आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Haraam tariqay sai Rozy

Haraam tariqay sai Rozy


Welcome to Haraam tariqay sai Rozy



Aap Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Aik aadmi lamba safar karkai muqaddas muqaam par aata hai. Ghubaar sai ata huwa hai gird aalud hai. Wo apnai dono hath aasmaan ki taraf utha kar kehta hai. Aey meray parwardeegaar. (Or duwayai mangta hai). Jab kai uska khana Haraam hai. Uska peena Haraam hai. Uska libaas Haraam or Haraam hi sai uska jism pla hai. too aisay shakhs ki DUWA bhala kaisai Qabool ho sakti hai...


Aik baar aik shakhs nai Nabi Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai darkhwast ki. Kai Huzur sallallahualayhiwasallam meray liyai Duwa farma dijiyai kai. Khuda mujhay mustajaab aldawaat bana dai. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya  (tum Halaal kamaye khaya Karo. Khuda tumhai mustajaab aldawaat bana dai ga)...


Quraan paak sai maloom hota hai. Kai naik aamaal ki towfeeq usi ko hoti hai. Jo Halaal or tayyab Rozy khaye. Khuda ka irshaad hai. ((Aey Rasulo. Paakeezah Rozy khaow Or naik aamaal karo)). Aamaal naik hon ya bad unkai karnai ki Quvvat WA sakat khanai peenai sai hi paida hoti hai. Agar aadmi Haraam sai jism ko paal raha hai too phir ussai naik aamaal ki kya towaqqai. Naik aamaal too Wahi kar sakta hai. Jo paak or Halaal Rozy sai jism ko Quvvat or taqat faraaham kar raha hai...


Momin ki shaan yai hai kai. wo sirf wazah Haraam hi sai nhi bachta balkai. iss cheez sai bhi bachta hai. Jo mushtabah ho or jiski taraf sai dil mai shak or khatak ho. Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Apnai zameer sai puch liya Karo, jis cheez par tumhara zameer Mutmaeen ho wo jaaiz hai. Or jis cheez par Dil na thukay Or khatak mehsoos ho. Ussai bacho chahai log tumhai jawaaz ka fatwa dai dain...


Jab Dil mai Khuda ka khowf hota hai. too aadmi aisi cheezo sai bhi bachta hai. Jin mai zra shuba hota hai. Ha khuda ka khowf na too phir aadmi parwah nhi karta kai. Halaal hai ya Haraam. Aap huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Koi bandah Haraam kamata hai. Phir usmai sai sadqa karta hai. too yai sadqa uski taraf sai Qabool na hoga....


Or agar yai maal wo apni zaat or gharwalo par kharch kraiga too khair wa barkat na hogi. Or jab usko chod kar mraiga. too yai jahannum kai liyai zaadairah banaiga. Allaha buraye ko buraye sai nhi mitata balkai. Buraye ko acchaaye sai mitata hai. Khabees khabees ko nhi mitata...














via Blogger https://ift.tt/2rp5njW
December 07, 2019 at 11:39PM
via Blogger https://ift.tt/2rqyAer
December 08, 2019 at 03:26AM

Yai amal karnai sai Pait ka dard door hota hai or hazma hota hai

Yai amal karnai  sai Pait ka dard door hota hai or hazma hota hai     



  
Welcome to Yai amal karnai  sai  Pait ka dard door hota hai or hazma hota
           


Abu nayeem nai                                                                                hazrat abu huraira raziallahutaala anho sai  riwayat ki hai. Kai mai pait kai dard ki wajah sai masjid mai laita huwa tha kai. Hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam tashreef layai or pucha kya tum bimar ho? Mainai kaha Ha ya Rasulalla sallalahualayhiwassalam. Farmaya uth kar khada ho or namaz padho. Kyunki namaz mai shifa hai. Or baaz riwayat mai hazrat aayesha raziallahutaala anho sai manqul hai. Kai Allaha kai zikr sai namaz sai khana hazm kiya kro. Or khana khatai hi na soo jaya kro. issai tumharai dil tang aaluda ho jayengai.

Qarz dainai ki targheeb

Qarz dainai ki targheeb 


Welcome to Qarz dainai ki targheeb



Hazrat Abu umama raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Aik aadmi jannat mai dakhil huwa too usnai daikhta kai. Jannat Kai Darwazai par likha huwa hai. (Sadqay ka ajar wa sawaab Das guna hai. Or Qarz dainai ka ajar wa sawaab attaharah guna)...


Is hadees mai khushhaal musalmano ko targheeb di gaye hai. Kai wo khushdili sai Qarz dainai ki aadat daalai. takai islaami sosaity mai sahulat kai sath zarurat mando ko Qarz mil sakay. Qarz dainai ka ajar wa sawaab sadqay sai ziyada hai. Is liyai kai sadqa lainai wala too us waqt bhi sadqa laita hai. Jab uskai paas kuch hota hai...


Magar Qarz maangnai wala usi waqt Qarz maangta hai. Jab uskai paas kuch nhi hota. Or zahir hai kai. Aisay zaruratmand ki zarurat puri karna ziyadah ajar wa sawaab ka kaam hai. dusri wajah yai hai kai. Sadqa dainai kai muqablai mai Qarz dainai mai maal ki muhabbat kai jazbaat dabanai Or nafs ko Rondnai ka ziyadah mowqa milta hai...


Sadqay kai maal kai baarai mai tasavvur yai hota hai. Kai yai too Naadaar ka Haq hai hi. na yai meri malkeeyat hai. Na mai ussai faydah utha sakta hoon. iskai bar aks Qarz mai diyai jaanai walay maal kai baarai mai yai tasavvur hota hai. Kai yai mera maal hai. mujhay ussai nfa hasil karnai ka Haq hai...


Qarz daikar wo apna maal dusrai ki malkeeyat mai daita hai. Or apnai nfa ko Qurbaan karkai dusray ko ussay nfa hasil karnai ka mowqa faraham karta hai. Isi liyai sadqa daina aadmi kai liyai aasaan hota hai. Or qarz daina nafs par ziyada giraa hota hai. talb karnai walay ko khushhaal aadmi sadqa ziyadah aasaani or frakhudli sai dai daita hai. Laiken qarz aasaani sai nhi daita hai. Qarz daina nafs par ziyadah shaaq hota hai...


Teesri wajah yai bhi hai. Kai islaam apni sosaity ko iqtasaadi towr par mustahkam banana chahata hai. Wo chahata hai kai khushhaal log Qarz talb karnai walo ko Qarz daikar owncha uthanai ki koshish krai. Or unkai halaat sudharnay mai unkai sath taaawun krai...











Halaal Rozi

Halaal Rozi


Welcome to Halaal Rozi



Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Logo par aik aisa zamaana aayega kai. Aadmi iss baat ki parwa Na kraiga. Kai usnai kya kaha sai kamaya, Halaal kamaya ya Haraam?...


Yani wo aisa aazadi Or baideeni ka dowr hoga kai. Halaal wa Haraam ki tameez na rahaigee. magar khuda sai darnai Walay musalmaan ko aisey dowr mai bhi Halaal ka ahtmaam karna hai. Khuwah yai kaam kitna hi dushwaar ho, yai yaqeen rakhna chahiyai. Kai jab tak zindigi hai. Rozy baihairhaal milaigee...


Sahulat sai milay ya dushwari sai, faraqi sai milay ya tangi sai, aik mowqai par nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. "Logo Allaha ki nafarmani sai dartai raho. Or Rozy ki talash mai galat tariqay mat ikhtaiyaar Karo...


Is liyai kai koi shakhs is waqt tak nhi mar sakta. Jab tak wo apnai hissay ki Rozy puri na lailay. yai ho sakta hai kai.  uskai milnai mai kuch taakheer ho jaaye. too khuda sai dartai raho. Or Rozy hasil karnai mai accha tariqa ikhtaiyaar Karo. Halaal Rozy hasil Karo. Or Haraam Rozy kai qareeb na jaow"...

via Blogger https://ift.tt/2qu35j5
December 07, 2019 at 05:44AM

via Blogger https://ift.tt/33ZQYb6
December 07, 2019 at 07:01AM
via Blogger https://ift.tt/33ZerJJ
December 07, 2019 at 07:05AM

Tilawatai Quraan

Tilawatai  Quraan 


Welcome to Tilawatai  Quraan



Hazrat Abdullah bin umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. yai quloob bhi Zang aalud ho jaatai hai. Jis tarha paani padnai sai loha zang aalud ho jaata hai. Pucha gaya yaa Rasulalla sallallahualayhiwasallam phir dilo ka zang dowur karnai or jila bakshnai ka kya tariqa hai?...


Irshaad farmaya. ((Kasrat sai mowt ki yaad or Quraan ki tilawat)). Burai khayalaat, gandai jazbaat, bughz wa anaad, keena Or gunah wa khata sai dil par aik tarha ka mail Or siyahi aa jaati hai. Usi ko Dil ka zang kaha gaya hai. iss zang or ghubaar ko dowur karnai kai liyai nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai do cheezai bataye hai.  ((mowt ki kasrat sai yaad or tilawatai Quraan))...


Kasrat sai mowt ki yaad ka matlab yai hai. Ki aadmi shaowr kai sath har waqt yai baat apnai saamnai rakhai. Kai zindigi ki yai mohlat baihair haal aik din khatam hona hai. Yai mohlat aik hi baar milti hai. dobaarah phir amal karnai kai liyai kabhi mohlat na milaigee. is liyai is zindigi ka aik aik lamha aakhrat ki kamaye mai sarf hona chahiyai...


