आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Sabsai accha paani konsa hai

Popular Posts

Showing posts with label Sabsai accha paani konsa hai. Show all posts
Showing posts with label Sabsai accha paani konsa hai. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Sabsai accha paani konsa hai

Sabsai accha paani konsa hai 
 

Welcome to Sabsai accha paani konsa hai


Hamain maloom hona kai barish ka paani sabsai behtar hai.  Uskai baad aabai jari hai. Jo mashriq sai maghrib ya maghrib sai mashriq ya shumaal sai junub ki taraf behta huwa ho. inn kai elawa dusrai paani bhi mufieed hai. Laikeen kunwai Or naihair ka paani milakar peena accha nhi hai. Issai saqt amraaz paida honai ka andaisha hai...


Safar alsaaadat mai likha hai. Kai huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. Kai Raat kai waqt bartano Or mushko kai muh dhaak diya kro. Kyunki saal bhar mai aik aisey Raat aati hai jismai wabayai nazil hoti hai. Or jo bartan khula hota hai. Usmai yai wabayai girti hai...


Or  huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam baaz ouqaat doodh mai paani milakar noosh farmaya kartai thai. Or wajah iski yai hai kai. Taza doodh mai aik qism ki garmi hoti hai. Jo paani milanai sai mutadil ho jata hai. Or isi tarha baaz ouqaat shaihed mai thanda paani milakar piya kartai thai. Takai mutadil ho jayai or kabhi khajur ko aik ya do Raat paani mai bhigokar or phir uska arq nathaar kar noosh farmatai thai...


Olma nai likha hai kai. Yai elaj quvvtai bah quvvtai Dil wa Dimagh kai liyai bhout faydai mand hai...



Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...