imaan ka mza
Hazrat abbas raziallahutaala bin abdulmuttalib ka bayan hai. Kai Rasulalla sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. Us shakhs nai imaan ka mza pa liya. Jo Allaha kai Rab, islaam kai Deen huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam kai Rasul honai par Dil sai Razi Or Mutmaeen ho gya...
imaan ka mza too Wahi pa sakta hai. Jo waqaye sahibai imaan ho. Wo shakhs imaan ka mza kya janai Jo maihaiz zaban sai imaan ka dawa karta ho. Imaan ka mza usnai paya jisnai Allaha ko apna Rab mana. Or dil ki gehraye sai iss tarha mana kai uska Dil Allaha ko Rab mannai par Razi Or Mutmaeen ho gya hai...
Wo sirf usi ko aaqa tasleem karkai usi ki bandigi karta hai. Usi sai madad chahta hai. Har mushkil mai usi ko pukarta hai. Or sirf usi ki Raza ka matloob hai. Or jo shakhs maihaiz isliyai musalman hai. Kai uskai bap dada musalmaan thai. Ya kuch dunyavee mufadat ki khatir usnai bazahir islaam ikhtaiyaar kar rakha hai. Too agar cha uska shumaar musalmano mai hoga. Laiken aisai mehroom shakhs ko yai kya maloom kai imaan ki asal lazzat or haqiqee mza kya hai...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment