Bimari ka elaj karnai mai parhaiz karna sunnat hai
Aap logo ko aik yai baat bhi maloom hona zaruri hai. KAi jha elaj karna sunnat hai. Wahi parhaiz karna bhi masnoon hai. Koi yai na samjhai kai parhaiz karna khilafai sharai hai. Kyunkai parhaiz karna Quran paak sai sabit hai. Jaisa kai Allaha taala nai farmaya hai. Kai agar tum bimar ho too namaz kai liyai tayyammum karlo. Or aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai hazrat sahib Romi raziallahutaala anho sai farmaya tha. Kai tum khajuray na khaou. Kyunki tumhari aankhai dukh rhai hai. Or huzur akram sallalahualayhiwassalam nai hazrat Ali raziallahutaala anho ko kamzori ki halat mai khajuray khanai sai mna farmaya tha. Jiski tafseel upar guzar chuki hai. insab dalail sai maloom huwa kai bimari mai parhaiz karna bhi bhout zaruri hai...