आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Touheed ka sila

Popular Posts

Showing posts with label Touheed ka sila. Show all posts
Showing posts with label Touheed ka sila. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Touheed ka sila

Touheed  ka  sila


Welcome to Touheed  ka  sila


Hazrat usmaan bin affan raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. Kai jo shakhs iss haal mai mra yani intaiqal huwa. Kai usai yaqeen tha kai Allaha kai siwa koi mabood nhi hai. Too wo jannat mai dakhil ho gya...


Jis shakhs ka khatma iss haal mai huwa kai. Wo khuda ko hi apna mabood janta tha. Or usko yai yaqeen hasil tha. Kai khuda kai siwa koi dusra mabood nhi hai. Too wo yaqeenan jannati hai. Touheed ka sila jannat hi hai. Or yai aik wazah haqeeqat hai. Kai jisko touheed ka pukhta yaqeen hasil hoga. Uskai seerat wa kirdaar par uskai khushgawar asraat zarur nazar aayengai. Or zindigi kai tamam gosho par islaami rang zarur numaya hoga...



Darasal khuda kai nazdeek touheed ka sirf Wahi tasavvur maqbool hai. Jo khuda kai Rasul sallalahualayhiwassalam kai zaryai hamai maloom ho. Jo shakhs Rasulalla sallalahualayhiwassalam or  Rasulalla sallalahualayhiwassalam ki taleemaat par imaan nhi lata. Wo tauheed kai sahi or maqbool mafhoom par imaan kaisai laa sakta hai. Hazrat abaadah bin assamaat raziallahutaala anho kehtai hai. Mainai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ko farmatai huwai suna. Kai Jo shakhs iski shahadat dai kai. Allaha kai siwa koi mabood nhi or hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam Allaha kai Rasul hai. Uspar Allaha taala jahannum ki aag haram kar daita hai...

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...