Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah
Hazrat anas raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya. Jis shakhs nai chalees Din musalsal jamaat kai sath iss tarha namaz ada ki kai. Wo takbeer oola sai jamaat mai shareek raha. Uskai liyai Do cheezo sai braat or hifazat ka faisla ho gaya. Jahannum ki aag sai braat wa hifazat or nifaq sai braat wa hifazat...
Deeni aamal mai namaz purai deen ka sarchashma hai. Namaz aadmi KO buraiyo sai Rokti bhi hai. Or puri zindigi mai khuda ki bandigi kai liyai taayaar bhi karti hai. Deen mai namaz ka muqam wahi hai. Jo jismai insaani mai sar ka hai. Namaz ka qiyam darasal deen ka qiyam hai. Or jo shakhs namaz ki hofazat nhi kar sakta wo hargis deen ka pairow nhi ho sakta...
Hazrat umar raziallahutaala anho nai apnai gawarnaro KO likha tha. Tumharai saarai kamo mai sabsai badkar ahaimyat meray nazdeek namaz ki hai. Jisnai namaz ki hifazat ki or uski daikh bhaal karta raha usnai apnai purai Deen ki hifazat ki. Or jisnai namaz ko zaaya kar diya. too wo dusri deeni cheezo ko or ziyadah zaaya karnai wala hoga...
Namaz ki yai ahaimyat or azmat samnai rahai too iss baat ko samajhnai kai liyai kisi daleel wa hijjat ki zarurat nhi rehti kai. Namaz ki paabandi or hifazat karnai wala shakhs yaqeenan jahannum sai bhi mehfooz hai or nifaaq sai bhi...
Iss liyai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualyhiwasallam nai saadah andaaz mai mehaiz yai baat nhi samjhaee balkai paighambraana baseerat wa hikmat kai sath aik aisa muharrak saamnai rakha or aisi kaamyaab tadbeer bataee kai. Har musalmaan kai andar paabandai namaz bannai ka shoq bhi paida ho or iss amli tadbeer sai wo waqaye namaz ka paaband bhi ban jaaye...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment