आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Naarai jahannum sai aad

Naarai  jahannum  sai  aad 


Welcome to Naarai  jahannum  sai  aad




Hazrat aayesha raziallaahutaala anho farmaatai hai. Meray pass aik ourat apni Do ladkiyo ko liyai huwai maangnai kai liyai aaye. Us waqt meray pass kuch na tha. Bas aik khajoor thi. Wahi khajoor mai nai uskai hath par rakh di. usnai Wahi khajoor apni Dono baitiyo Ko aadhi aadhi dai di. Or khud zra nhi chakhi. Phir uthi or chali gaye...


Uskai baad Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ghar aaye. too mai nai unko yai waqiya sunaya. Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Jo shakhs bhi inn bachchiyo Kai zaryai aazmaaish mai daala gaya. Or usnai unkai sath husnay suluk kiya. too yai bachchiya uskai liyai jahannum ki aag sai aad ban jaayegi...


Duniya mai ladki ki zaat sai kisi maaddi faydai ki towaqqa na ho too na sahi. Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ki sadaqat Or akhrat par yaqeen rakhnai Walay maa baap kai liyai ladki kai sath husnay suluk ka ussai bda quvvi mehrak Or kya hoga kai. yahi kamzor bachchiya Qayamat kai Roz uskai liyai jahannum ki bhadakti aag sai aad ban jaayegi...



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk

Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk


Welcome to Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk



Maa baap ki ziyadati kai bawajood Husnay suluk ki taakeed ka matlab yai hai kai. Agar maa baap apni sakht mizaji ya tang mizaji sai aisay mutalbaat karnai lagai. Jin ka pura karna oulaad kai liyai dushwaar ho. Ya oulaad ki quvvatai bardasht ka khayaal kiyai baghair ziyadah sai ziyadah jismaani mehnat lainai lagai. Ya oulaad ki hasiyat sai ziyadah maali mutalbaat karnai lagai...


Tab bhi oulaad ko chahiyai kai wo apnai jazbaat par qabu rakh kar apnai upar jabar karkai unki khidmat krai. Or unkai sath naik suluk krai. Is Surat mai agar cha oulaad par ataaat wajib nhi hai. Kyunkai Allaha kisi par uski bardasht sai ziyadah bojh nhi dalta...


Laiken ataaatai waldain ka darjaye kamaal baihairhaal yahi hai. Kai oulaad apni parwa kiyai baghair maa baap ki khidmat mai apni zindigi khapa dai. Or unhai Razi rakhai or aaraam pohchanai kai liyai apna sab kuch taj dai. Ha agar wo koi aisa mutalba krai jissai dusro ka Haq maara jaata ho. Or jiska koi takleef deh asar dusro par padta ho...


Ya jissai barahai raast khuda kai Hukum ki khilafai warzi hoti ho. too aisi surat mai waldain ki ataaat wajib nhi. misaal kai towr par wo kisi ka maali Haq ada karnai sai roktai ho. Ya ladki ko shohar ki Nafarmani par bila wajah aamaadah kartai ho. Ya ladkai Ko biwi Kai sath bila wajah ziyadati kai liyai majboor kartai ho. ya oulaad ko Deen sai baghawat par aamaadah kartai ho. too aisey surat mai waldain ki ataaat hargis jaaiz nhi...


Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. (uski naak khaak aalowd ho). Teen baar Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai yai baat farmaaye. Logo nai kaha. Aey Allaha kai Rasul huzur sallallahualayhiwasallam. Kon zaleel ho? Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai farmaya wo shakhs jisnai apnai waldain ko budhapai ki haalat mai paaya. UN dono mai sai aik ko ya dono ko or phir unki khidmat karkai jannat mai dakhil na huwa...



Musalmaan muaashray ka behtreen ghar

Musalmaan muaashray ka behtreen ghar 



Welcome to Musalmaan muaashray ka behtreen ghar




Hazrat Abu huraira raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Musalmaano mai sabsai behtar ghar wo hai. Jismai koi yayeem ho. Or uskai sath accha suluk kiya ja raha ho. or musalmaano mai badtareen ghar wo hai. Jismai koi yateem ho or uskai sath bura suluk kiya ja raha ho...


Musalmaan muaashray mai agar kisi ghar mai koi yateem hai. Or ghar Walay uskai sath husnay suluk kar rahai hai. Ghar mai usai izzat wa shafqat bhi hasil hai. Or uska maal bhi mehfooz hai. too yai shahadat hai. iss haqeeqat ki kai yai ghar musalmaan muaashray ka behtreen ghar hai...


OR agar kisi ghar mai yateem kai sath bura suluk ho rha hai. usai haqeer Or zaleel samjha ja raha hai. har waqt dhutkaara ja rha hai. Or uskai maal ko hadap kiya ja rha hai. ya barbaad kiya ja rha hai. too yai shahadat hai iss baat ki kai yai musalmaan muaashray ka badtareen ghar hai...


Quraan wa sunnat mai yateemo Kai sath husnay suluk ki intaihaaye taakeed  ki gaye hai. Nuzulai Quraan sai Pehlai bhi yateemo Kai sath nihayat zillat ka suluk hota tha. Or aaj bhi iss kamzor makhlooq kai sath intaihaaye haqarat ka bartaow hota hai...


Islaam taakeed karta hai. Kai unkai maal wa jaydad ki hifazat ki jaaye. mumkin ho too usko badhanai ki koshish ki jaaye. Or unkai maal wa jaydad ko zaaya karnai or hadap karnai ko badtareen jurm qarar diya gaya hai. Quraan ki aayaat hai. ( JO LOg yateemo ka maal Na Haq khatai hai Dar haqeeqat wo apnai pait mai aag bhartai hai or wo laazman jahannum ki bhadkti aag mai jhookai jaayengai )...



Owlaad kai sath husnay suluk

Owlaad kai sath husnay suluk 


Welcome to Owlaad kai sath husnay suluk




Hazrat ibnai abbas raziallahutaala anho Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai riwayat kartai hai. Kai Aap huzur sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Owlaad Kai sath izzat wa ikraam ka suluk Karo. Or unhai acchi taaleem wa tarbiyat do...


Owlaad Kai sath husnay suluk, Raihaim wa karam ka bartaow, unki khuddari Or izzatai nafs ka khayaal, muhabbat wa pyar Or unko acchi taaleem wa tarbiyat sai aaraasta karna aik fitri jazbah hai. magar musalmaan Kai liyai yai amal bhi mehaiz tabey jazbey ki taskeen ka saamaan hi nhi hai. balkai Deen ka taqaza hai. Rasulalla  huzur sallallahualayhiwasallam ki sunnat hai. Or akhrat ko sawarnay or bananay ka zarya hai...


Aap Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Baap apni owlaad ko jo kuch daita hai. usmai sabsai behtar atyah owlaad ki acchi taaleem wa tarbiyat hai. Aap Huzur sallallahualayhiwasallam nai yai bhi farmaya. Jis shakhs nai Quraan ka ilm hasil kiya. Or uspar amal bhi kiya. Uskai maa baap ko Qayamat kai Roz taaj pehnaaya jaayega...


Jiski ki Roshni iss suraj ki Roshni sai ziyadah behtar hogi. Jo Duniya kai gharo ko Roshan karta hai. too kaho tumhara kya khayaal hai. Aisay shakhs Kai baarai mai jisnai yai amal kiya. "aik baar aik baddo Nabi huzur sallallahualayhiwasallam kai pass aaya. Or bola. Kya aap log baccho ko chumtai Or pyar kartai hai. ham too baccho ko nhi chumtai, Nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai suna too farmaya. meray qabzai ki kya baat hai. agar Khuda nai tumharai Dil sai Raihaim nikaal diya hai...


Baaz log owlaad kai sath hasnay khelnay unkai sath mashgowl rehnai, unko gowd mai lainay or chumnay pyar karnai ko kuch acchi nazar sai nhi daikhtai. Islaam iss tarzai fikr ki hoslah afzaaye nhi karta. Nabi huzur sallallahualayhiwasallam kai amal or irshaadat sai maloom hota hai. Kai yai pasandeedah Or matloob amal hai...

OR jo owlaad kai sath Raihaim wa karam or pyar wa muhabbat ka suluk nhi karta. Uska Dil Raihaim sai khali hai...







iqamatai Deen

iqamatai  Deen


Welcome to iqamatai  Deen



Hazrat ibnai umar raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai farmaya. Allaha ki hudood mai sai kisi aik had ka qayam karna khuda ki aabaadyon mai chalees raato ki baarish sai ziyadah behtar hai...


Khuda ki hudood sai murad Khuda kai ahaikaam wa qawanain hai. Jin kai majmuwaey ka naam islaam hai. islaam insaaniyat Kai liyai sar taasir rehmat hai. Allaha ki aik had qayam honai ka yai matlab hai. Kai Khuda ka koi aik hukum khuda kai banday mannai lagai. Or unki zindigiyo mai wo naafiz wa jaari ho jaaye. aik hukum kai nifaaz ki khair wa barkat chalees raat ki baarish sai ziyadah hai...


Too tasawwur ki jiyai iss samaj ki khair wa barkat aasaaish wa sahulat, sukoon wa itminaan or aman wa aashti ka jis mai pura islaam apni tamaam barkaat or fiyooz Kai sath qayam ho. Or Khuda kai bandai apni puri infairaadi or ijtaimaye zindigi mai uskai ahaikaam wa qawanain ki mukhlesaana ataaat Kar rahai hai...


Khuda kai hudood wahi bandai qayam kar saktai or qayam rakh saktai hai. Jo khud apni zindigi mai inn hudood or qawanain ki kaamil ittaiba krai. Or khowl Kai sath unka amal or unki infairaadi or ijtaimaye zindigi bhi yai shahadat dai kai. Waqaye yai hudood wa ahaikaam bandagaanai Khuda kai Haq mai sar taasir khair wa barkat or rehmat hai. magar yai kaam unhi jawaan mardo ka hai. Jo har haal mai khuda or Rasul huzur sallallahualayhiwasallam kai wafadaar ho....


OR jo us waqt bhi Quraan wa sunnat ki ittaiba or Deen ki hifazat wa iqamat hi ko apni sabsai badi saaadat samjhai. Jab duniya Deen sai bai taaluq ho rahi ho. Deen ki qadray paamaal ho rahi ho. Or Rasulalla Huzur Sallallahualayhiwasallam ki sunntai mit rahi ho...


Yaqeenan aisay oolul azm Or hoslah mand bando kai liyai zabardast ajar wa inaam hai. Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Jisnai meri ummat kai fasaad Kai waqt meri aik sunnat ko mazbooti Kai sath thama uskai liyai soo (100) shaheedo ka ajar wa sawaab hai...


Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal

Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal


Welcome to Ataaatai waldain ka darjayai, kamaal



Hazrat Abdullah raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Jis aadmi nai iss haal mai subha ki. Kai wo maa baap kai baarai mai Allaha kai nazil kiyai huai ahaikaam or hidayato ki farmabardari karnai wala tha too usnai goya aisay haal mai subha ki kai. uskai liyai jannat kai Darwazai khulai huwai hai...


OR agar maa baap mai sai koi aik ho to goya jannat ka aik darwazah khula huwa hai. Or jis aadmi nai iss haal mai subha ki kai. wo maa baap kai baarai mai Allaha kai bhaijai huwai ahaikaam wa hidayat sai muh modnai wala hai. too usnai aisay haal mai subha ki kai. Uskai liyai dozak Kai Darwazai khulai huwai hai. Or maa baap mai koi aik ho too goya dozak ka aik darwazah khula huwa hai...


