Mukhtalif khano kai jma karnai kai nuksaan
Allaha kai habeeb huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam doo mukhtalif qism ki ghizaou ko kabhi jma na farmatai thai...
Jaisai machli yani fish or doodh yani milk ko jma na farmatai thai. Tarshi Or doodh bhi jma na farmatai thai. Do garam Or Do sard ghizaou ko bhi aik sath istaimal na farmatai thai...
Aisai hi Do qabis Or Do Dast aavar ghizaou ko bhi jma na farmatai thai. Jma karnai ka matlab yai hai. Kai madiai mai jma na farmatai thai. Yani kabhi aisa aitfaq nhi huwa kai aap huzur sallalahualayhiwassalam nai kabhi machli yani fish khaye ho or baghair hazm kiyai huyai uskai upar doodh yani milk nosh farmaya ho...
Doodh Or anda or doodh or gosht bhi aik sath tanawul nhi farmatai thai. Maqsad yai huwa kai. Jab tak aik cheez hazm na ho jayai uspar dusri mukhtalif ghiza istaimal nhi farmatai thai...
Isitarha qabiz Or mashal, jaldi hazm honai wali or dair sai hazm honai wali, or gosht pka huwa or bhuna huwa ho. baasi Or taza gosht bhi aik sath jma na farmatai. Kyunki Doo mukhtalif cheezai hazam karnai kai liyai madiai par bhout baar padta hai...