Ranj wa hazan ka elaj
Aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam kai ghar mai kisi qism ka ya hazrat aayesha siddiqa raziallahutaala anho ka koi rishtaidaar intaiqal kar jata tha. Too aap huzur sallalahualayhiwassalam Tanbiya pakwaya kartai thai. Or usko shareed kai sath dal kar farmaya kartai thai. Kai logo isko khaou kyunki ismai shifa hai. Or hazrat aayesha raziallahutaala anho farmati hai. Kai mainai aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam sai suna hai. Kai aap farmatai thai. Kai Tanbiya dil ki bimari kai liyai Rahat hai. Or bughz wa Gham ko kho daita hai...
Baaz hadees mai hai kai. jab aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam sai koi yai kehta kai. falaa shakhs bimari ki wajah sai khana nhi khata. too aap huzur sallalahualayhiwassalam ussai farmatai kai mareez ko Tanbiya pilaou. qasm hai us zaat paak ki jiskai qabzai qudrat mai meri jaan hai. Tanbiya pait ko aisa dho daita hai. jaisai koi shakhs apnai muh kai mail kuchal ko dho dalta hai...
Hamai maloom hona chaiyai kai. Tanbiya aik Rafiq cheez hai. jisko piya jata hai. Or uskai bnanai ki tarkeeb yai hai. kai joo ka baghair chhana aata Laikar usko doodh mai pakatai hai. Or uskai andar shaihed mila diya jata hai. uskai baad thanda karkai piya jata hai. Or baaz ouqaat shareed mai bhi milakar khaya jata hai. shareed ka mashoor tariqa yai hai. kai shorbai mai Roti dalkar pakai jati hai. yai ghiza Quvvat dimagh kai liyai bhout mufieed hai. maidai or pait ki alaisho ko paak karta hai. Or Ranj wa Gham kai liyai bhout mufieed hai...
Aik baat yaad rakhni chaiyai. kai Tanbiya tabai nabwi sallalahualayhiwassalam mai wahi hasiyat rakhti hai. jaisai tabai yunani mai aash joo. jalinus ka qual hai. kai joo kai barabar koi ghiza paida nhi hui. kyunki yai ghiza bimar or tandrust dono kai kaam aati hai.
isiliyai marizo ko aashai joo pilaya jata hai. aashai gandam nhi daitai. kyunki aashai joo piyaas ko marta hai. khoon kai josh ko kam karta hai. Or safra ko door karta hai. or iskai sattu shakar kai sath milakar behtreen ghiza hai.
baaz olma nai likha hai. kai joo behtar cheez honai ki yahi aik daleel kafi hai. kai taamam ambiya alayhisalam or paighambro ki yai ghiza rahi hai. isiliyai musalmano kai liyai yai behtreen ghiza hai. jalinus or baaqrat chahai kuch bhi kahai...