan wa yaqeen nazar aanai wali cheez nhi hai. Jo kuch hamai nazar aata hai. wo insaan kai ikhlaq or maamlaat or bartaow hai. imaan kis darjai ka hai. Uska andazah ham ikhlaq or bartaow sai hi kar saktai hai. Imaan sai acchai ikhlaq, acchi aadtay, acchai maamlaat or acchi sifaat hi paida hoti hai. Dil mai agar imaan mowjood hai too amli zindigi mai ussai naikiya hi phootaingee...


Naik ikhlaq or pasandeedah sifaat imaan Kai laazmi samraat hai. Or jo shakhs ikhlaq khoobiyo sai aaraasta hai. wo yaqeenan mominai kaamil hai. Phir acchi aadat,acchai ikhlaq or acchai bartaow ko janchnai ka pehla Or asal fitri maidaan gharailu zindigi hai. Or bilkhosoos zindigi ki wo sharikai hayaat hai. Jo aqdai nikah mai aanai kai baad mard ki zindigi mai sabsai ziyadah dakheel, sabsai ziyadah qareeb or hamah waqt mutaaluq hai...


Sharikai hayaat kai sath zindigi guzarnai hi mai mizaj wa ikhlaq or seerat wa kirdaar ka har rukh saamnai aata hai. Gharailu zindigi mai tasannaa Or banawat ka pardah ziyadah dair tak pada nhi reh sakta. iss maidaan mai jo shakhs narm mijaaz, insaaf pasand, aisaar paisha, kashadah Dil, burdbaar, hamdard wa gham gusaar hai. too wo yaqeenan musalmaan ki sosaiety ka sabsai behtreen aadmi hai...


Gharailoo  zindigi mai azmat Or bhalaye ki baat yai nhi hai. Kai aadmi har waqt apni badaye jatayai kisi waqt apni baat neechi na honai dai. har waqt hukumraa bana rahai. taivree chadhayai rakhai. Or apna roab jamanai ki fikr mai rahai. Azmat, bhalaye or deendari ki baat yai hai kai. Ahailay khana kai sath aadmi, khush mizaaji, baitakallufi, diljoi, meharbani, shafqat, muhabbat, narmi, dildaari, afu wa darguzar or ghamgusaari sai paish aaye, gharailoo zindigi mai dilkashi Or khushgawari isi tarha paida ho sakti hai...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Momin apni momnah biwi sai, nafrat wa baizaari ka izhaar na krai. Agar uski koi aadat usai napasand hai. too ho sakta hai kai koi dusri khoobi usai pasand aa jaaye. Or phir yai bhi farmaya...


Tum mai sabsai behtar wo hai. Jo apnai ahailai khana kai Haq mai sabsai behtar hai. Or mai tum sabmai apnai ahailai khana kai liyai behtar ho. Yai hadees darasal Quraan hakeem Kai iss fiqray ki amli tashreehaat hai. wa aashirow hunna bilmaaroof (Or unkai sath acchai suluk ki zindigi guzaro)...













 

iMAANDAAR iNSAAN OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT

iMAANDAAR  iNSAAN  OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT


Welcome to iMAANDAAR  iNSAAN  OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT


Assalamualykum dosto aaj kai dowr mai baiimaani jagah jagah hai. magar imandaari to sirf imaanimaandaaro mai hi paaye jaati hai. aaj log chand paiso kai khatir apna imaan baich daitai hai. or apnai partner ya jinkai sath business kartai hai. Chand paiso Ki lalach kai khatir apnai business partner ko dhokha daitai hai. Lakin wo is baat ko bhool jaatai hai kai chand paiso Ki lalach kai khatir apna bda munafa kho daitai hai. 



Kuch bhi karo kitna bhi kisi no dhoka daido baiwaqoof bna lo. Magar kab tak or kitnai din. Aik na aik din sacchaye to saamnai aa hi jaati hai. Wo khud ko kuch ziyada hi aqalmand samajhta hai. Kai kabhi kuch pta hi nhi chalega. Yai us shaks Ki kam aqli hai.



iNsaan lalach mai aakar bas thorai sai munafai kai  liyai apnai business man partner ko dhoka daita hai. Lakeen jhoot hamesha zinda nhi rehta aik na aik din sach kisi na kisi shakal mai saamnai aa hi jaata hai.


Magar imaandaar aadmi yahi chahata hai kai usko imaandaar hi business partner milai. Waisai to har business man imandaar hi partner chahata hai. Kisi nai sahi kaha hai. 100 din chor kai or aik din kotwal ka.


Agar yai jo kuck baiimaan log agar imaandaari sai kaam kartai to inko puri zindigi rona nhi padta. Ziyada khanai kai chakkar mai yai log jo zarurat kai layaq hai usko bhi gawa daitai hai. 


Badai hi kam aqal log hai. Agar aapnai apni imaandaari sai kisi ka dil jeet liya. to yai aapkai liyai badi khushkismati Ki baat hai.agar aapnai kisi ka dil dukha diya or aik  uski nazro sai gir gaye to kabhi uski nazro mai acchai insaan nhi ban saktai.


Har iNsaan ko chahiye kai business mai nfa nuqsaan to chalta rehta hai. magar sabsai bda nuqsaan to jab hai. Ki jab aap kisi ki nazro mai gir jaow. Phir aap kitni bhi koshish karlo. Uski nazro mai aik ghatiya insaan hi bankar reh jaaowgai.


