आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Akhrot or paneer kai khuwas

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Akhrot or paneer kai khuwas

Akhrot or paneer kai khuwas 
 

Welcome to Akhrot or paneer kai khuwas

 

Hazrat ibnai abbas raziallahutaala anho sai riwayat hai kai. Rasulalla sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya kai paneer bhi bimari hai. Or akhrot bhi. Laikeen jab yai dono pait mai Utar jatai hai. Too shifa ho jati hai. iss hadees mai agar cha baaz olma nai kalam kiya hai. Magar yai irshaad talb kai mutabiq hai. isliyai kai paneer dusrai darjai mai sard tar hai. Or akhrot dusrai darjai mai garm wa khushk hai. inn dono ko Mila kar khanai sai dono ka aitdal ho jata hai. Or yai dono cheezai aik dusrai kai masleh ho jati hai...     Soth kai khuwas or amraaz ka elajAbu nayeem nai abu sayyad sai riwayat ki hai. Kai badshah Rom nai aap hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam ki khidmatai aqaddas mai soth ka murabba aik bartan mai tohfa bhaija. aap sallalahualayhiwassalam nai thoda thoda khaya iss mai sai. iss hadees sai maloom huwa kai badan ki Quvvat WA seahat kai liyai mojunaat ka istaimal shariyat mai mna nhi hai. Soth ka murabba khanai ki bhuk ko badhata hai. Or khana hazm karta hai. Qay ko rokta hai. Kasl ko khatam karta hai. riya ko tahlil karta hai. Hafza ziyada karta hai or ghalieez madah ko nikal daita hai...

No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...