आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat

Popular Posts

Showing posts with label Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat. Show all posts
Showing posts with label Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat

Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat 

 
Welcome to Mukhtasar naseehat ki Ahaimyat


Naseehat aam towur par mukhtasar hi honi chahiyai. Yoon too har shakhs kai saamnai Deen ki taalimaat kuch na kuch rahti hi hai. Or wo apni istitaat kai mutabiq un par amal karta bhi rahta hai. Laiken koi jama or mukhtasar naseehat agar saamnai aa jaye too aadmi apni tarbiyat mai sahulat mehsoos karta hai. Or mukhtasar baat ko waqt saamnai rakh kar ziyada yaksooi kai sath us par amal ki koshish karta hai...


Isiliyai hadees ki kitabo mai or buzurgo kai haalaat mai yai milta hai. Kai naseehat chahanai Walay bhi mukhtasar naseehat ka mutalba kartai thai. Or naseehat karnai waley bhi mukhtasar naseehat farmatai thai. Maslan aik sahabi nai arz kiya. Ya Rasulalla sallallahualayhiwasallam. Mujhai aisi jama naseehat farmaiyai. Kai phir mujhai kisi sai kuch pouchna na padai. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai jawab mai itni jama or itni mukhtasar naseehat farmaye. Jis mai sirf  do lafz hai. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya  (kaho mai Allaha par imaan laaya or phir us par jam jaow)...


Isi tarha aik baar hazrat abu zar ghafaari raziallahutaala anho nai Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai darkhwast ki mujhay naseehat kijiyai or bohout hi mukhtasar. Or phir aap huzur sallallahualayhiwasallam nai hazrat Abu zar raziallahutaala anho ko nihayat hi jama or mukhtasar naseehat kartai huai teen baato ki taraf mutawajjay kiya...


Hazrat muaavya raziallahutaala anho nai naseehat ki darkhwast ki or sath hi kaha. (Lambi chodi baat na likhyai). Darasal taweel taweel naseehatay na yaad rahti hai. Or na tarbiyat wa hikmat kai lihaaz sai mufieed hoti hai. Mukhtasar baat zaihain ki giraft mai aasaani sai aa jati hai. Or nafsyaati aitbaar sai us par amal karna bhi aasaan hota hai...



Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...