Dosto aap logo sai sirf itni guzarish hai. Ki business ya apnai niji kaamo mai mila baat kar nfa ya nuqsaaf utaouw. Jaisai aap insaan hai wo bhi insaan hai or jaisai aapka ghar baar hai waisai hi uska bhi ghar baar hai.



Kehnai ka maqsad yahi hai Ki. Kisi ko dukh daikar aap bhi dukh sai nhi bach saktai. Kyunki khuda sabka hai. wo sab dekh raha hai jo tum kar rahai ho. kisi ka paisa haram tareeqai sai khakar aap duniya ki aish Ki cheezai to kharid saktai ho. Lakeen sukoon kabhi nai kharid saktai...



Agar chain or sukoon kharid saktai ho to kharid kar dekhaow. Duniya or akhrat ka faisla yahi hai sahab jaisi karni waisi bharni hai janab.


Shukriya...


INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai

INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai 



Welcome to INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai


 Assalamualaykum dosto aaj kai door mai to jaisai insaaniyat naam ki cheez jaisai khatam hi ho gaye hai. log bhout ziyada matlabi ho gaye hai. bas insaan ki haisiyat itni hi reh gaye hai kai wo sirf kaam kai liyai hi yaad aanai laga hai. baaki ussai sai kitna bhi accha Rishta kyun nhi ho. apnai matlab par hi yaad aata hai. is waqt jaisa dowr chal raha hai. bas har insaan paisai kamanai ki bukh mai laga huwa hai.paisa kamana acchi baat hai.



lakeen insaan itnai takabbur or ghamand mai mubtala hota ja raha hai kai wo insaan ko insaan hi nhi samajh raha hai. jaisai duniya mai hamaisha rahaiga or usko marna hi nhi hai. or jaisai mout too sirf gareebo ko hi aayegee. or ameer to jaisai paisai kai bal par mout ko bhi kharid laingai. yai uski bewakoofi hai kai.kai chand paisai kama kar logo kai sath janwaro sai bhi badtar suluk kartai.




magar kuch ameer gareebo yateemo bewaou kai sath insaniyat dekhatai hai or apnai Rab sai dartai hai kai unhai bhi apnai Rab kai pass lotkar jaana hai. or duniya ki zindigi ko chand din ki zindigi samjhtai hai. or apni maal dolat acchi jagah kharch kartai hai. kehnai ka matlab yai hai kai insaan ki hasiyat nhi kai kisi kai sath acchai kar sakai.yai sab to allah hi ki taraf sai hai. Allah daita hai to banda kharch karta hai.Agar Allah nhi dai to banda kya kraiga bataow zara. insaan ko kisi ko bhi  kamzor ya chota gira huwa nhi samajhna chahiyai. asli insaan wahi hai jo sab par rahaim krai. shukriya...




Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai

 Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai


Welcome to Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai



Dosto aaj hamarai samaj mai dekhawai ki zindigi kaafi badhti ja rahi hai. 


Aaj  ameer apnai baitai or baitiyo ki shaadi mai najaanai kitnai programme or kitnai khanai kar rahai hai.


Lakin isi kai chaltai gareeb aadmi apnai baitai or baitiyo ki shaadi mai kaafi pareshaan hai. Kyunki aaj ameer to apni shadiyo mai kaafi paisa utha rahai hai.


Laiken isi mai hi kuch log ameero ki kaafi siyali kartai hai. Or agar unkai paas paisai nhi bhi ho to bhi wo karz laikar kaafi dhom dhaam sai shadiya kar rahai hai.



OR phir baad mai us karz ko chukaanai mai unhai kaafi jhokhim uthana padhta hai. Or yaha tak ki karz chukani mai apna ghar baar tak baich daaltai hai.


Yai asil mai inki shaadi nhi barbaadi hai. Bas apni jhooti shaan bananai kai liyai yai log kya kuch nhi kartai.


Insaan ko jitni chadar ho utnai hi pair pasarnai chahiyai. laiken aaj kai dowr mai log paisai walo ki kaafi siyali kar rahai hai.


OR isi chakkar mai gareeb aadmi kaafi pareshaan hai kai ham apnai baitai baitiyo ki shaadi kaisai krai.


OR phir ameero ki shaadi kai function dekhkar baiti walo sai bhi dusri paati walai tarha tarha ki farmaishai kartai hai.


OR aajkal to gareeb baitai walo sai bhi gareeb baiti walai kaafi farmaishai kar rahai hai.


Mehndi ka khana karnai ko kaafi zor diya jaata hai. Or baiti walo sai bhi khanai ki farmaish ki ja rahi hai.


Kuch chichorai gareeb kehtai hai. ham gareeb hai. laiken kaam saarai ameero walai yani khanai peenai or ghomnai phirnai ki siyali ameero wali.


Bhalai sai jab mai aik paisa na ho.par kuch gareeb aisai hai. jo apni jhooti shaan bananai mai lagai huai hai.


Aisai hi logo nai ameero ki siyali kar karkai jo acchai gareeb yani kaydai kai log hai unko bhi badnaam kar rakha hai.


Magar aisa nhi hai kai sab ameer apnai paisai ka rob jhartai hai. kuch ameer bilkul saadi zindigi jeetai hai.


