Ghairatai Haq
Hazrat aayesha raziallahutaala anho bayan farmati hai. Kai Allaha kai habeeb huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai kabhi kisi ko nhi maara. Na kisi bivi ko maara, Na kisi khidmat guzar ko, or Na kisi or ko. Albatta khuda ki Rah mai jihad kartai huai aap huzur sallalahualayhiwassalam nai dushmnanai deen par zarur hath uthaya hai...
Or aap huzur sallalahualayhiwassalam ko jab kabhi kisi nai koi dukh diya hai. Dukh dainai walai sai aap huzur sallalahualayhiwassalam nai kabhi badla nhi liya hai. Magar jab koi khuda ki shareeat ki bai hurmati Or nafarmani karta. Too huzur sallalahualayhiwassalam khuda kai liyai zarur badla laitai...
Amli zindigi mai yai mumkeen hi nhi kai. Har baat hamari khwaeesh, mizaj, aadat Or mufaad kai mutabiq ho. Khangi, khandani Or samaji zindigi mai tarha tarha kai logo sai hamai maamlaat karna padtai hai. Kisi ka ham par haq hai. Or kisi par hamara, koi ham sai chota hai koi bda. Har aik ka mijaz, andazai fikr, aadat, khaslat Or quvvtai bardasht mukhtalif hai...
Yai kaisai ho sakta hai. Kai kabhi hamarai jazbaat ko thaies na lagai. Kabhi kisi sai hamai dukh na pouchai. Kabhi kisi ki wajah sai hamara nuqsaan na ho. Or kisi kai kai khilaaf hamarai Dil mai intaiqami jazbaat paida na ho. Or hum gussai ka shikaar na ho. Aisai tamaam mowaqo par ham kya Kari...
Hayatai tayyaiba sallalahualayhiwassalam ki yai jhalak hamai batati hai. Kai jab hamara zati maamla ho. Koi hamai dukh pouchaye Or hamara Mali nuqsaan krai too. Hum sabar WA zabt Or afu wa darguzar sai kaam lai. Or intaiqami jazbaat sai maghloob hokar intaiqami kaarrawye na krai...
Balkai aali zarfi Or buland himmati ka muzahira krai. Albatta jab koi badnaseeb khuda or Rasul sallalahualayhiwassalam kai maamlai mai hamari ghairat ko chailaing krai too ham hargis khamoshi ikhtaiyaar na krai. Aisai moqo par khamoshi hamari deeni moot hai. Momin ki ghairat khuda or deen ki touheen hargis bardasht nhi kar sakti...