आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr

Popular Posts

Showing posts with label Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr. Show all posts
Showing posts with label Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr

Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr




Welcome to Razayai ilahi ki talb mai sahi tarz fikr



Har aadmi kai kuch na kuch maamlaat bando sai zarur mutalliq hotai hai. Kahi usai apnai huqooq laina hotai hai. Kahi dusro Kai huqooq daina hotai hai. Kabhi kisi kai maamlai mai izhaar khayaal karna hota hai. Kabhi fariqain kai darmiyaan faisla kranai ka mowqa aata hai. Or agar wo kisi ounchai mansab par ho too kuch ziyada logo sai usai maamla karna padta hai. Or qadam qadam par uski aazmaaish hoti hai...


Uskai faislay, uska izhaar khayaal, uska suluk bhout sai logo kai liyai khushi ka baais hota hai. too bhout sai logo kai liyai naaraazi ka baais bhi ho sakta hai. Logo ko khush rakhnai ka taqaza aik hota hai. Or haq ka taqaza dusra. Aisay tamam mowqo par sahi tarz fikr yai hai. Kai aadmi sirf khuda ki khushnoodi ko paishai nazar rakhai...


Jab khuda or bando ki marzi takra rahi ho too aadmi bando sai bainiyaaz ho jaye. Or sirf wo krai jo khuda ki marzi ho. Bando ki naaraazi ki zra parwa Na krai. Or yai yaqeen rakhay kai khuda uski himayat krainga. Usai hargis nad sai mehfooz rakhainga. Or har mowqo par uski pusht panahi farmaayaiga. Iskai bar aks agar usnai khuda ki marzi sai sarfai nazar kiya or bando ki khushnoodi mai lag gaya. too phir khuda apni himayat ka haath ussai utha laiga. Or usko unhi bando kai hawalai kar daiga...


Khuda ki himayat or sarparasti sai mehroom honai kai baad wo unhi bando kai rahaim wa karam par hoga. Wo jis tarha chahaingai. Ussai sai apni marzi puri karwaingai. Or  yai shakhs kabhi unhai hamaisha khush rakhnai mai kamyaab na ho sakaiga. Ussai badi naadaani kya hogi. Kai  aadmi US khuda ko chodkar jiski chutki mai puri kaaynaat hai. UN bando ko raazi rakhnai ki koshish mai lag jayai. Jo intaihai kamzor hai Or jinkai qabzai mai kuch bhi nhi hai...


Khuda par imaan, or towheed par yaqeen ki shaan yahi hai. Kai aadmi bando sai bainiyaaz ho. Or sirf khuda ki Rza ko apna maqsood banayai. Iss tarzai amal sai Bandai khafa ho too huwa krai. Khuda ko raazi rakhnai ki khatir wo bando ki khafgee ko gawara krai. towheed too yai hai kai khuda hashar mai keh dai yai Banda do aalam sai khafa meray liyai hai... (subhaan Allaha)

Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...