iqamatai Deen
Hazrat ibnai umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Allaha ki hudood mai sai kisi aik had ka qayam karna khuda ki aabaadyon mai chalees raato ki baarish sai ziyadah behtar hai...
Khuda ki hudood sai murad Khuda kai ahaikaam wa qawanain hai. Jin kai majmuwaey ka naam islaam hai. islaam insaaniyat Kai liyai sar taasir rehmat hai. Allaha ki aik had qayam honai ka yai matlab hai. Kai Khuda ka koi aik hukum khuda kai banday mannai lagai. Or unki zindigiyo mai wo naafiz wa jaari ho jaaye. aik hukum kai nifaaz ki khair wa barkat chalees raat ki baarish sai ziyadah hai...
Too tasawwur ki jiyai iss samaj ki khair wa barkat aasaaish wa sahulat, sukoon wa itminaan or aman wa aashti ka jis mai pura islaam apni tamaam barkaat or fiyooz Kai sath qayam ho. Or Khuda kai bandai apni puri infairaadi or ijtaimaye zindigi mai uskai ahaikaam wa qawanain ki mukhlesaana ataaat Kar rahai hai...
Khuda kai hudood wahi bandai qayam kar saktai or qayam rakh saktai hai. Jo khud apni zindigi mai inn hudood or qawanain ki kaamil ittaiba krai. Or khowl Kai sath unka amal or unki infairaadi or ijtaimaye zindigi bhi yai shahadat dai kai. Waqaye yai hudood wa ahaikaam bandagaanai Khuda kai Haq mai sar taasir khair wa barkat or rehmat hai. magar yai kaam unhi jawaan mardo ka hai. Jo har haal mai khuda or Rasul huzur sallallahualayhiwasallam kai wafadaar ho....
OR jo us waqt bhi Quraan wa sunnat ki ittaiba or Deen ki hifazat wa iqamat hi ko apni sabsai badi saaadat samjhai. Jab duniya Deen sai bai taaluq ho rahi ho. Deen ki qadray paamaal ho rahi ho. Or Rasulalla Huzur Sallallahualayhiwasallam ki sunntai mit rahi ho...
Yaqeenan aisay oolul azm Or hoslah mand bando kai liyai zabardast ajar wa inaam hai. Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Jisnai meri ummat kai fasaad Kai waqt meri aik sunnat ko mazbooti Kai sath thama uskai liyai soo (100) shaheedo ka ajar wa sawaab hai...