आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Meeyaanahravi ki taakeed

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Meeyaanahravi ki taakeed

Meeyaanahravi  ki  taakeed 

 
Welcome to Meeyaanahravi  ki  taakeed



Aitdaal Or meeyaanahravi ki taakeed or talqeen kai maamlai mai islaam tamaam mazahib sai mumtaaz hai. Wo har amal mai meeyaanahravi ki taaleem daita hai. yaha tak kai ibadat mai bhi aitdaal Or meeyaanahravi ki taakeed karta hai. albatta upar ki hadees mai khass towr par kharch mai meeyaanahravi ki taraf mutawajjay kiya gaya hai...


Kaifeeyat shuaar or fizul kharchi sai parhaiz karnai wala kabhi tangdasti Or faqrofaqa mai mubtala na hoga. Wo apnai haalaat or apni aamdani kai mutabiq nihayat soch samajh kar kharch kraiga. na namuwd wa numaish mai Raqm zaya kraiga. na aiesh wa ishrat mai apni Dolat udayega Or na fizul kharchi mai apni Dolat uthaiga. Balkai jo kuch kharch kraiga soch samajh kar kharch kraiga...


Quraan paak mai fizul kharchi karnai walo ko shaitaan ka bhai Qarar diya gaya hai. Or momino ki aik laazmi sifat yai bataye gaye hai. Kai wo darmiyaani rosh ikhtaiyaar kratai hai. Na wo bukhl kartai hai. na israaf mai mubtala hotai hai. Balkai darmiyaani rosh ikhtaiyaar kratai hai. Quraan paak mai hai  ((or yai log kharch kartai hai too fizul kharchi nhi kartai or na tangi ikhtaiyaar kratai hai balkai darmiyaani rosh ikhtaiyaar kratai hai))...


Aik or mowqo par Quraan nai momin ko hidayat di hai. ((Na too apna hath gardan sai bandh rakho or na usai bilkul hi khula chod do. Kai malamat zadah Or aajiz bankar Reh jaou)). Hazrat hazifah raziallahutaala anho, sai riwayat hai. Kai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. "Khushhaali mai meeyaanahravi kya hi khoob hai. Naadaari mai aitdaal ki Rosh kya hi acchi cheez hai. Ibaadat mai darmiyaani andaaz kya hi behtar hai"...


No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...