Tilawatai Quraan ka matlab yai hai. Kai aadmi Quraan ko paabandi sai barabar padhata rahai. Sahi sahi padhnai ka ahtmaam karai. Iski taaleemaat Or aayaat par ghor wa fikr krai. Yaksooi, ikhlaas or koshish kai sath uskai ahaikaam par amal krai. uskai padhnai padhanai ko riwaj dai. uski ishaat krai. Or khuda kai bando tak uska paighaam pohonchaye...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Shab wa Roz Quraan ki tilawat ka haq ada karo. Uski ishaat Karo Or acchai andaaz mai uskai padhnai ka ahtmaam Karo. Or hidayat hasil karnai ki gharz sai usmai ghor wa fikr Karo. takai tum kamyaab ho. Or jald baazi karkai uskai zaryai Duniya ka Sila mat chahana. Khuda ki khushnoodi hi Kai liyai uski tilawat karna kai akhrat mai uska sila laazmi hai...


Hazrat Abu zar ghafaari raziallahutaala anho ki darkhwast par aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai unko waseeyat kartai huai irshaad farmaya. Quraan ki tilawat or Allaha ka zikr paabandi sai kartai rehna. Uskai zaryai aasmaan walo mai tumhara zikr or charcha hoga. Or yai amal zindigi ki taareekiyon mai tumhai Roshni bakshaiga...



Takabbur ka holnaak anjaam

Takabbur ka holnaak anjaam


Welcome to Takabbur ka holnaak anjaam


Musalmaano mai wo log jo Khuda ko apna maalik, apna mohsin or apna Rab maantai hai. Zabaan sai apnai musalmaan honai ka iqraar kartai hai. Laiken uskai ahaikaam nhi maantai, khuda nai Namaaz farz ki, zakaat farz ki, Rozah farz kiya, Haj farz kiya, magar wo na Namaaz padtai hai. Na zakaat daitai hai. Na Rozah rakhtai hai. Or Na Haj karnai jaatai hai. Or Na unhai dusrai Deeni ahaikaam ki paabandi sai koi dilchasbi hai...


Dar haqeeqat yai takabbur mai mubtala hai. Or unka kibrai nafs unhai rokta hai. Kai wo Khuda kai hukmo kai aagai jhukay. wo khud ko badi cheez samajhtai hai or yai baat unhai apnai martabai sai giri huye maloom hoti hai. Kai wo Khuda ki bandigi krai. Or uskai ahaikaam ko bjalaayai...


Unki nazar mai wo log bhi haqeer Or samaj kai girai padai log hotai hai. Jo Deendaaraana zindigi guzartai hai. Namaaz Rozai ka ahtmaam kartai hai. Or apni wazaa qataa Or aamaal wa afaal mai sharyat ki ittaiba kartai hai. Mutakabbir aadmi kabhi hidayat nhi paata. uska kibr usai Haq kai aagai jhuknai hi nhi daita...


Isi liyai khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. "Jiskai Dil mai zarrah barabar bhi takabbur hoga wo jannat mai dakhil na ho sakaiga." Takabbur ki yai ibratnaak saza hi batati hai. Kai Khuda ko yai buraaye kis qadar na gawar hai. Aik mowqai par Khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai khud takabbur ki tashreeh is tarha farmaaye hai. ((Alkibru batrulhaqqi wa ghamtinnaasi)) "takabbur haq Kai maamlai mai akadnai Or itraanai Or Logo ko Haqeer samajhnai ka naam hai"...





via Blogger https://ift.tt/34LONcv
December 03, 2019 at 06:06AM
via Blogger https://ift.tt/2rcmwgD
December 03, 2019 at 07:28AM

Hidayat Kai Do sar chashmai

Hidayat Kai Do sar chashmai 


Welcome to Hidayat Kai Do sar chashmai



Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. mai tumharai Darmiyaan Do cheezai chodai ja rha hoon. tum hargis Na bhatkogai jab tak inn dono ko mazboot pakdai rahogai. ((Allaha ki kitaab or Rasulalla sallallahualayhiwasallam ki sunnat))...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam umaat sai Rukhsat hotai huwai ummat kai liyai Do cheezai chod gaye Allaha ki kitaab or apni sunnat. Ummat jab tak inn dono cheezo ko mazboot pakdai rahaigee. Hidayat ki seedhi shahrah par qayam rahaigee or hargis Na bhatkai gee...


Deenay Haq kai asal do hi sar chashmai hai. Kitaab Allaha or Sunnat Rasulalla Huzur Sallallahualayhiwasallam. Kitaab Allaha ko mazboot pakadnai ka matlab yai hai. Kai ummat usi ko hidayat ka asal sar chashma samjhai Or zindigi kai saarai maamlaat mai sacchai Dil sai uski pairvee krai...


Rehti Duniya tak Khuda ka aakhri mustand, mehfooz Or mukammal hidayat naama Quraan hi hai. Duniya ki kaamraani Or akhraat ki falah usi ko naseeb hogi Jo us par imaan laaye. Or uski taaleemaat Or ahaikaam Kai mutabiq apni infairaadi or ijtaimaye zindigi dhalai...


Uski hidayat or usool aisay aalmi , daaimi Or lachakdaar hai. Kai har dowr or har zamanay kai har tarha kai paida shudah haalaat or nit naye masail mai thieek thieek rehnumaaye kartai hai. Or zindigi kai kisi maamlai mai bhi insaan ko andhairay mai bhatakta nhi chodtai...






Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...