आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Paani peenai ka sahi tarika

Popular Posts

Showing posts with label Paani peenai ka sahi tarika. Show all posts
Showing posts with label Paani peenai ka sahi tarika. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Paani peenai ka sahi tarika

Paani  peenai ka sahi tarika 
 

 
Welcome to Paani  peenai ka sahi tarika



Jama kabira mai Hazrat abu huraira raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Allaha kai habeeb huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya kai. Jab tum paani pio too aik saans mai na  piya kro kyunki. Istarha pinai sai seenai mai Dard paida hota hai... 


Abu hatim nai anas bin malik raziallahutaala anho sai riwayat ki hai. Kai aap Hazrat sallalahualayhiwassalam teen saans mai pani nosh farmaya kartai thai. Or farmatai thai kai yai tariqa piyaas ko acchi tarha bujhata hai. Or khanai ko acchi tarha hazm karta hai. Or tandrusti qayam rahti hai...


Baaz hadees mai khadai hokar paani peenai ko bhi mna farmaya gaya hai. Chanancha tirmazi waghaira mai Hazrat anas bin malik raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai aap Hazrat sallalahualayhiwassalam nai khadai hokar paani peenai sai mna farmaya hai. 


Baaz  atabba nai likha hai. Kai khadai hokar pani peenai sai pait mai Dard ho jata hai. Or baaz olma nai kaha hai. Kai teen qism kai paani khadai hokar peena jaiz hai. Aik aabai zamzam aabai sabeel, soom aabai wazu. laikeen baaz hadees mai mushk sai bhi khadai hokar paani peena drust maloom hota hai...


Baaz atabba kektai hai. Kai khadai hokar ya laitkar pani peenai sai maida kamzor ho jata hai. Or baaz hadees mai hai kai. Thanda Or meetha paani huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ko bhout pasand tha... 


Chanancha Abu daoud nai Hazrat aayesha siddiqa  raziallahutaala anho sai riwayat ki hai. Kai aap Huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam kai liyai thanda or meetha paani saqya kai kunwo sai mangwaya jata tha...




Shukriya....



Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...