Daana' Rasulalla sallalahualayhiwassalam ki nazar mai
Hazrat shaddad bin ous raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. "Daana wo hai. Jo apnai nafs ko qabu mai rakhai or mout kai baat ki zindigi Kai liyai amal krai. Or nadaan wo hai. Jo apnai nafs ki khwahishaat ka ittaiba krai. Or Allaha sai baibunyaad aarzoaey lagaye rakhai...
Iss hadees mai khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai apni ummat ko daanaye Or nadaani ka Haqeeqi miyaar btaya hai. Daana Haqeeqat mai Wahi hai. Jo iss miyaar par pura utray. Daana wo nhi hai. Jo khud ko Daana tasavvur krai ya duniya usai Daana samjhai...
Daana wo hai Jo khuda or Rasul sallalahualayhiwassalam ki nazar mai Daana hai. Khuda or Rasul huzur sallalahualayhiwassalam ki nazar mai Daana wo hai. Jo apnai nafs ko qabu mai rakhai. Har waqt uska muhasba karta rhai. Or kisi waqt us nigraani sai ghafil na ho Kai...
Wo apni manmani karnai lagai. Or khuda ki bataye huai hudud WA qaid sai aazad ho jaye. Or wo shakhs har waqt akhrat ki zindigi ko paish nazar rakh kar mout kai baad ki zindigi ko sawarnay, bananay Or waha ki sarkhui hasil karnai kai liyai sargaram rahai...
Nadaan Or baiwaqoof khuda or Rasul sallalahualayhiwassalam ki nazar mai wo shakhs hai. Jo apni lagaam aapnai nafs kai hath mai dai dai. Or nafs ki khwahishaat puri karnai mai hi laga rahai. Or phir khuda sai baibunyaad aarzoaey lagaye rahai. Yani aapnai aamal sai too khuda kai ghazab ko bhadkata rahai. Or maihaiz aarzoown sai jannat hasil karna chahai...
Daanaye Dar asal Deen ki baseerat sai paida hoti hai. Or Deen ki baseerat usi ko hasil hoti hai. Jo apnai imaan WA islaam mai mukhlis ho. Deen ki baseerat mai munafiq ka koi hissa nhi Jo sirf Duniya ka Banda hai. Huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. "Do khaslatay aisi hai. Jo munafiq kai andar jma nhi ho sakti. Khush khalqi Or Deen ki baseerat".
Allaha Rabbul izzat ham sab ko Daanaye banaye... Aameen