OR logo ko bhanak tak nhi hoti kai yai ameer hai. dekhko dosto ameer ho ya gareeb zindigi saadgi mai hi katna chahiyai.


Baki unki marzi wo apnai paisai ka dekhawa krai ya nhi. ghamandi insaan hi apnai paiso ka dekhawa karta hai.


Jo gairatmand gareeb hai wo to apni izzat hi banatai banatai mar jaatai hai. Or is duniya sai izzat banatai banatai hi Allah Rabbul izzat kai pass chalai jaatai hai.


OR kisi kai saamnai hath nhi phailaatai hai. Bhalai sai bhukhai mar jaaye. Yahi asal mai sacchai or acchai gareeb log hai.


Aisai hi kuch ameer chichoro nai sahi acchai ameer logo ko badnaam kar rakha hai. 


100 baat ki aik baat ameer ho ya gareeb jitni chadar ho utnai hi pair pasarnai chahiyai. 

Shukriya...

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah


Welcome to Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah



Hazrat anas raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya. Jis shakhs nai chalees Din musalsal jamaat kai sath iss tarha namaz ada ki kai. Wo takbeer oola sai jamaat mai shareek raha. Uskai liyai Do cheezo sai braat or hifazat ka faisla ho gaya. Jahannum ki aag sai braat wa hifazat or nifaq sai braat wa hifazat... 


Deeni aamal mai namaz purai deen ka sarchashma hai. Namaz aadmi KO buraiyo sai Rokti bhi hai. Or puri zindigi mai khuda ki bandigi kai liyai taayaar bhi karti hai. Deen mai namaz ka muqam wahi hai.  Jo jismai insaani mai sar ka hai. Namaz ka qiyam darasal deen ka qiyam hai. Or jo shakhs namaz ki hofazat nhi kar sakta wo hargis deen ka pairow nhi ho sakta... 


Hazrat umar raziallahutaala anho nai apnai gawarnaro KO likha tha. Tumharai saarai kamo mai sabsai badkar ahaimyat meray nazdeek namaz ki hai. Jisnai namaz ki hifazat ki or uski daikh bhaal karta raha usnai apnai purai Deen ki hifazat ki. Or jisnai namaz ko zaaya kar diya. too wo dusri deeni cheezo ko or ziyadah zaaya karnai wala hoga... 


Namaz ki yai ahaimyat or azmat samnai rahai too iss baat ko samajhnai kai liyai kisi daleel wa hijjat ki zarurat nhi rehti kai. Namaz ki paabandi or hifazat karnai wala shakhs yaqeenan jahannum sai bhi mehfooz hai or nifaaq sai bhi... 


Iss liyai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualyhiwasallam nai saadah andaaz mai mehaiz yai baat nhi samjhaee balkai paighambraana baseerat wa hikmat kai sath aik aisa muharrak saamnai rakha or aisi kaamyaab tadbeer bataee kai. Har musalmaan kai andar paabandai namaz bannai ka shoq bhi paida ho or iss amli tadbeer sai wo waqaye namaz ka paaband bhi ban jaaye... 


Allaha kai bando kai kaam aana

Allaha kai bando kai kaam aana

Welcome to Allaha kai bando kai kaam aana



Jo bandah acchi niyat sai Allaha kai bando kai kaam aata hai. too Allaha taala bhi us bandai ka kaam aasaan Karta hai. Magar kuch log aisay hai. Jo kisi kai kaam bilkul bhi nhi aatai. Jaisai wo kisi par kuch kharch kar daingai. Wo log paisai laikar bhi kam nhi karana chahatai...


Badi hi choti soch rakhnai Walay log hai. agar kisi kaam mai mahir hai. ya kisi aisay insaan sai acchai taaluq hai. Jo kisi kamzor ka kaam bhohot aasaani sai kra sakta hai. Laiken yai log kisi kai kaam nhi aana chahatai. Kya maloom aisay log konsi soch laikar jeetai hai...


Agar tum Allaha kai kisi bhi Bandai kai kaam aaow gai. too Allaha bhi tumhara kaam banayega. Agar tum kisi par ahsaan krowgai too Allaha bhi tum par ahsaan krainga. Or Allaha hamesha hi apnai bando par ahsaan karta hai. Agar tum kisi par Raihaim krowgai too Allaha bhi tum par Raihaim krainga. Jaisi niyat hoti hai wasay hi milta hai. Jo bowgai Wahi kaatowgai...


Aajkal insaaniyat Marti ja rhai hai. Or hamdardi logo mai sai khatam hoti ja rahi hai. Ziyadahtar log sirf or sirf apnai hi baarai mai sochtai hai. unko kisi bhi Yateem garib ya kisi kamzor Allaha kai bandai ki koi fikr nhi hoti hai. kai wo jeeyai Ya marai unhai koi matlab nhi...


Allaha aisay kamzarf logo ko hidayat dai. Kai wo kisi kai kaam aa asakai. Agar yai log kisi kai kaam aa jaayengai too inka kya bigad jaayenga kisi ka kaam hi ban jaayega. Khali hath aaya tha khali hath jaayega. Shukr kar us Rabbul izzat ka jisnai Teri mout kai  waqt tujhai kafan ata farmaaya. Or teri paidaish Kai waqt teri maa ki godd Or uskai seenai mai teray liyai doodh utaara. wo bhohot hi gafurrurraheem hai. Or ham log bhohot hi nafarman Or zalim hai...

Duniya chaar din ki chandini Or akhrat hamaisha ka ghar. ((Kisi kai kaam aa jaayega tera kya bigad jaayega kisi ki Duwa sai tera akhrat mai ghar ban jaayega))...

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk 


Welcome to Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk



Hazrat jabir raziallahutaala aanho nai Nabi Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai daryafat kiya. ya rasullala. mai apnai zair nigraani yateem KO kis surat mai maar sakta hoon? irshaad farmaaya. Jis bina par tum apnai bacchai KO saza daitai no. usi bina par usai bhi saza dai saktai ho... 


Laiken tum aisa na karna kai tum uskai maal kai bal bootai par apna maal bachanai ki koshish karo.  or na uskai maal mai sai kuch samaitnai or jama karnai ki koshish karna... 


Yai hadees wazaa andaaz mai batati hai. Kai musalmaan gharano mai yateem kai sath husnay suluk ka kya matlab hai. Khuwa wo yateem apna Rishtaidaar ho ya koi ghair or ajnabi ho. Yateem ki nigraani or tarbiyat isi tawajjai; Shafqat or dard mandi kai sath ki jaaye... 


Jis tarha apnai bacchai ki tarbiyat or nigraani ki jaati hai. or uskai maal wa jaaydaaad ki usi tarha hifazat ki jaaye. Jis tarha apnai maal ki hifazat ki jaati hai. Yai nhi kai yateem kai maal kai bal bootai par apnai maal ko bachanai or mehfooz rakhnai ki koshish ki jaaye... 


Yateem ki kifalat or husnay suluk ki targheeb daitai huwai Nabi Huzur hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai uska wo ajar or sila bataya hai. Jo aik momin ki sabsai badi tamanna ho sakti hai. Yani jannat mai Nabi Huzur sallallahualyhiwasallam kai sath rehnai ki saaadat. Aap Huzur sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya... 


Jo shakhs apnai ya kisi or kai yateem ki kifaalat kraiga. Wo jannat mai meray sath iss tarha rahaiga.  Aap Huzur Hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai kalmai ki ungli or beech ki ungli sai isharah farmaaya or Dono kai darmiyaan zara saa fasla rakha... 

Chotay baccho sai muhabbat

Chotay baccho sai muhabbat 


Welcome to Chotay baccho sai muhabbat



Chotay bacchai masoom hotai hai. hamai chotay baccho kai sath bhout pyar sai paish aana chahiye. Allah kai habeeb Huzur hazrat Muhammad mustafa sallallahualyhiwasallam chotay baccho sai bhout muhabbat kartai thai. Or baccho kai sath bhout hi pyar sai paish aatai thai... 


Ham logo ko bhi chahiye kai chotay baccho kai sath bhout hi pyar or shafqat sai paish aana chahiye. Yai nhi hona chahiye kai apnai baccho ko baccha samjhai or dusro kai baccho ko baccha nhi samajhna. Unkai saath bura suluk karna. aisay log hi hamaray muaashray ko kharab kartai hai... 


Apna khoon khoon or dusro ka khoon paani. Yai kaisai log hai. Ya too aisai logo ko Deen ki maalumaat hi nhi hai. Ya yai log Amal hi karna  nhi chahatai. Bas Allah taala aisay logo ko hidayat ata farmaaye. kai wo insaan ko insaan samjhai. Or dusro kai baccho ko bhi apnai baccho hi ki Tarha samjhai.... 

Naarai jahannum sai aad

Naarai  jahannum  sai  aad 


Welcome to Naarai  jahannum  sai  aad




Hazrat aayesha raziallaahutaala anho farmaatai hai. Meray pass aik ourat apni Do ladkiyo ko liyai huwai maangnai kai liyai aaye. Us waqt meray pass kuch na tha. Bas aik khajoor thi. Wahi khajoor mai nai uskai hath par rakh di. usnai Wahi khajoor apni Dono baitiyo Ko aadhi aadhi dai di. Or khud zra nhi chakhi. Phir uthi or chali gaye...


Uskai baad Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ghar aaye. too mai nai unko yai waqiya sunaya. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Jo shakhs bhi inn bachchiyo Kai zaryai aazmaaish mai daala gaya. Or usnai unkai sath husnay suluk kiya. too yai bachchiya uskai liyai jahannum ki aag sai aad ban jaayegi...


Duniya mai ladki ki zaat sai kisi maaddi faydai ki towaqqa na ho too na sahi. Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ki sadaqat Or akhrat par yaqeen rakhnai Walay maa baap kai liyai ladki kai sath husnay suluk ka ussai bda quvvi mehrak Or kya hoga kai. yahi kamzor bachchiya Qayamat kai Roz uskai liyai jahannum ki bhadakti aag sai aad ban jaayegi...



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk

Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk


Welcome to Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk ki taakeed ka matlab yai hai kai. Agar maa baap apni sakht mizaji ya tang mizaji sai aisay mutalbaat karnai lagai. Jin ka pura karna oulaad kai liyai dushwaar ho. Ya oulaad ki quvvatai bardasht ka khayaal kiyai baghair ziyadah sai ziyadah jismaani mehnat lainai lagai. Ya oulaad ki hasiyat sai ziyadah maali mutalbaat karnai lagai...


Tab bhi oulaad ko chahiyai kai wo apnai jazbaat par qabu rakh kar apnai upar jabar karkai unki khidmat krai. Or unkai sath naik suluk krai. Is Surat mai agar cha oulaad par ataaat wajib nhi hai. Kyunkai Allaha kisi par uski bardasht sai ziyadah bojh nhi dalta...


Laiken ataaatai waldain ka darjaye kamaal baihairhaal yahi hai. Kai oulaad apni parwa kiyai baghair maa baap ki khidmat mai apni zindigi khapa dai. Or unhai Razi rakhai or aaraam pohchanai kai liyai apna sab kuch taj dai. Ha agar wo koi aisa mutalba krai jissai dusro ka Haq maara jaata ho. Or jiska koi takleef deh asar dusro par padta ho...


Ya jissai barahai raast khuda kai Hukum ki khilafai warzi hoti ho. too aisi surat mai waldain ki ataaat wajib nhi. misaal kai towr par wo kisi ka maali Haq ada karnai sai roktai ho. Ya ladki ko shohar ki Nafarmani par bila wajah aamaadah kartai ho. Ya ladkai Ko biwi Kai sath bila wajah ziyadati kai liyai majboor kartai ho. ya oulaad ko Deen sai baghawat par aamaadah kartai ho. too aisey surat mai waldain ki ataaat hargis jaaiz nhi...


Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. (uski naak khaak aalowd ho). Teen baar Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai yai baat farmaaye. Logo nai kaha. Aey Allaha kai Rasul huzur sallallahualayhiwasallam. Kon zaleel ho? Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya wo shakhs jisnai apnai waldain ko budhapai ki haalat mai paaya. UN dono mai sai aik ko ya dono ko or phir unki khidmat karkai jannat mai dakhil na huwa...



Musalmaan muaashray ka behtreen ghar

Musalmaan muaashray ka behtreen ghar 



Welcome to Musalmaan muaashray ka behtreen ghar




Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Musalmaano mai sabsai behtar ghar wo hai. Jismai koi yayeem ho. Or uskai sath accha suluk kiya ja raha ho. or musalmaano mai badtareen ghar wo hai. Jismai koi yateem ho or uskai sath bura suluk kiya ja raha ho...


Musalmaan muaashray mai agar kisi ghar mai koi yateem hai. Or ghar Walay uskai sath husnay suluk kar rahai hai. Ghar mai usai izzat wa shafqat bhi hasil hai. Or uska maal bhi mehfooz hai. too yai shahadat hai. iss haqeeqat ki kai yai ghar musalmaan muaashray ka behtreen ghar hai...


OR agar kisi ghar mai yateem kai sath bura suluk ho rha hai. usai haqeer Or zaleel samjha ja raha hai. har waqt dhutkaara ja rha hai. Or uskai maal ko hadap kiya ja rha hai. ya barbaad kiya ja rha hai. too yai shahadat hai iss baat ki kai yai musalmaan muaashray ka badtareen ghar hai...


Quraan wa sunnat mai yateemo Kai sath husnay suluk ki intaihaaye taakeed  ki gaye hai. Nuzulai Quraan sai Pehlai bhi yateemo Kai sath nihayat zillat ka suluk hota tha. Or aaj bhi iss kamzor makhlooq kai sath intaihaaye haqarat ka bartaow hota hai...


Islaam taakeed karta hai. Kai unkai maal wa jaydad ki hifazat ki jaaye. mumkin ho too usko badhanai ki koshish ki jaaye. Or unkai maal wa jaydad ko zaaya karnai or hadap karnai ko badtareen jurm qarar diya gaya hai. Quraan ki aayaat hai. ( JO LOg yateemo ka maal Na Haq khatai hai Dar haqeeqat wo apnai pait mai aag bhartai hai or wo laazman jahannum ki bhadkti aag mai jhookai jaayengai )...



Owlaad kai sath husnay suluk

Owlaad kai sath husnay suluk 


Welcome to Owlaad kai sath husnay suluk




Hazrat ibnai abbas raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Owlaad Kai sath izzat wa ikraam ka suluk Karo. Or unhai acchi taaleem wa tarbiyat do...


Owlaad Kai sath husnay suluk, Raihaim wa karam ka bartaow, unki khuddari Or izzatai nafs ka khayaal, muhabbat wa pyar Or unko acchi taaleem wa tarbiyat sai aaraasta karna aik fitri jazbah hai. magar musalmaan Kai liyai yai amal bhi mehaiz tabey jazbey ki taskeen ka saamaan hi nhi hai. balkai Deen ka taqaza hai. Rasulalla  huzur sallallahualayhiwasallam ki sunnat hai. Or akhrat ko sawarnay or bananay ka zarya hai...


Aap Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Baap apni owlaad ko jo kuch daita hai. usmai sabsai behtar atyah owlaad ki acchi taaleem wa tarbiyat hai. Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai yai bhi farmaya. Jis shakhs nai Quraan ka ilm hasil kiya. Or uspar amal bhi kiya. Uskai maa baap ko Qayamat kai Roz taaj pehnaaya jaayega...


