आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Yai Zindigi meri kahani meri zubani khatam ho gaye Teri meharbaani

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Yai Zindigi meri kahani meri zubani khatam ho gaye Teri meharbaani

Yai Zindigi meri kahani meri zubani khatam ho gaye Teri meharbaani 


Welcome to Yai Zindigi meri kahani meri zubani khatam ho gaye Teri meharbaani



Merai pyarai Dosto aajkal log zindigi ki bhagam bhag mai lagai huwai hai. Kuch log dusro kai liyai bhi jeetai hai or apnai liyai bhi. or kuch log sirf or sirf apnai liyai jeetai hai. pta nhi in logo kai Dil patthar hai kya. Mai aaj aapko aik aisi kahani btanai ja raha hoon. Jaha dukh or takleefo ka pahad toot gya tha. Aik waqt tha jab inki zindigi bhout khusgawar thi. yai log kaafi paisai Waley thai.



Father kai inkai aam yani mango tree thai or fruit ka badshah yani aam market mai transport kartai thai. inka bhout accha business tha kafi paisai Waley thai.market mai aam transport hotai thai. Lakin aik waqt inki Zindigi mai aisa aaya ki inkai father ki bohot halat kharab ho gaye. or unko pait ki bimari ho gaye. Kala peelya ho gya jissai unka lever kharab ho gya.har jagah ilaj huwa bhout doctors ko dikhaya.inka saara jama punji inkai ilaj mai chala gaya. lakin kuch bhi fayda nhi huwa.



Doctors nai la ilaj kar diya tha. inki age bhi ziyada nhi thi sirf 30 saal.Delhi kai badai badai hospital nai bhi inkar kar diya. ilaj to har jagah huwa lakin zindigi nhi Bach saki aakhirkar inko apnai bivi baccho ko chorkar is duniya Sai jaana hi pada. ab inkai Abba kai guzar jaanai kai baad jo musibato ka pahad inpar aaya wo kaafi dardnaak tha.



yai log abhi apnai Abba kai is Duniya Sai guzar nai ka gham bhi nhi bhool paaye thai. or phir inkai badai baitai nai apnai Abba ka karobaar sambhalna shuru kar diya. Lakin baap wali baat to karobaar mai aa hi nhi sakti baita 14 saal ka tha or wo is karobaar ko sahi sai nhi samajh saka tha jiskai dowraan karobaar mai kaafi nuqsaan huwa.



Or yai halkai halkai Karzai mai dubtai chalai Gaye. Or phr aik din achanak inkai mango tree kai dikhbhal karnai walai nokar ki usi farm house mai mout ho gaye saanp kai katnai sai. Yai bhi upar Waley ki tarf sai tha yai teen log alag alag palang par brabar brabar so rahai thai. mango tree yani aam kai maalik kai baita or do nokar alag alag par sath mai so rahai thai. Or wo palang aapas mai bilkul milai huwai thai.



Lakin saanp aam kai malik kai baitai kai pairo kai upar sai hota huwa. teesrai Waley palang par jis par nokar so raha tha uskai kat liya or jab subh huye to to us nokar ko mra huwa paaya. saanp kai kantnai sai us nokar ki body Puri neeli ho gaye thi. ab yai aik or pareshaani saamnai aaye kai uskai Ghar Waley kahi police kais nhi kar dai lakin nokar kai gharwalo ko pura bhorosa tha kai yai aam kai kaam karnai Waley kai baitai kisi ka kuch galat nhi kar sakti.



Wo nokar is aam kai karobaar karnai Waley kai bhout purana nokar tha. wo in aam kai malik ko apnai Ghar ka hi sadassai samajhta tha or ha aam kai malik kai baap or baitai dono hi apnai jitnai aam ki farm house mai kaam kartai thai sabko apna hi samajhtai thai kisi sai koi bhaidbhaw nhi kartai thai. 



Or aakirkaar us nokar kai gharwalo ko kaafi accha muaawza diya or wo maan gaye. is pareshaani sai to chutkaara mil gaya. Lakin iskai baad us aam kai malik kai batao ki Amma nai apnai baita sai is kaam ko yani mango ka kaam khatam karnai ko keh diya. or is aam kai kaam mai inko kaafi nuqsaan huwa or yai bhout ziyada karzaidaar ho gaye. abhi to aagai or pareshaaniyo ka saamna karna tha inhai.



Ab inkai Zindigi mai bhout ziyada pareshaani aaye. yai paanch bhai thai jinmai char bhai 1saal 2 saal 3saal or 4 saal kai thai bhot chotai thai or yai Ghar mai sabsai bda bhai thai 14 ya 15 saal ka. or inki teen bhenai jo 8 ya 9 saal ki thi. Or ab zindagi mai takleefai hi takleefai thi. Aam kai kaam mai bhout nuqsaan huwa jissai yai bhout logo kai karzaidaar ho gaye. karza chutanai kai liyai inki maa nai apna saara zaivar or apnai pati ki zameen bhi baich di.



Ab yai karza to utar gaya. Aam ka kaam karnai walai malik  kai baitai ki kam umri ki wajah sai  yai aam ka kaam sahi tariqai sai nhi kar saka. or saara karobaar doob gaya. ab inkai baitai nai is kaam sai nikal kar siyasat mai kadam rakha. ab siyasat mai jakar yai kaafi chalak ho gya or cabinet mantri kai kaafi kareeb ho gya. kareeb to ho gaya lakin yai mantri koi kaam nhi daita tha bas dorata rehta tha.



OR ab ghar kai halat din ba di badtar ho rahai thai. chotai bhai bhukhai rehtai kaafi kaafi din Ghar mai khana khanai ko nhi milta or agar khana milta bhi to wo bhi chatni or roti or roti bhi aik ya do jismai sai sab bhai chotai chotai tukrai tukrai kha laitai. Lakin pet nhi bharta. Kabhi aaspados kai log roti ya chawal dai jaatai. Wo bhi sab Ghar walai Thora thora khatai.



Lakin thorai thorai mai pet kaisai bharta hai. or yai Charo chotai bacchai Khali pet school jaatai inki maa Ghar par pattiwar ka kaam karti. Or inkai school ka kharsh nikalti. Lakin itnai kam paiso mai ghar ka kharsh or school ka kharsh kaisai chalta. Zindigi badi jaddojahaid mai guzri.



Or inki teen behno nai senior secondary or high secondary pass Kiya baaki padaye inki maali halat ki wajah sai nhi ho paaye. chotai bhai school jatai to unki fees kabhi jama hoti kabhi nhi jama hoti. Or School mai fees nhi jama honai ki wajah sai in Chaaro bhaiyyo ko class sai bahar kar daitai thai. Or kaafi time tak class kai bahar khadai rehtai. wo bhi bhukai piyasai Khali pait school jaatai wo bhi paidal 4 or 5,6 or 7 saal kai bacchai.



Or ab inkai Ghar par to pahad hi toot gaya. Inka bada baitai ko cabinet mantri nai sadak kai thaika dai diya wo bhi kisi wakeel kai sath. or us dowr mai wo cabinet mantri kaafi ghamandi tha. jo bhi sadak banti thi usko fail kar daita tha. ab sadak ka thaika to Mila lakin paisa sadak tayyar honai kai baad hi milta tha.



OR is dowraan jo bhi Paisa lagaya jaayega wo apni jaib sai lagega. ab inkai badai baitai nai Karzai mai sadak bananai ka saaman kharida or us wakeel par pura bharosa kiya yai dono is sadak thaikai mai partner thai. lakin is wakeel nai yai chalaki chali kai jo bhi sadak ka saman simant raita aaya us hisab kai parchai par signature karwa liya. Wakeel tha badi Umar ka chalak or dhokaibaaz or yai ladka tha kam umar ka.



Us wakeel nai us hisab kai parchai par uskai signature karwakar rakh liyai. Us wakeel kai dimagh mai sirf dhoka chal raha tha. Or phir jab yai sadak bankar tayyar ho gaye or jab is road ka inspection karnai cabinet mantri aaya to us cabinet mantri nai wo road fail kar diya. Ab is wakeel ko malum tha ki yai cabinet mantri yahi kraiga. Us dowr mai wo cabinet mantri ziyadatar road fail hi kar daita tha.



