आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Khuda ki sabsai badi naimat

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Khuda ki sabsai badi naimat

Khuda ki sabsai badi naimat


Welcome to Khuda ki sabsai badi naimat


Hazrat muaavya raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Unhonai kaha, kai Allaha kai habeeb huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. Kai khuda apnai jis bandai kai bhalai ka irada karta hai. Usko Deen ki sujh bujh Or baseerat ata farmata hai...


Or huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai farmaya. Main too sirf taqseem karnai wala hoon. Dainai wala too Allaha hai. Or yai ummat hamaisha Allaha kai Hukum par qayam rahaigee. Jo bhi iski mukhalfat krainga. Usai koi nuqsaan na poucha sakaiga. Yaha tak kai amarai elahi aa jaye...


Yai mukhtasar hadees intaihai jama hai. Aap huzur sallalahualayhiwassalam nai intaihai hikmat kai sath iss hadees mai teen baatai zahan nasheen kraye hai...

  • Khuda ki sabsai badi naimat Deen ki baseerat hai.
  • Rasul jo kuch pouchatai hai wo khuda hi ki taraf sai hota hai.
  • Yai ummat Qayamat tak haq par qayam rahaige...

Dolat, izzat, shohrat, seahat Or aoulad sab khuda ki naimatai hai. Magar khuda jis kisi bandai par khususi fazl farmata hai. Or uskai sath bhalaye ka irada karta hai. Too usai wo naimat ata karta hai
 Jo khuda ki nazar mai sari naimato sai badi naimat hai. Yani Deen ki sujh bujh Or baseerat...Allaha rabbul izzat ham sabko Deen ki taraf mutawajjai ata farmaye...


Dono jahan ki falah wa kamrani ki Wahid rah yahi hai...

No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...