Jiski ki Roshni iss suraj ki Roshni sai ziyadah behtar hogi. Jo Duniya kai gharo ko Roshan karta hai. too kaho tumhara kya khayaal hai. Aisay shakhs Kai baarai mai jisnai yai amal kiya. "aik baar aik baddo Nabi huzur sallallahualayhiwasallam kai pass aaya. Or bola. Kya aap log baccho ko chumtai Or pyar kartai hai. ham too baccho ko nhi chumtai, Nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai suna too farmaya. meray qabzai ki kya baat hai. agar Khuda nai tumharai Dil sai Raihaim nikaal diya hai...


Baaz log owlaad kai sath hasnay khelnay unkai sath mashgowl rehnai, unko gowd mai lainay or chumnay pyar karnai ko kuch acchi nazar sai nhi daikhtai. Islaam iss tarzai fikr ki hoslah afzaaye nhi karta. Nabi huzur sallallahualayhiwasallam kai amal or irshaadat sai maloom hota hai. Kai yai pasandeedah Or matloob amal hai...

OR jo owlaad kai sath Raihaim wa karam or pyar wa muhabbat ka suluk nhi karta. Uska Dil Raihaim sai khali hai...







iqamatai Deen

iqamatai  Deen


Welcome to iqamatai  Deen



Hazrat ibnai umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Allaha ki hudood mai sai kisi aik had ka qayam karna khuda ki aabaadyon mai chalees raato ki baarish sai ziyadah behtar hai...


Khuda ki hudood sai murad Khuda kai ahaikaam wa qawanain hai. Jin kai majmuwaey ka naam islaam hai. islaam insaaniyat Kai liyai sar taasir rehmat hai. Allaha ki aik had qayam honai ka yai matlab hai. Kai Khuda ka koi aik hukum khuda kai banday mannai lagai. Or unki zindigiyo mai wo naafiz wa jaari ho jaaye. aik hukum kai nifaaz ki khair wa barkat chalees raat ki baarish sai ziyadah hai...


Too tasawwur ki jiyai iss samaj ki khair wa barkat aasaaish wa sahulat, sukoon wa itminaan or aman wa aashti ka jis mai pura islaam apni tamaam barkaat or fiyooz Kai sath qayam ho. Or Khuda kai bandai apni puri infairaadi or ijtaimaye zindigi mai uskai ahaikaam wa qawanain ki mukhlesaana ataaat Kar rahai hai...


Khuda kai hudood wahi bandai qayam kar saktai or qayam rakh saktai hai. Jo khud apni zindigi mai inn hudood or qawanain ki kaamil ittaiba krai. Or khowl Kai sath unka amal or unki infairaadi or ijtaimaye zindigi bhi yai shahadat dai kai. Waqaye yai hudood wa ahaikaam bandagaanai Khuda kai Haq mai sar taasir khair wa barkat or rehmat hai. magar yai kaam unhi jawaan mardo ka hai. Jo har haal mai khuda or Rasul huzur sallallahualayhiwasallam kai wafadaar ho....


OR jo us waqt bhi Quraan wa sunnat ki ittaiba or Deen ki hifazat wa iqamat hi ko apni sabsai badi saaadat samjhai. Jab duniya Deen sai bai taaluq ho rahi ho. Deen ki qadray paamaal ho rahi ho. Or Rasulalla Huzur Sallallahualayhiwasallam ki sunntai mit rahi ho...


Yaqeenan aisay oolul azm Or hoslah mand bando kai liyai zabardast ajar wa inaam hai. Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Jisnai meri ummat kai fasaad Kai waqt meri aik sunnat ko mazbooti Kai sath thama uskai liyai soo (100) shaheedo ka ajar wa sawaab hai...


Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal

Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal


Welcome to Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal



Hazrat Abdullah raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Jis aadmi nai iss haal mai subha ki. Kai wo maa baap kai baarai mai Allaha kai nazil kiyai huai ahaikaam or hidayato ki farmabardari karnai wala tha too usnai goya aisay haal mai subha ki kai. uskai liyai jannat kai Darwazai khulai huwai hai...


OR agar maa baap mai sai koi aik ho to goya jannat ka aik darwazah khula huwa hai. Or jis aadmi nai iss haal mai subha ki kai. wo maa baap kai baarai mai Allaha kai bhaijai huwai ahaikaam wa hidayat sai muh modnai wala hai. too usnai aisay haal mai subha ki kai. Uskai liyai dozak Kai Darwazai khulai huwai hai. Or maa baap mai koi aik ho too goya dozak ka aik darwazah khula huwa hai...


US aadmi nai pucha. aey Allaha kai Rasul huzur sallallahualayhiwasallam. agar maa baap uskai sath ziyadati kar rahai ho tab bhi. Farmaya, Ha agar ziyadati kar rahai ho tab bhi, Agar ziyadati kar rahai ho tab bhi, Agar ziyadati kar rahai ho tab bhi...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai maa baap kai sath husnay suluk ki taakeed kai liyai aisa andaazai bayan ikhtaiyaar farmaya hai. Jis sai yai haqeeqat bhi khul kar saamnai aa jaati hai. Kai ataaat too bas Allaha hi ki honi chahiyai. Uskai siwa kisi ki ataaat jaaiz nhi...


Maa baap ki ataaat or unkai sath naik suluk bhi iss liyai hai. Kai khuda nai maa baap ka yai Haq bataya hai. Or unki farmabardari or khidmat ka Hukum diya hai. Kisi aisay maamlai mai hargis maa baap ki ataaat jaaiz nhi jismai khuda ki Nafarmaani hoti ho...  





Shukriya....

Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi

Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi


Welcome to Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi


Islaam nai khushhaal logo ko targheeb di hai. Kai wo apnai tang dast bhaiyyo ko Qarz dai. Qarz ki adayege mai unko mohlat or sahulat dai. mumkin ho too kul ya juz maaf Kar dai. Laiken usi kai sath Qarz lainai walo ko sakht taakeed ki hai. Kai wo Qarz ada karnai mai jaldi krai...



Acchai andaaz mai Qarz ada krai. Or wasaat honai kai baad khawah mukhawah taal matowl na krai. Jo log Qarz lainai kai baad adayegi ki fikr nhi kartai. Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi rakhtai. Aisay logo ko Nabi  huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai sakht tanbeeha ki hai...


Tarha tarha ki waeedai unkai liyai aaye hai. Hadya Kai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai maqrowz logo ki namaazai janaazah padhanai sai bhi inkaar kar diya hai. rahai wo Naadaar log jo Qarz lainai kai baad, Qarz ada karnai kai liyai fikr mand rehtai hai. Or puri dowd dhowp kartai hai. Kai Qarz ada kar dai...


Too Allaha taala ghaib sai logo ka Qarz ada karnai kai liyai sabeelai paida farmaye ga. Hazrat maimowna raziallahutaala anho ka bayan hai. wo farmaati hai mai nai khud Nabi huzur sallallahualayhiwasallam sai suna. Aap farmaatai thai. Jo bandah Qarz lai or khuda kai ilm mai ho Kai us shakhs ki niyat Or iradah yai hai kai wo Qarz zarur ada kraiga. too khuda uska Qarza duniya hi mai ada kra daiga...


OR agar koi khasta haal niyat Or iraday Or puri jaddojaihaid kai baad bhi Qarz ada na kar sakai. Or wo bandah usi haal mai wafaat paa jaaye. too Khuda ki zaat sai ummeed hai. Kai wo uski taraf sai ada farma dai ga. Or apni meharbani sai usai us bojh sai sabkrosh kar daiga...


Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Jo shakhs logo sai Qarz udhar lai. Or uska iradah ada karnai ka hi hai. too Khuda wo Qarza us sai ada kra daiga. Or jo shakhs logo sai Qarz lai or uska iradah maar lainai ka hi hai. yani jo Qarza liya hai usai wapas dainai ka iradah nhi hai. too Khuda uski wajah sai usai Tabah kar dai ga....









via Blogger https://ift.tt/36xvEvy
December 12, 2019 at 11:24PM
via Blogger https://ift.tt/2YLREjB
December 13, 2019 at 01:09AM

Adaye Qarz sai ghaflat, badtareen gunah

Adaye Qarz sai ghaflat, badtareen gunah


Welcome to Adaye Qarz sai ghaflat, badtareen gunah



Hazrat Abu musa raziallahutaala anho sai riwayat hai kai. Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Allaha kai nazdeek sabsai bda gunah inn kabirah gunaho kai baad jinsai Allaha taala nai sakhti kai sath mna farmaya hai. yai hai Kai bandah iss haal mai duniya sai rukhsat ho Kai wo maqrowz huwa. or qarz ki adayegi kai liyai usnai kuch asasa bhi na choda ho...


Qarz sai mutalliq Nabi Huzur sallallahualayhiwasallam Kai tamaam irshaadaat saamnai rakhnai kai baad aisa maloom hota hai. Kai aisay shakhs ki baat kahi ja rahi hai. Jo badniyyat ho, Qarz lainai kai baad dainai ka iraada na rakhta ho...


Qarz ada karnai mai laaparwa ho. or baiwajah taal matowl karta ho. Or usi haal mai Duniya sai Rukhsat ho jaaye. aisey surat mai waqaye maqrowz nai aisay badtareen gunah ka irtaikaab kiya hai. Kai jiski maafi ki ummed nhi hai...


Hazrat Abu qattadah raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai aik shakhs nai Nabi Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai pucha. Ya Rasulalla sallallahualayhiwasallam yai bataiyai kai agar mai khuda ki Rah mai sabr wa sabaat kai sath maihaiz uski rza Or ajrai akhrat kai liyai ladu, phir zara peechai na hatu balkai barabar aagai hi badhata rahon. Or us haal mai shaheed ho jaow. too kya khuda meray saarai gunaho ko baksh dai ga...


Aap Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai jawab mai farmaya.  (Ha) phir jab wo shakhs lowt Kar jaanai laga too aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai usai pukaara Or farmaya. Ha sab gunah maaf farma daiga. Magar Qarz nhi. mujhay jibreel nai isi tarha bataya hai...


Yani mujhay Wahi kai zaryai abhi yai baat isi tarha maloom huai hai. Kai Qarz maaf nhi hoga. Qarz ka maamla yahi hai kai. Ya too ada kiya jaaye. Ya phir wo shakhs maaf krai. Jiska Qarz hai...

via Blogger https://ift.tt/2RLcPAE
December 12, 2019 at 03:09AM

Khuddar Log

Khuddar  Log


Welcome to Khuddar  Log



Bohout sai khuddar Or ghair tamand log Faqah too gawara kartai hai. Laiken sadqa or khairaat lainai kai liyai kisi tarha unka Dil aamaadah nhi hota. wo chahatai hai. Kai kuch Qarz Raqam faraham ho. too wo jaddojaihaid karkai apnai haalaat ko bhi sudharai. Or Qarz ki Raqam bhi wapas kar dai...


