Halaal Rozi
Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Logo par aik aisa zamaana aayega kai. Aadmi iss baat ki parwa Na kraiga. Kai usnai kya kaha sai kamaya, Halaal kamaya ya Haraam?...
Yani wo aisa aazadi Or baideeni ka dowr hoga kai. Halaal wa Haraam ki tameez na rahaigee. magar khuda sai darnai Walay musalmaan ko aisey dowr mai bhi Halaal ka ahtmaam karna hai. Khuwah yai kaam kitna hi dushwaar ho, yai yaqeen rakhna chahiyai. Kai jab tak zindigi hai. Rozy baihairhaal milaigee...
Sahulat sai milay ya dushwari sai, faraqi sai milay ya tangi sai, aik mowqai par nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. "Logo Allaha ki nafarmani sai dartai raho. Or Rozy ki talash mai galat tariqay mat ikhtaiyaar Karo...
Is liyai kai koi shakhs is waqt tak nhi mar sakta. Jab tak wo apnai hissay ki Rozy puri na lailay. yai ho sakta hai kai. uskai milnai mai kuch taakheer ho jaaye. too khuda sai dartai raho. Or Rozy hasil karnai mai accha tariqa ikhtaiyaar Karo. Halaal Rozy hasil Karo. Or Haraam Rozy kai qareeb na jaow"...
via Blogger https://ift.tt/2qu35j5
December 07, 2019 at 05:44AM
via Blogger https://ift.tt/33ZQYb6
December 07, 2019 at 07:01AM
via Blogger https://ift.tt/33ZerJJ
December 07, 2019 at 07:05AM