Takabbur ka holnaak anjaam
Musalmaano mai wo log jo Khuda ko apna maalik, apna mohsin or apna Rab maantai hai. Zabaan sai apnai musalmaan honai ka iqraar kartai hai. Laiken uskai ahaikaam nhi maantai, khuda nai Namaaz farz ki, zakaat farz ki, Rozah farz kiya, Haj farz kiya, magar wo na Namaaz padtai hai. Na zakaat daitai hai. Na Rozah rakhtai hai. Or Na Haj karnai jaatai hai. Or Na unhai dusrai Deeni ahaikaam ki paabandi sai koi dilchasbi hai...
Dar haqeeqat yai takabbur mai mubtala hai. Or unka kibrai nafs unhai rokta hai. Kai wo Khuda kai hukmo kai aagai jhukay. wo khud ko badi cheez samajhtai hai or yai baat unhai apnai martabai sai giri huye maloom hoti hai. Kai wo Khuda ki bandigi krai. Or uskai ahaikaam ko bjalaayai...
Unki nazar mai wo log bhi haqeer Or samaj kai girai padai log hotai hai. Jo Deendaaraana zindigi guzartai hai. Namaaz Rozai ka ahtmaam kartai hai. Or apni wazaa qataa Or aamaal wa afaal mai sharyat ki ittaiba kartai hai. Mutakabbir aadmi kabhi hidayat nhi paata. uska kibr usai Haq kai aagai jhuknai hi nhi daita...
Isi liyai khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. "Jiskai Dil mai zarrah barabar bhi takabbur hoga wo jannat mai dakhil na ho sakaiga." Takabbur ki yai ibratnaak saza hi batati hai. Kai Khuda ko yai buraaye kis qadar na gawar hai. Aik mowqai par Khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai khud takabbur ki tashreeh is tarha farmaaye hai. ((Alkibru batrulhaqqi wa ghamtinnaasi)) "takabbur haq Kai maamlai mai akadnai Or itraanai Or Logo ko Haqeer samajhnai ka naam hai"...
via Blogger https://ift.tt/34LONcv
December 03, 2019 at 06:06AM
via Blogger https://ift.tt/2rcmwgD
December 03, 2019 at 07:28AM