Dimagh ki khushki or kharish door karna
Abu hatim nai hazrat aayesha raziallahutala anho siddiqa sai riwayat ki hai. Kai Rasulalla hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam kheerai ko khajur kai sath tanawul farmaya kartai thai. or irshaad farmatai thai. Kai khajur ki garmi kheerai ki thandak ko zaieel karkai mutadil kar daitey hai. iss hadees sai maloom huwa kai. Kheera sard wa tar hai. isiliyai safravee wa soodavee mijaz walo kai liyai kheera bhout mufieed hai or masanai ki pathri ko nikal dalta hai. khoon ko saaf karnai kai liyai yai khayai Pomogranate yani Anar kai beshumar faydai hai. Or har Anar mai aik qatra jannat kai pani ka zarur hota hai. anar khoon saaf karta hai. Or bigdai huai khoon yani kharab khoon ko sahi karta hai. Quvvat ko badhata hai. Maidai ko saaf karta hai. Tabyat ko narm karta hai. Dast band karta hai. Khanai kai baad Anar khanai sai khana jald hazm hota hai. Jigar mai Quvvat paida karta hai. Aawaz ko saaf karta hai. Or jism ko tandrust karta hai. or rang nikharta hai. Laikeen ziyada Anar kai istimaal sai maida zaieef hota hai. Anar tarsh maidai ki hararat ko kam karta hai. Or khoon kai jhosh ko badhata hai. Or Dimagh ki taraf nijaraat ko chadnai sai rokta hai. Agar garmi ziyada lagai too iska khana bhout mufieed hai...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment