Namaazo ki paabandi karna
Allaha Rabbul izzat nai iss ummat par badai ahsaanat kiyai hai. Sabsai Pehlai hamai Huzur Hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka ummati bna kar bhaija. Yai Allaha ka bohout bada ahsaan hai. Hamai Allaha ka shukr guzar hona chahiyai...
OR Allaha taala nai iss ummat ko paanch waqt ki Namaaz ata farmayee. Or inn paanch namaazo ka sawaab pachaas namazo kai barabar rakha. or iskai alawa nafil namaazai bhi ata farmayee. Jo Allaha sai darta hai or Allaha sai muhabbat karta hai. wahi Namaazo ki paabandi kartai hai...
Magar afsos ki baat yai hai. Kai aaj Deen jitna phail raha. Or namazi kam hai. Or paanch waqt Kai namaazi bhi kam hai. Magar jo Allaha sai dartai hai or Allaha sai muhabbat kratai hai wo paanch waqt ki namaaz zarur ada kartai hai. Or jab Allaha sai muhabbat ki imtaiha bad jaati hai too. ibadat ka koi thikana hi nhi rehta. Or phir nafil namaazo ki bhi paabandi hoti hai. Or Quraan ki bhi tilawat hoti hai...
Agar insaan Allaha kai Aazab or uski rehmat kai baarai mai ghowr krai too. ghutno kai bal ragadta huwa Namaaz ko jaaye. Or Bimaari ki haalat mai bhi namaaz ada krai. Or uski dozak ki aag kai baarai mai nazar daalai too Jiskai baarai mai suntai hi Ruh kaanp jaati hai. OR uski jannat ki rehmatai sunkar khushi ka koi thikaana hi nhi rehta...
Allaha ko kisi ki ibadat ki koi zarurat nhi hai. Wo bainiyaaz hai. Agar ham Namaaz nhi padai to Allaha ko koi farq nhi padta. Na hamari ibadat sai khuda ko koi fayda pohochta hai. Magar Haa hamai Allaha ki ibadat sai Qurb hasil hota hai. Namaz padna Or Quraan ki tilawat hamai buri cheezo sai bachati hai...
Namaaz hamai baihayaye or buri cheezo sai bachati hai. hamai Allaha ka Banda honai ka kitna bada fayda hai. Laiken Namaaz padna sirf Rasm ada karnai ka naam nhi hai. balki khushu Or khuzu ka naam hi Namaaz hai. jab tum Allaha ki hi taraf mutawajjay hokar ibadat krowgai. too Allaha bhi tumharai upar apni khaas rehmat ki nazar daalaiga...
Yai nhi Kai Namaaz too pad rahai hai. Ya Allaha ka zikr Kar rahai hai. Laiken aapka dhiyaan kahi or hai. too Allaha bhi apni nazar hata laita hai. Or Namaaz jaldi jaldi na pado. Namaaz ko aaraam aaraam sai ada karo. Or Namaaz mai chori na karo. ruku Or sajdai poorai poorai karo. Aisey Namaaz Qayamat Kai din Allaha Hamarai Muh par maar dai ga. Jismai ruku Or sajdai poorai poorai na ho. Namaaz aisey pado jaisai kai Allaha tumhai dekh raha hai. Ya phir tum Allaha ko dekh rahai ho...
via Blogger https://ift.tt/37olFZF
December 29, 2019 at 06:56AM
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment