Deen Mai Taqwa
Taqwa Dil ki aik imaani kaifeeyat ka naam hai. Jo khuda ki muhabbat or khuda kai khoof sai paida hoti hai. Dil hi tamam aamal ka sar chashma hai. Dil ki islah ho jaye too goya puray jism ki islah ho gaye. Or Dil bigad gaya too puri zindigi bigad gaye...
Dil mai jab Taqwai ki kaifeeyat paida hoti hai. Too aadmi khuda ki farmabardari, Deen ki ittaiba Or naikyon ka harees ho jata hai. Or khuda ki nafarmani, maaseeyat Or burai sai nafrat karnai lagta hai. Deen mai Taqwai ki aheamyat yai hai. Kai iskai baghair aadmi ko khuda ki kitaab sai hidayat nhi mil sakti...
Iskai baghair aadmi ka koi amal khuda kai yaha maqbool nhi ho sakta. Khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. Hikmat wa ibrat ki bunyaad khuda ka taqwa hai. Chand makhsoos qism kai aamal or makhsoos qism ki waza or makhsoos qism kai libaas Or andaaz ka naam taqwa nhi hai.
Balkai Taqwa Dil ki aik matloob Or pasandeeda kaifeeyat ka naam hai. Jo momin ki lazmi sifat hai. Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai teen baar Dil ki taraf ishara karkai farmaya "Taqwa yaha hota hai. Taqwa yaha hota hai." ((Yani Dil mai. ))