Muhabbatai Rasul sallalahualayhiwassalam
Hazrat anas raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. Kai tum mai sai koi shakhs musalmaan nhi ho sakta jab tak mai yani Huzur sallalahualayhiwassalam uskai liyai uskai baap sai, uski aoulad sai or sarai insaano sai ziyada mehboob na ho jaou...
Yani haqeeqat mai momin kehlanai ka mustahaq Wahi shakhs hai. Jiskai dil mai Huzur Rasulalla sallalahualayhiwassalam ki muhabbat sabsai ziyada ho. Or yai muhabbat har aik ki muhabbat par ghalib ho. Quraan ka irshaad hai. ((Annabbiyo awla bilmoomaineena min anfusihim)) bilashuba nabi huzur sallalahualayhiwassalam too momino kai liyai unki apni jano sai bhi badhkar hai.
Waqia yai hai kai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai ummat par Jo azeem ahsaan kiya hai. Na uski misaal mumkin hai. Or na yai mumkeen hai. Kai ummat uska badla chuka saktai. Aap huzur sallalahualayhiwassalam hi kai zaryai sai ummat jahalat Or gumrahi ki tareekyo sai bahar aaye.
Aap huzur sallalahualayhiwassalam ki hidayat sai usai islaam ki seedhi shahiRah Mili. Or aap huzur sallalahualayhiwassalam ki shafaat sai akhrat mai usai nijaat Or falah naseeb hogi. Aisai mohsinai aazam huzur sallalahualayhiwassalam ka haq waqai yai hai. Kai na sirf aoulad or maa baap sai ziyada balkai apni jano sai bhi ziyada huzur sallalahualayhiwassalam sai muhabbat ki jayai.
Yaqeenan aap huzur sallalahualayhiwassalam ki muhabbat hi momin ka sabsai bda sarmaya hai. Aik moqay par aap sallalahualayhiwassalam nai badai ajeeb andaaz mai UN logo ka zikr farmaya Jo aap huzur sallalahualayhiwassalam sai shadeed muhabbat rakhai walay hai. irshaad farmaya...
Meri ummat mai sabsai ziyada mujhai chahanai Walay wo log hai. Jo meray baad hongai. Or unmai sai har aik ki yai tamanna hogi kai kaash wo apna ghar baar or apna maal WA mta sab kuch qurbaan karkai hi mujhai aik nazar daikh laita. Nabi huzur sallalahualayhiwassalam sai muhabbat yai bhi hai. Kai aap Huzur sallalahualayhiwassalam ki sunnat or aap huzur sallalahualayhiwassalam kai laye huai Deen sai muhabbat ho...
Har hall mai dil wa Jaan sai uski pairvee ki jaye. Or zindigi kai har shubai mai Deen ki hidayat par amal kiya jaye.
Aap huzur sallalahualayhiwassalam ka irshaad hai. Jab koi shakhs mujh par salaam bhaijta hai. Too khuda meri Ruh mujhai palta daita hai. Or Mai khud jawab mai usko salaam kehta Hon...
No comments:
Post a Comment
Thank you for comment