Tilawatai Quraan
Hazrat Abdullah bin umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. yai quloob bhi Zang aalud ho jaatai hai. Jis tarha paani padnai sai loha zang aalud ho jaata hai. Pucha gaya yaa Rasulalla sallallahualayhiwasallam phir dilo ka zang dowur karnai or jila bakshnai ka kya tariqa hai?...
Irshaad farmaya. ((Kasrat sai mowt ki yaad or Quraan ki tilawat)). Burai khayalaat, gandai jazbaat, bughz wa anaad, keena Or gunah wa khata sai dil par aik tarha ka mail Or siyahi aa jaati hai. Usi ko Dil ka zang kaha gaya hai. iss zang or ghubaar ko dowur karnai kai liyai nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai do cheezai bataye hai. ((mowt ki kasrat sai yaad or tilawatai Quraan))...
Kasrat sai mowt ki yaad ka matlab yai hai. Ki aadmi shaowr kai sath har waqt yai baat apnai saamnai rakhai. Kai zindigi ki yai mohlat baihair haal aik din khatam hona hai. Yai mohlat aik hi baar milti hai. dobaarah phir amal karnai kai liyai kabhi mohlat na milaigee. is liyai is zindigi ka aik aik lamha aakhrat ki kamaye mai sarf hona chahiyai...
Tilawatai Quraan ka matlab yai hai. Kai aadmi Quraan ko paabandi sai barabar padhata rahai. Sahi sahi padhnai ka ahtmaam karai. Iski taaleemaat Or aayaat par ghor wa fikr krai. Yaksooi, ikhlaas or koshish kai sath uskai ahaikaam par amal krai. uskai padhnai padhanai ko riwaj dai. uski ishaat krai. Or khuda kai bando tak uska paighaam pohonchaye...
Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Shab wa Roz Quraan ki tilawat ka haq ada karo. Uski ishaat Karo Or acchai andaaz mai uskai padhnai ka ahtmaam Karo. Or hidayat hasil karnai ki gharz sai usmai ghor wa fikr Karo. takai tum kamyaab ho. Or jald baazi karkai uskai zaryai Duniya ka Sila mat chahana. Khuda ki khushnoodi hi Kai liyai uski tilawat karna kai akhrat mai uska sila laazmi hai...
Hazrat Abu zar ghafaari raziallahutaala anho ki darkhwast par aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai unko waseeyat kartai huai irshaad farmaya. Quraan ki tilawat or Allaha ka zikr paabandi sai kartai rehna. Uskai zaryai aasmaan walo mai tumhara zikr or charcha hoga. Or yai amal zindigi ki taareekiyon mai tumhai Roshni bakshaiga...