Posheeda tariqay sai Rahay khuda mai kharach karna
Dusri naiky jiski targheeb dee gye hai. Wo posheeda tariqay par sadqa WA khairaat hai. Sadqay mai akhfaa ki taakeed Quraan mai bhi ki gaye hai. Or hadees mai bhi khuda ki nazar mai isi amal ki koi qeemat hai. Jo maihaiz khuda ki Raza kai liyai kiya gya ho...
Or sadqay Kai maamlay mai ziyada sai ziyada ikhlaas ki tuwaqqai usi sadqay mai ki ja sakti hai. Jo chupakar kiya gya ho. Or uska yai Sila kai ussai khuda ki aatish gazab thandy hoti hai. Momin kai liyai aisai pasandeeda Sila hai. Kai wo uski khatir ziyada sai ziyada chupakar kharch karnai ka ahtmaam krai...
Darasal shab wa roz insaan sai mukhtalif qism ki kotaahiya or Gunah hotai rahtai hai. Or Gunah hi too hai. Jo khuda kai ghazab ko bhadkata hai. iss gazab ko thanda karnai or khuda kai gussay ko bujhanay kai liyai behtreen tadbeer yai hai. Kai aadmi khuda ki rah mai sadqa krai...
Or mehaiz yai sadqa khuda ki raza kai liyai krai. iss ikhlaas kai ahtmaam ka tariqa yai hai. Kai jahan tak ho sakay wo chupakar khuda ki rah mai kharach krai...
((Aik haat sai dai to dusray haat ko pta chalnai na dai.))
Shukriya....
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment