आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : islaam Kai Rukn kya hai

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

islaam Kai Rukn kya hai

islaam  Kai   Rukn kya hai


Welcome to islaam Kai Rukn kya hai

Islaam ka phaila Rukn kalma touheed ka iqrar Or shahadat hai. iskai do juz hai. Aik yai kai bandigi kai layaq sirf khuda hai. Khuda ko mannai wala sirf usi ki ibadat karta hai. Sirf usi sai darta hai. sirf usi kai ahkaam ki ataat karta hai. Or sirf usi ka banda bankar zindigi guzarta hai...


Dusra juz yai hai. Kai huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam Allaha kai bandai or Rasul hai.  Rasul ko mannai ki shahadat dainai wala sirf aap huzur sallalahualayhiwassalam ko Hadi tasleem karta hai. Zindigi kai saray maamlaat mai sirf aap huzur sallalahualayhiwassalam hi ki pairvee karta hai. 


Or yai yaqeen rakhta hai. Kai khuda ki marzi par chalnai Or khuda ki khushnudi hasil karnai ka mustand Or maqbool tariqa or zarya sirf yahi hai. Kai aakhri Rasul ki sacchai Dil sai pairvee ki jaye. Kalma tauheed ki shahadat dainai wala darasal apnai iss inqailabi faislay ka ailaan karta hai.  Kai ab mai sirf khuda or Rasul sallalahualayhiwassalam kai ahkaam ki pairvee karunga.

Har halmai islami hidayat or qawanain ki pairvee karunga. Or islaam ka saccha pairo or numainda bankar zindigi guzarunga...


Islaam ka Dusra Rukn namaz hai. Namaz kai barai mai khuda kai Rasul sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. "Namaz deen ka satoon hai. Jisnai iss satoon ko dha diya usnai deen ko dha diya". 

Baqya teen arkaan ko bhi inhi do arkaan par qayas karkai samjha ja sakta hai. Kai islaam ki emarat inn kai baghair qayam nhi rah sakti. inn arkaan ko dhakar ya unko kamzor karkai agar koi yai samjhta hai. Kai uska islaam par bhi apni jagah qayam or mustahakam hai. Too wo saqt faraib mai mubtala hai...








via Blogger https://ift.tt/2Q2iB0e
November 08, 2019 at 07:53PM

No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...