Qalbi itminaan wa suroor
Teesri baat aap huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai yai farmaye kai. Naimato mai aik badi naimat Dil ka itminaan or suroor hai. Seaihat, dolat sab kuch usi kai liyai hai. iss liyai momin ki nigah us par rahai kai. Wo apni Dolat or seaihat sai Dil ka itminaan or suroor hasil karnai ki fikr krai...
Qalb ka sukun WA itminaan or musarrat wa shaadmaani agar hasil nhi hai too Dolat wa seaihat sab baikaar hai. Or agar Dolat WA seaihat mai kuch Kami bhi hai. Laiken Qalbi suroor or itminaan aadmi ko hasil hai. too Duniya jha ki naimat usay hasil hai. Or suroor wa itminaan ki Dolat usi tarha hasil ho sakti hai. Kai aadmi apni seaihat or Dolat sai khuda ki marzi kai mutabiq kaam lai...
Aik chothi baat jo khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai lafzo mai to nhi farmaye hai. Laiken inn teeno cheezo yani "maal WA Dolat" "seaihat WA tanawaye" "Qalbi itminaan wa suroor".ko naimat qarar dainai sai khud bakhud samajh mai aati hai...
Wo yai kai jab yai teen cheezai naimat hai. too naimat kai baarai mai zarur Khuda Rabbul izzat aik din baaz purs farmayega. Khuda ki yai naimatai jis bandai ko bhi mili hai. Usai yai fikr zarur honi chahiyai kai. Kal UN naimato kai baarai mai Khuda mujh sai puchaiga. Jisnai apnai fazal sai inn naimato sai mujhai nawaza hai...
Khuda ka irshaad hai........................ ( (Or tum sai zarur UN naimato kai baarai mai pucha jayenga.))
via Blogger https://ift.tt/2rgqhRZ
November 22, 2019 at 05:17AM
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment