Rishtaidaaro Kai sath sila rehmi
Teesri naiky Rishtaidaaro Kai sath sila rehmi hai. Quraan WA sunnat mai jagah jagah Sila rahmi ki taakeedgi ki gaye hai. Mukhtalif pehluow sai uski ahaimyat waza ki gaye hai. Or uska ajar WA inaam bayan kiya gaya hai. Yaha Sila rahmi ka aik khass ajar bayan kiya gaya hai...
Wo yai hai umar mai Barkat. Momin kai liyai umar ki barkat mai kashish ka pehlou yai hai. Kai wo iss mohlatai amal mai ziyada sai ziyada aakhrat kai liyai kama sakai. Umar mai Barkat ki asal shakal kya hai. Yai khuda hi behtar janta hai. Albatta itni baat zarur wazai hai...
Kai khuda Rabbul izzat momin ko duniya ki zindigi sai ziyada sai ziyada fayda uthanay Or ziyada sai ziyada khair kamanay ki toufeeq dainga. Or mouqa faraham farmayai ga. momin ki yahi asal tamanna hai. Kai uski yai faani zindigi us baqi rehnai wali zindigi ko ziyada sai ziyada kamyaab bananay mai kaam aayai...