Teen naikiya' Teen silay
Hazrat Abu umama raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. Logo kai sath husnay suluk buri mout sai bachata hai. Or chupa Kar diya janai wala sadqa Rab ki aatish gazab ko bujhata hai. Or Sila rahmi sai umar mai Barkat hoti hai. Yai mukhtasar tareen hadees teen naikiyo ki talqeen karti hai...
- Yai kai aap khuda kai bando kai sath naik suluk krai.
- Yai kai aap posheeda tariqay sai rahay khuda mai kharach krai.
- Yai kai aap Rishtaidaaro Kai sath sila rahmi krai.
Inn teeno silo mai momin kai liyai ghair mamoli kashish Or jaazbiyat hai. Or inn ki khatir aadmi mai husnay amal kai liyai baipanah shoq Or josh paida ho sakta hai. Khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai insaani nafsiyaat ki intaihaye hakeemaana riyaayat kartai huai inn naikiyo ki intaihaye kamyaab targheeb Dee. Or shoq wa jazbay ko ubharnay ka nihayat mousar andaaz ikhtayaar farmaya hai...
Bando kai sath naik suluk par youn too Quraan WA sunnat mai jagah jagah mukhtalif pehluow sai guftgu ki gaye hai. Laikeen yaha aik aisay pehlu ko ubhara gaya hai. Jiski talb mai momin intaihai harees hai. acchi Or buri mout hi par saara daromadar hai. Momin ki saari tagg WA dwa isiliyai hai. Kai wo acchi mout sai ham aaghosh ho. Or uska khatma imaan par ho...
Aakhrat ki saari naimatay Or khuda ki raza usi banday ko naseeb hogi. Jiska khatma imaan par ho. Or Rasulalla huzur sallalahualayhiwassalam ki bisharat yai hai kai. Husnay anjaam usi banday ka hissa hai. Jo bando kai sath naik suluk krai. Quraan paak mai bhi yai ishaara nihayat imaan afroz andaaz mai moujood hai...