आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Sabsai accha mard

Sabsai accha mard


Welcome to Sabsai accha mard



Rasulalla Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Kaamil imaan walay wo hai. Jo apnai ikhlaq mai sabsai acchai hai. Or tum mai sabsai acchai wo hai. Jo apni biwiyo kai Haq mai sabsai acchai hai. imaan khuda or uskai Deen par pukhta yaqeen ka naam hai...


Imaan wa yaqeen nazar aanai wali cheez nhi hai. Jo kuch hamai nazar aata hai. wo insaan kai ikhlaq or maamlaat or bartaow hai. imaan kis darjai ka hai. Uska andazah ham ikhlaq or bartaow sai hi kar saktai hai. Imaan sai acchai ikhlaq, acchi aadtay, acchai maamlaat or acchi sifaat hi paida hoti hai. Dil mai agar imaan mowjood hai too amli zindigi mai ussai naikiya hi phootaingee...


Naik ikhlaq or pasandeedah sifaat imaan Kai laazmi samraat hai. Or jo shakhs ikhlaq khoobiyo sai aaraasta hai. wo yaqeenan mominai kaamil hai. Phir acchi aadat,acchai ikhlaq or acchai bartaow ko janchnai ka pehla Or asal fitri maidaan gharailu zindigi hai. Or bilkhosoos zindigi ki wo sharikai hayaat hai. Jo aqdai nikah mai aanai kai baad mard ki zindigi mai sabsai ziyadah dakheel, sabsai ziyadah qareeb or hamah waqt mutaaluq hai...


Sharikai hayaat kai sath zindigi guzarnai hi mai mizaj wa ikhlaq or seerat wa kirdaar ka har rukh saamnai aata hai. Gharailu zindigi mai tasannaa Or banawat ka pardah ziyadah dair tak pada nhi reh sakta. iss maidaan mai jo shakhs narm mijaaz, insaaf pasand, aisaar paisha, kashadah Dil, burdbaar, hamdard wa gham gusaar hai. too wo yaqeenan musalmaan ki sosaiety ka sabsai behtreen aadmi hai...


Gharailoo  zindigi mai azmat Or bhalaye ki baat yai nhi hai. Kai aadmi har waqt apni badaye jatayai kisi waqt apni baat neechi na honai dai. har waqt hukumraa bana rahai. taivree chadhayai rakhai. Or apna roab jamanai ki fikr mai rahai. Azmat, bhalaye or deendari ki baat yai hai kai. Ahailay khana kai sath aadmi, khush mizaaji, baitakallufi, diljoi, meharbani, shafqat, muhabbat, narmi, dildaari, afu wa darguzar or ghamgusaari sai paish aaye, gharailoo zindigi mai dilkashi Or khushgawari isi tarha paida ho sakti hai...


Nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam ka irshaad hai. Momin apni momnah biwi sai, nafrat wa baizaari ka izhaar na krai. Agar uski koi aadat usai napasand hai. too ho sakta hai kai koi dusri khoobi usai pasand aa jaaye. Or phir yai bhi farmaya...


Tum mai sabsai behtar wo hai. Jo apnai ahailai khana kai Haq mai sabsai behtar hai. Or mai tum sabmai apnai ahailai khana kai liyai behtar ho. Yai hadees darasal Quraan hakeem Kai iss fiqray ki amli tashreehaat hai. wa aashirow hunna bilmaaroof (Or unkai sath acchai suluk ki zindigi guzaro)...













 

iMAANDAAR iNSAAN OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT

iMAANDAAR  iNSAAN  OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT


Welcome to iMAANDAAR  iNSAAN  OR BAiiMAAN iNSAAN Ki FiTRAT


Assalamualykum dosto aaj kai dowr mai baiimaani jagah jagah hai. magar imandaari to sirf imaanimaandaaro mai hi paaye jaati hai. aaj log chand paiso kai khatir apna imaan baich daitai hai. or apnai partner ya jinkai sath business kartai hai. Chand paiso Ki lalach kai khatir apnai business partner ko dhokha daitai hai. Lakin wo is baat ko bhool jaatai hai kai chand paiso Ki lalach kai khatir apna bda munafa kho daitai hai. 



Kuch bhi karo kitna bhi kisi no dhoka daido baiwaqoof bna lo. Magar kab tak or kitnai din. Aik na aik din sacchaye to saamnai aa hi jaati hai. Wo khud ko kuch ziyada hi aqalmand samajhta hai. Kai kabhi kuch pta hi nhi chalega. Yai us shaks Ki kam aqli hai.



iNsaan lalach mai aakar bas thorai sai munafai kai  liyai apnai business man partner ko dhoka daita hai. Lakeen jhoot hamesha zinda nhi rehta aik na aik din sach kisi na kisi shakal mai saamnai aa hi jaata hai.


Magar imaandaar aadmi yahi chahata hai kai usko imaandaar hi business partner milai. Waisai to har business man imandaar hi partner chahata hai. Kisi nai sahi kaha hai. 100 din chor kai or aik din kotwal ka.


Agar yai jo kuck baiimaan log agar imaandaari sai kaam kartai to inko puri zindigi rona nhi padta. Ziyada khanai kai chakkar mai yai log jo zarurat kai layaq hai usko bhi gawa daitai hai. 


Badai hi kam aqal log hai. Agar aapnai apni imaandaari sai kisi ka dil jeet liya. to yai aapkai liyai badi khushkismati Ki baat hai.agar aapnai kisi ka dil dukha diya or aik  uski nazro sai gir gaye to kabhi uski nazro mai acchai insaan nhi ban saktai.