Deen ka mansha yahi hai. Kai aisay ghaiwar Or khuddar logo ki himmat badhaaye jaaye. Or unko sahaara diya jaaye. Kai wo apnai pairow par khadai ho saktai. Islaami sosaity mai Qarz milnai ki sahulat honi chahiyai. Or khushhaal logo ko aisa mowqa faraham ho too wo usay apni khushnaseebi Or khuda kai inaam tasavvur krai...


Or aisay halaat kabhi paida na honai dai. Kai sosaity kai ghair tamand, khuddar Or izzat Walay tang dast logo ko majboor hokar dastai sawaal daraz karna padai. Zamni towr par naadaaro or tang dasto ko bhi ussai yai sabaq milta hai...


Kai wo apnai izzatai nafs Or khuddari ki hifazat krai. Sadqa lainai ki bajaye Qarz laikar apni jaddojaihaid sai apni Rozy kamanay or apnai haalaat ko sudharai ki koshish krai. Or jo hi haalaat thik ho Qarz ada karnai mai ijlat sai kaam lai...


Kuch khuddar log Or jismaani towr par bimaar log. Jinko kaam kaaj karnai ki Quvvat nhi hai. Phir bhi wo log halaal Rozy kamanay ki koshish mai lagai rahtai hai. Or badi mushkil sai apna pait paaltai hai. Or wo kisi kai aagai hath nhi phailaatai hai. Or kisi kai aagai hath pehlaanai ko sharm mehsoos kartai hai. too khushhaal logo ko chahiyai kai aisay logo ko dilasa daitai huai or acchi tarha samjhatai huai. taki unkai zameer ko bura na lagai. Or sadqa ya Qarz dainai mai yahi baat kahai kai. Yai too sab allaha ka maal hai. Or Allaha apnai bando sai kaam laita hai. Jissai chahai. taki wo sadqa ya Qarz lainai mai taal matowl na krai. Or sadqa ya qarz lai laiye...

Or hamai chahiyai kai aisay logo ko hi dhund dhund kar sadqa ya qarz ada krai. Or sadqa ya qarz khamoshi sai ada krai taki kisi ko maloom na ho. Or Qarz dainai Ya maangnai mai sila rehmi bartai. Or Qarz wasool karnai mai logo ko mohlat dai. Or allaha ki rehmat kai mustahaq banai. Yahi acchai musalmaan ki pehchaan hai...

Lain dain mai narmi Or frakhudli

Lain dain mai narmi Or frakhudli


Welcome to Lain dain mai narmi Or frakhudli



Hazrat jabir raziallahutaala anho sai riwayat hai kai. Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Allaha ki rehmat ho us bandai par Jo baichnai, kharidnay or apna Haq wasool karnai or taqaza karnai mai narmi Or frakhudli sai paish aaye...


Is hadees mai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai nihayat hi walulah anghaiz andaaz mai momin ko targheeb di hai. Kai wo kharid wa farowkht, lain dain or Haq ki wasoolyaabi Or taqaza waghairah karnai mai narmi, fayazi Or frakhudli sai kaam lai...


Kis momin ki tamanna na hogi kai. Khuda us par rahaim krai. Or kon nhi chahaingai kai. Rasul maqbool huzur sallallahualayhiwasallam ki yai duwa uskai haq mai bhi khudaaye taala Qabool farma kar us par Raihaim krai. Yaqeenan Rasul huzur sallallahualayhiwasallam ki yai duwa aap kai liyai hi hai. agar aap kharid wa farowkht or lain dain kai maamlai mai narm Or frakhudal hai...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai bayan farmaya kai. tum sai pehli kisi ummat mai aik aadmi tha. Mowt ka farishta jab uski Ruh qaid karnai aaya too. Qabzai Ruh kai baad ussai puchaa gaya. Kya tumnai Duniya mai koi naik amal kiya tha. wo kahaiga. Meray ilm mai too koi bhi aisa amal nhi hai...


Ussai kaha jaayega. Apni zindigi par nigah dalo. Or socho. wo phir kahaiga. Meri nazar mai too koi bhi naik amal nhi hai. Siwaaye uskai kai. mai jab logo sai kharid wa farowkht ka maamla karta too mai unkai sath narmi Or Dar guzar sai paish aata, khushhaal logo ko mohlat daita, or tang dasto ko maaf Kar daita tha. too Allaha nai us shakhs ko jannat mai dakhil farma diya...


Or sahi Muslim ki aik riwayat mai hai. Kai Khuda taala nai farmaya. too mai tujh sai ziyadah. Haqdaaro Kai narmi Or darguzar sai kaam lo. Phir khuda nai farishto ko Hukum diya kai meray is banday sai darguzar Karo. (Yai Baksh diya gaya)....


Kis qadar khushnaseeb hai. wo bandah jo lain dain kai maamlai mai narm khu Or frakhudal hai. Or jisai khuda nai yai towfeeq di hai kai. wo logo ko adayegi mai mohlat daita hai. naadaaro sai darguzar karta hai. Or Logo ko maaf karkai Khuda ki rehmat ka mustahaq banta hai...

Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...