Gunah Kai baad naiky karna
Acchi baatai seekhna
Dusri hidayat yai hai. Kai jab bhi aadmi sai koi Gunah sarzad ho too fowran wo uskai baad koi naiky ka kaam krai. Yai naiky us Gunah ko or uskai burai asart ko mita dai gee. Momin ki tareef hi yai hai. Kai jab bhi jazbaat sai maghloob hokar wo koi nafarmani Or Gunah kar baithta hai. Or usai yaad daihaani hoti hai. Ya kraye jaati hai. Too fowran uski aankhai khul jati hai.Or wo chokanna ho jata hai...
Pas usko chaiyai kai wo usi lamhai koi naik amal krai. Toba krai, sadqa krai, kisi kai sath ziyadati ki hai. Too maafi talb krai, kisi ka Haq dabaya hai too fowran us sai dast bardaar ho jaye. Naiky ka yai aqdaam burai or burai kai buray asraat ko mita dai ga. Gunah ki daldal sai bachnai ka yai nihayat hi musar Or yaqeeni zarya hai...
Teesri hidayat yai hai. Kai bandaganai khuda kai sath naik salook kro. Admi mukhtalif qism kai taaluqaat mai jakda huwa hai. Kisi ka wo baita hai, kisi ka baap hai, kisi ka Bhai hai, kisi ka rishtaidaar hai, kisi ka dost hai, kisi ka padosi hai, kisi ka maat hat hai, kisi ka afsar hai, kisi ka chota bhai hai, kisi ka bada hai...
Koi uska ham mazhab or ham mashrab hai. Or koi kisi dusrai mazhab or mashrab ka hai. Magar ussai uska taaluq hai. Too har aik Kai martabai, muqaam, huqooq or hasiyat ka lihaz rakhtai huai aadmi ko uskai sath Husnay akhlaq ka bartaou rakhna chaiyai. Aadmi par teen qism kai huqooq wajib hotai hai.
- Khuda ka Haq.
- Nafs ka Haq.
- Bando ka Haq.
Khuda ka Haq yai hai. Kai wo ussai dartai huai zindigi guzarai. Or har haal mai uska Taqwa ikhtaiyaar krai...
Nafs ka Haq yai hai. Kai wo usko Gunah ki nijaasato sai mehfooz rakhtai huai akhraat ki nijaat wa falah kai liyai taiyaar krai...
Teesra Haq bando ka hai. Or bando kai Haq ki ahaimyat yai hai. Kai Jo shakhs bando ka Haq marta hai. Wo nijaat ka mustahaq nhi ho sakta. Jab tak bando sai maaf na karwa lay...