आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Deen ki mizaaj shinaasi

Popular Posts

Showing posts with label Deen ki mizaaj shinaasi. Show all posts
Showing posts with label Deen ki mizaaj shinaasi. Show all posts

Saturday, August 19, 2023

Deen ki mizaaj shinaasi

Deen  ki  mizaaj  shinaasi


Welcome to Deen  ki  mizaaj  shinaasi


Hazrat abdurrahmaan bin owf raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam kai sahabi na tang Dil thai. Or na tang zahain Or na wo bujhai bujhai fasardah or Na hi murda banai rahtai thai...


Un ki majliso mai shairo shairy bhi hoti. Jahili zindigi kai qissay kahaniya bhi hoti. Albatta jab Khuda kai Deen kai maamlai mai un sai koi na munasib mutalba kiya jata. too ghaiz wa gazab sai unki aankho ki putliya iss tarha gardish karnai lagti kai jaisay un par junoon ka dowra pad gaya ho...


Sahaba kiraam raziallahutaala anho ki deendaaraana zindigi ka asal johar yai tha. Kai wo Deen kai maamlai mai intaihaye ghair tamand thai. Baijaarwadaari Or madahant sai unki zindigi paak thi. Deen kai khilaaf jab koi baat unkai saamnai aati. ya khilafai haq kisi khwahish ka un sai izhaar kiya jata too unki ghairat bhadak uthti. unka paara chad jata. Or gussay ki shiddat sai unki aankho ki putliya iss tarha naachnai lagti jaisay kai wo deewanay ho gaye hai...


Wo tang Dil na thai. Or tang zaihaineeyat sai bhi paak thai. Laiken Deen kai maamlai unmai zara la chak or narmi na thi. Wo haq kai mukhlis wafadaar thai. Nahaq kai sath musalhat sai unki zindigi Na aashna thi. Unki ghairaitai haq yai hargis bardasht nhi kar sakti thi. Kai haq kai khilaaf un sai koi mutalba kiya jaye...


Iss tarha ki towaqqa ka izhaar agar un kai saamnai hota too un par junoon ki si kaifeeyat taari ho jati. Deen kai liyai baighairti Or madahant ka deendari sai koi jod nhi. Haq ka wafadaar NaHaq kai liyai hargis narm nhi ho sakta. Deen kai maamlai mai NaHaq sai musalhat or rawadari, kushadah dili Or kushadah zaihaini nhi hai. Balkai badtareen qism ki baighairti, mudahant or baideeni hai...


Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...