आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : insaan ka takabbur

Popular Posts

Showing posts with label insaan ka takabbur. Show all posts
Showing posts with label insaan ka takabbur. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

insaan ka takabbur

insaan  ka  takabbur 

 
Welcome to insaan  ka  takabbur



Hazrat jabir bin raziallahutaala anho nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Qayamat kai Roz khuda kuch logo ko cheenteeyo ki shakal mai uthayaiga. Log unhai apnai qadmo sai Rondaigai. Puwcha jayega. Yai cheenteeyo ki shakal mai kon log hai. Unhai bataya jayega kai yai wo log hai Jo takabbur kartai thai...


Cheenteeyo ki shakal mai hona or phir qadmo sai Ronda jaana intaihaye zillat aameez azaab hai. Jiskai tasavvur hi Rongtai khadai hotai hai or ibrat hoti hai. Magar haqeeqat mai iss hadees sai ibrat hasil karnai walay wahi khushnaseeb hai. Jo iss hadees ko sunnai or padnai kai baad takabbur ki haqeeqat maloom karnai or ussai bachnai ki fikr mai lag jaaye...


Takabbur kai lafzi maaynai hai. Apnai ko bda samajhna. Quraan wa sunnat ki Roshni mai iska matlab yai hai kai aadmi Khuda ko apna maalik, aaqa, mohsin or Rab too maanai, zabaan sai iqraar bhi krai laiken Khuda ka Hukum na maanai. Khuda kai Qanoon sai sartaabi krai or apnai ko badi cheez samajh kar aihkaamai ilahi ki ittaiba sai apnai ko baalaatar samjhai, shaitaan kai kirdaar par ghor kijiyai. Yai khuda ko apna maalik aaqa or Rab bhi kehta hai. baar baar usko Rab kehkar pukarta hai...


Magar jab wo Hukum daita hai. Kai aadam ko sajda Karo. too wo sarkash inkaar karta hai. Or takabbur ka izhaar karta hai. Quraan mai hai. ((Aabaaa wastakbara)) usnai inkaar kiya or takabbur mai mubtala huwa. Duniya mai sabsai pehla Or sabsai bda mutakabbair shaitaan hai. Or wo saarai log Jo mutakabbair or ghuroor ki bimari mai mubtala hai. unhai shaowr ho ya na ho. wo shaitaan ki Rah par hai. Or amlan usi ko apna aaqa or Rehbar banaye huai hai...






Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...