Ab is wakeel nai jo game khaila. Yai dono is sadak thaikai mai partner thai. or jo sadak thaikai mai saman laga us wakeel nai wo jo signature karwa rakha tha. Uska fayda uthaya or saara karza is aam kai maalik kai baitai kai upar daal diya. Karza bhi chota mota nhi tha lakho ka karzaidaar bna diya. Us wakeel nai is ladkai ki kam umri ka fayda uthaya or jo saman kai parchai par signature karwaya tha. Us parchai par amount ko das Guna badha diya.



OR is wakeel nai kaha kai yai saara karza iska hai yai Mera nhi hai. Wakeel nai kaha mainai to isko paisai diyai thai lakin isnai kharch kar liyai or yai sadak ka saaman Karzai mai kharida. Or is tarha chalaki sai is wakeel nai apna karza bhi is ladkai par daal diya or khud nuqsaan sai Bach Gaya. 




Or yai karza bhi aasani sai nhi chuta. Or ab inkai Ghar par karzaidaaro ki boucharai ho gaye. Bas din raat karzaidaar inkai Ghar ki kundi bjatai rehtai thai. Chotai bhai pados kai Ghar Sai koodkar school jaatai raastai badalkar galiyo Mai taki karzaidaar sai Bach sakai. kaafi waqt tak inkai Ghar lock laga raha na Ghar mai bijli na paani. or na khanai ko Roti hoti.



Or ab to inkai baitai ko jaan sai marnai ki dhamki tak dai di Ghar biknai tak ki nobat tak aa gaye. Or inka baita dipration mai aa hi raha tha to sab rishtaidaaro nai milkar is aam kai malik kai baitai ko bahar bhaija. or wo bahar jakar kaam par lag gaya or phir halkai halkai sara karza Ada kiya. or is cabinet mantri nai is aam kai malik kai baitai ko 5 saal kai liya apni parti sai nikaal diya.



Lakin ab yai aam kai malik ka baita bahar jaakar kamyab ho gaya or apna saara karza chutaya. or chotai  bhaiyyo ko acchai school mai padhaya or phir inkai Ghar mai khushhaali aa gaye saarai gham door ho gaye. Kafi arsai kai baad sukoon naseeb huwa. Kehtai hai na kai waqt badaltai dair nhi lagti. Jab yai ladka kamyaab ho gaya to phir us cabinet mantri ka usko call aaya kai mairi parti mai wapas aa jaow.



To phir is par us ladkai nai is mantri ko jawab diya kai jab mera bura waqt tha to tumnai kabhi bhi mujh sai aakar pucha.kai kis haal mai hai. Us ladkai nai kaha kai jab mai tumharai pass tha to mairai pass kya tha aaj upar Waley ka diya huwa sab kuch hai. Or phir ha is wakeel ko isi cabinet mantri nai aisai phasaya kai uski mout bhout hi dardnaak huwai. Kyunki us wakeel ki us cabinet mantri ko uski Haqeeqat pta chal gaye thi.



Us wakeel ko is cabinet mantri nai aisai jail mai dalwaya jaha usko khada bhi nhi huwa jaata. Kaal koothri thi. Us wakeel ki sazish ki sacchai us cabinet mantri ko jab pta chali jab us wakeel nai cabinet mantri kai khilaf saazish chali. Kehtai hai na upar Waley kai Ghar dair hai andhair nhi. Buraye ka anjaam hamaisha bura hi hota. Or acchai ka anjaam hamaisha accha hota hai. jo jaisa krainga waisa hi bharinga. jo boyega wahi katainga.


Yai to is aam kai malik ki guzri huye zindigi ki sacchi kanani hai. Jisko mainai ziyada bda nhi karkai choti choti baaton Mai bataya hai.yai kahani to or bhi lambi hai... 


Thank you



https://Duniyaorakhrat.blogspot.com





















No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...