Muslim ki misaal
Hazrat Abdullah bin umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Darakhto mai aik Darakht aisa hai. Jiskai pattai kabhi nhi jhadtay. Or yahi Darakht muslim ki misaal hai...
Accha tum log bataou wo konsa Darakht hai? Log jangal kai Darakhto Kai Barai mai sochnai lagai. Hazrat Abdullah bin umar raziallahutaala anho kehtai hai. "Meray Dil mai aaya kai yai too khajoor ka Darakht hai. Magar mujhai batatay huwai sharam aaye." iss kai baad sahaba raziallahutaala anho nai Darkhwast ki kai yaa Rasulalla sallallahualayhiwasallam aap hi batayai kai wo konsa Darakht hai?...
Irshaad farmaya. "Wo khajoor ka Darakht hai". khajoor ka Darakht sarsabz wa shadaab rahta hai. Moosmo kai ulat phair ka uspar kabhi asar nhi padta. Uskai pattay kabhi nhi jhadtay. wo kabhi khazaa ka shikaar nhi hota. Uskai saaye sai kabhi Khuda ki makhlooq mehroom nhi hoti. thik yahi misaal aik muslim ki hai...
Islaam ka kalma padnai kai baad uska wajood khair wa barkat, bhalaaye Or naiky or fawaid wa samraat ka aik aisa pur bahaar Or saaya Daar Darakht ban jata hai. Jiskai faiz wa barkaat sai har aan khuda ki makhlooq faizyaab hoti rahti hai. Wo kisi waqt kisi Dour Or kisi haal mai kabhi baifaiz nhi hota. Or uski khair wa barkat or bhalaye sai kabhi Khuda ki makhlooq mehroom or mayoos nhi hoti.
Musalmaan Kai khuloos wa diyaanat, fikr wa tabiyat ki salamati, tehzeeb wa nazafat, paakeezah seerat wa ikhlaq, raast baazi Or sharaafat, suljhay huai maamlaat or khushgawar taaluqaat or uski khuddari Or aali zarfi sai duniya mai khair or bhalaye phailti hai. Khair Or bhalaye kai siwa makhlooq khuda ko ussai or kisi cheez ki towaqqa nhi hoti. iss haqeeqat ko Quraan paak nai intaihaye Dil nasheen andaaz mai iss tarha bayaan kiya hai...
Kya tum daikhtai nhi ho Kai. Allaha nai kalma tayyaiba ko kis cheez sai misaal di hai. Iski misaal aisi hai jaisai aik acchi zaat ka Darakht jiski jadd zameen mai gehri jami huai hai. Or shakhayai aasmaan tak powuchee huai hai. Har aan wo apnai Rab Kai Hukum sai apnai phal dai rha hai. Yai misalayai Allaha isliyai daita hai. Kai log inn sai sabaq lai...