US aadmi nai pucha. aey Allaha kai Rasul huzur sallallahualayhiwasallam. agar maa baap uskai sath ziyadati kar rahai ho tab bhi. Farmaya, Ha agar ziyadati kar rahai ho tab bhi, Agar ziyadati kar rahai ho tab bhi, Agar ziyadati kar rahai ho tab bhi...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai maa baap kai sath husnay suluk ki taakeed kai liyai aisa andaazai bayan ikhtaiyaar farmaya hai. Jis sai yai haqeeqat bhi khul kar saamnai aa jaati hai. Kai ataaat too bas Allaha hi ki honi chahiyai. Uskai siwa kisi ki ataaat jaaiz nhi...


Maa baap ki ataaat or unkai sath naik suluk bhi iss liyai hai. Kai khuda nai maa baap ka yai Haq bataya hai. Or unki farmabardari or khidmat ka Hukum diya hai. Kisi aisay maamlai mai hargis maa baap ki ataaat jaaiz nhi jismai khuda ki Nafarmaani hoti ho...  





Shukriya....

Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi

Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi


Welcome to Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi


Islaam nai khushhaal logo ko targheeb di hai. Kai wo apnai tang dast bhaiyyo ko Qarz dai. Qarz ki adayege mai unko mohlat or sahulat dai. mumkin ho too kul ya juz maaf Kar dai. Laiken usi kai sath Qarz lainai walo ko sakht taakeed ki hai. Kai wo Qarz ada karnai mai jaldi krai...



Acchai andaaz mai Qarz ada krai. Or wasaat honai kai baad khawah mukhawah taal matowl na krai. Jo log Qarz lainai kai baad adayegi ki fikr nhi kartai. Qarz laikar dainai ka iradah hi nhi rakhtai. Aisay logo ko Nabi  huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai sakht tanbeeha ki hai...


Tarha tarha ki waeedai unkai liyai aaye hai. Hadya Kai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai maqrowz logo ki namaazai janaazah padhanai sai bhi inkaar kar diya hai. rahai wo Naadaar log jo Qarz lainai kai baad, Qarz ada karnai kai liyai fikr mand rehtai hai. Or puri dowd dhowp kartai hai. Kai Qarz ada kar dai...


Too Allaha taala ghaib sai logo ka Qarz ada karnai kai liyai sabeelai paida farmaye ga. Hazrat maimowna raziallahutaala anho ka bayan hai. wo farmaati hai mai nai khud Nabi huzur sallallahualayhiwasallam sai suna. Aap farmaatai thai. Jo bandah Qarz lai or khuda kai ilm mai ho Kai us shakhs ki niyat Or iradah yai hai kai wo Qarz zarur ada kraiga. too khuda uska Qarza duniya hi mai ada kra daiga...


OR agar koi khasta haal niyat Or iraday Or puri jaddojaihaid kai baad bhi Qarz ada na kar sakai. Or wo bandah usi haal mai wafaat paa jaaye. too Khuda ki zaat sai ummeed hai. Kai wo uski taraf sai ada farma dai ga. Or apni meharbani sai usai us bojh sai sabkrosh kar daiga...


Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Jo shakhs logo sai Qarz udhar lai. Or uska iradah ada karnai ka hi hai. too Khuda wo Qarza us sai ada kra daiga. Or jo shakhs logo sai Qarz lai or uska iradah maar lainai ka hi hai. yani jo Qarza liya hai usai wapas dainai ka iradah nhi hai. too Khuda uski wajah sai usai Tabah kar dai ga....









via Blogger https://ift.tt/36xvEvy
December 12, 2019 at 11:24PM
via Blogger https://ift.tt/2YLREjB
December 13, 2019 at 01:09AM

Duniya or akhrat

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo a...