Momin ki kaifeeyat
Hazrat abu umaama raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai aik shakhs nai khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai pucha. Imaan kya hai? Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Jab tumhari naikyoon sai tumhai khushi ho. Or tumhaari buraiya tumhai nagawaar ho "too samajh lo kai tum momin ho...
Iss mukhtasar si hadees sai teen nihayat aihaim isharay miltai hai. Aik yai kai imaan ka amal sai lazmi talluq hai. Aadmi Jo amal bhi karta hai. Dil uska accha ya bura asar qubool karta hai. Agar imaan zindah Or baidaar hai too naik amal sai khushi or burai amal sai dukh or ranj hota hai. Isliyai kai imaan naiky kai liyai ubharta hai Or burai sai rokta hai...
Dusra ishaarah yai milta hai. Kai apnai imaan ko tolnai Or parakhnai ka paimaana har shakhs kai pass har waqt mowjood hai. Acchai Or buray amal aadmi shab wa Roz kar rha hai. Buraai par kudhan Or naagawaari or naiky par musarrat or farhat ki hiss agar baidaar hai too. zameer ki yai zindigi iss baat ka saboot hai. Kai imaan ki Dolat aadmi ko hasil hai...
Or agar yai hiss bilkul murdah ho gaye hai. too aadmi ko apnai imaan ki fikr karna chahiyai. Aadmi apni zaat sai pur ummeed rahai. Or apnai imaan sai khawa mukhawa maayusi mai mubtala na ho. Gunaho ki kasrat Or paiham khatakariyon sai baaz ouqaat aadmi par apnai Deen wa imaan sai maayusi taari honai lagti hai...
Or shaitaan agar usai maayoos karnai mai kaamyaab ho jaye too phir wo kahi ka nhi rahta. Agar aadmi ko apni naiky sai musarrat mehsoos ho or burai ho jaanai par tabiyat mai bojh Or naagawaari ho too yai kaifeeyat imaan ki alamat hai. iss kaifeeyat ki mowjoodgee Or iss hiss ki baidaari kai maaynai yahi hai. Kai aisa shakhs momin hai...
Or yai hargis sahi nhi kai wo apni amli kamzoryon kai baais apnai imaan sai maayusi ki baat sowchai. Or shaitaan ko apnai upar hamla aawar honai kai liyai mowqa muhayya krai...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment