Quraan paak sai jismani wa Ruhani elaj
Hamai maloom hona chaiyai kai. Quraan paak amraaz jismani wa Ruhani dono ko faida karta hai. Chanancha ibnai maja mai Hazrat Ali kramulla wajhu sai riwayat hai kai. Sabsai behtar dwa Quraan paak hai. Aik shakhs nai aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam sai Halq kai Dard ki shikayat ki...
Aap huzur sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya kai. Quraan paak ki tilawat ko apna shaiwa bna lo. Ibnai maaja wa ibnai mardwiya nai Abu saieed khurri raziallahutaala anho sai riwayat ki hai. Kai aik shakhs nai apnai seenai kai Dard ki shikayat ki. Aap huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai farmaya kai Quraan paak padha Karo. Kyunkai Haq Taala nai farmaya hai. Kai Quraan iss bimari kai liyai shifa hai jo seenai mai hai.
Quraan paak padnai sai Allaha ka qurb hasil hota hai. Or Dimagh taiz hota hai. Or Quraan paak padnai sai Halq saaf hota hai. Or dil wa Dimagh tandrust hota hai. Or Quraan paak padnai sai bukhar door hota hai. Or pait kai amraaz door hotai hai. or Quraan paak dekh kar padnai sai aankho ki roshni badti hai. Hamai chaiyai kai ziyada sai ziyada Quraan paak ki tilawat krai...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment