Qarz dainai ki targheeb
Hazrat Abu umama raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Aik aadmi jannat mai dakhil huwa too usnai daikhta kai. Jannat Kai Darwazai par likha huwa hai. (Sadqay ka ajar wa sawaab Das guna hai. Or Qarz dainai ka ajar wa sawaab attaharah guna)...
Is hadees mai khushhaal musalmano ko targheeb di gaye hai. Kai wo khushdili sai Qarz dainai ki aadat daalai. takai islaami sosaity mai sahulat kai sath zarurat mando ko Qarz mil sakay. Qarz dainai ka ajar wa sawaab sadqay sai ziyada hai. Is liyai kai sadqa lainai wala too us waqt bhi sadqa laita hai. Jab uskai paas kuch hota hai...
Magar Qarz maangnai wala usi waqt Qarz maangta hai. Jab uskai paas kuch nhi hota. Or zahir hai kai. Aisay zaruratmand ki zarurat puri karna ziyadah ajar wa sawaab ka kaam hai. dusri wajah yai hai kai. Sadqa dainai kai muqablai mai Qarz dainai mai maal ki muhabbat kai jazbaat dabanai Or nafs ko Rondnai ka ziyadah mowqa milta hai...
Sadqay kai maal kai baarai mai tasavvur yai hota hai. Kai yai too Naadaar ka Haq hai hi. na yai meri malkeeyat hai. Na mai ussai faydah utha sakta hoon. iskai bar aks Qarz mai diyai jaanai walay maal kai baarai mai yai tasavvur hota hai. Kai yai mera maal hai. mujhay ussai nfa hasil karnai ka Haq hai...
Qarz daikar wo apna maal dusrai ki malkeeyat mai daita hai. Or apnai nfa ko Qurbaan karkai dusray ko ussay nfa hasil karnai ka mowqa faraham karta hai. Isi liyai sadqa daina aadmi kai liyai aasaan hota hai. Or qarz daina nafs par ziyada giraa hota hai. talb karnai walay ko khushhaal aadmi sadqa ziyadah aasaani or frakhudli sai dai daita hai. Laiken qarz aasaani sai nhi daita hai. Qarz daina nafs par ziyadah shaaq hota hai...
Teesri wajah yai bhi hai. Kai islaam apni sosaity ko iqtasaadi towr par mustahkam banana chahata hai. Wo chahata hai kai khushhaal log Qarz talb karnai walo ko Qarz daikar owncha uthanai ki koshish krai. Or unkai halaat sudharnay mai unkai sath taaawun krai...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment