Razayai ilahi chahanai Walay ka sila
Hazrat muaawya raziallahutaala anho bayan farmatai hai. Kai unhonai hazrat aayesha raziallahutaala anho ki khidmat mai yai darkhwast likh Kar bhaiji. Kai aap mujhay khat kai zaryai kuch naseehat likh Kar bhaijyai Jo ziyada taweel Na ho. Jawab mai hazrat aayesha raziallahutaala anho unko yai khat likha...
Tum par salamati ho. Uskai baad kehna yai hai. Kai mai nai khud nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai suna hai. Aap huzur sallallahualayhiwasallam farmatai thai. Jo shakhs Allaha ki khatir bando ki naraazi mowl laiga. too bando ki taraf sai pohouchnai wali zahmato mai khuda uski pusht panahi farmaayaiga. Or jo shakhs bando ko khush rakhnai kai liyai Allaha ko naraaz krainga. too Allaha usko unhi bando kai hawalai kar daiga...
Iss mukhtasar riwayat sai teen nihayat ahaim hidayatai milti hai.
- Har insaan naseehat or yaddihaani ka mohtaaj hai.
- Naseehat mukhtasar hi honi chahiyai.
- Khuda or bando kai maamlai mai khuda ki Raza hi ko apna matloob banaya jaye.
Darasal naseehat wa waseeyat ki talb or zarurat us baat ki alamat hai. Kai aadmi ko apni aaqbat bananai or apni zindigi sudharnai ki fikr hai. isiliyai aap daikhtai hai. Sahaba kiraam raziallahutaala anho nai baar baar nabi huzur sallallahualayhiwasallam sai darkhwast ki hai. Ya Rasulalla hamai kuch naseehat farmaiyai. Koi aisi baat bataiyai. Jisai ham hama waqt nigaho kai saamnai rakhai or uskai baad kai buzurgo ka bhi yahi shaiwa rha hai. Dusro sai naseehat wa waseeyat karnai ki darkhwast Wahi shakhs karta hai. Jo khuda kai huzur haazri sai larazta rahta ho. Aakhrat kai liyai khud ko tayyar karnai ki fikr mai laga rahta ho. Or kisi waqt bhi apni zindigi bananai ki fikr sai ghafil na rahta ho...
Naseehat karnai walai ko bhi chahiyai kai wo khuwa mu khuwa takalluf na krai. Baija inksaari sai kaam na lai. Or na taal matowl krai. Balkai jo bhali baat wo talib naseehat kai liyai mufieed or zaruri taswwur krai. Batayai Or acchai andaaz mai batayai. Dusro ko batanai sai khud bhi us naseehat par amal karnai ka daaiya paida hota hai. Or dusrai ko batanai or naseehat karnai ka bhi bada ajar wa sawab hai...