Har iNsaan ko chahiye kai business mai nfa nuqsaan to chalta rehta hai. magar sabsai bda nuqsaan to jab hai. Ki jab aap kisi ki nazro mai gir jaow. Phir aap kitni bhi koshish karlo. Uski nazro mai aik ghatiya insaan hi bankar reh jaaowgai.


Dosto aap logo sai sirf itni guzarish hai. Ki business ya apnai niji kaamo mai mila baat kar nfa ya nuqsaaf utaouw. Jaisai aap insaan hai wo bhi insaan hai or jaisai aapka ghar baar hai waisai hi uska bhi ghar baar hai.



Kehnai ka maqsad yahi hai Ki. Kisi ko dukh daikar aap bhi dukh sai nhi bach saktai. Kyunki khuda sabka hai. wo sab dekh raha hai jo tum kar rahai ho. kisi ka paisa haram tareeqai sai khakar aap duniya ki aish Ki cheezai to kharid saktai ho. Lakeen sukoon kabhi nai kharid saktai...



Agar chain or sukoon kharid saktai ho to kharid kar dekhaow. Duniya or akhrat ka faisla yahi hai sahab jaisi karni waisi bharni hai janab.


Shukriya...


INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai

INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai 



Welcome to INSANIYAT Naam ki cheez aaj kai dowr mai khatam hi ho chuki hai


 Assalamualaykum dosto aaj kai door mai to jaisai insaaniyat naam ki cheez jaisai khatam hi ho gaye hai. log bhout ziyada matlabi ho gaye hai. bas insaan ki haisiyat itni hi reh gaye hai kai wo sirf kaam kai liyai hi yaad aanai laga hai. baaki ussai sai kitna bhi accha Rishta kyun nhi ho. apnai matlab par hi yaad aata hai. is waqt jaisa dowr chal raha hai. bas har insaan paisai kamanai ki bukh mai laga huwa hai.paisa kamana acchi baat hai.



lakeen insaan itnai takabbur or ghamand mai mubtala hota ja raha hai kai wo insaan ko insaan hi nhi samajh raha hai. jaisai duniya mai hamaisha rahaiga or usko marna hi nhi hai. or jaisai mout too sirf gareebo ko hi aayegee. or ameer to jaisai paisai kai bal par mout ko bhi kharid laingai. yai uski bewakoofi hai kai.kai chand paisai kama kar logo kai sath janwaro sai bhi badtar suluk kartai.




magar kuch ameer gareebo yateemo bewaou kai sath insaniyat dekhatai hai or apnai Rab sai dartai hai kai unhai bhi apnai Rab kai pass lotkar jaana hai. or duniya ki zindigi ko chand din ki zindigi samjhtai hai. or apni maal dolat acchi jagah kharch kartai hai. kehnai ka matlab yai hai kai insaan ki hasiyat nhi kai kisi kai sath acchai kar sakai.yai sab to allah hi ki taraf sai hai. Allah daita hai to banda kharch karta hai.Agar Allah nhi dai to banda kya kraiga bataow zara. insaan ko kisi ko bhi  kamzor ya chota gira huwa nhi samajhna chahiyai. asli insaan wahi hai jo sab par rahaim krai. shukriya...




Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai

 Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai


Welcome to Aaj Gareebo ki shaadi badi mushkil sai ho rahi hai



Dosto aaj hamarai samaj mai dekhawai ki zindigi kaafi badhti ja rahi hai. 


Aaj  ameer apnai baitai or baitiyo ki shaadi mai najaanai kitnai programme or kitnai khanai kar rahai hai.


Lakin isi kai chaltai gareeb aadmi apnai baitai or baitiyo ki shaadi mai kaafi pareshaan hai. Kyunki aaj ameer to apni shadiyo mai kaafi paisa utha rahai hai.


Laiken isi mai hi kuch log ameero ki kaafi siyali kartai hai. Or agar unkai paas paisai nhi bhi ho to bhi wo karz laikar kaafi dhom dhaam sai shadiya kar rahai hai.



OR phir baad mai us karz ko chukaanai mai unhai kaafi jhokhim uthana padhta hai. Or yaha tak ki karz chukani mai apna ghar baar tak baich daaltai hai.


Yai asil mai inki shaadi nhi barbaadi hai. Bas apni jhooti shaan bananai kai liyai yai log kya kuch nhi kartai.


Insaan ko jitni chadar ho utnai hi pair pasarnai chahiyai. laiken aaj kai dowr mai log paisai walo ki kaafi siyali kar rahai hai.


OR isi chakkar mai gareeb aadmi kaafi pareshaan hai kai ham apnai baitai baitiyo ki shaadi kaisai krai.


OR phir ameero ki shaadi kai function dekhkar baiti walo sai bhi dusri paati walai tarha tarha ki farmaishai kartai hai.


OR aajkal to gareeb baitai walo sai bhi gareeb baiti walai kaafi farmaishai kar rahai hai.


Mehndi ka khana karnai ko kaafi zor diya jaata hai. Or baiti walo sai bhi khanai ki farmaish ki ja rahi hai.


Kuch chichorai gareeb kehtai hai. ham gareeb hai. laiken kaam saarai ameero walai yani khanai peenai or ghomnai phirnai ki siyali ameero wali.


Bhalai sai jab mai aik paisa na ho.par kuch gareeb aisai hai. jo apni jhooti shaan bananai mai lagai huai hai.


Aisai hi logo nai ameero ki siyali kar karkai jo acchai gareeb yani kaydai kai log hai unko bhi badnaam kar rakha hai.


Magar aisa nhi hai kai sab ameer apnai paisai ka rob jhartai hai. kuch ameer bilkul saadi zindigi jeetai hai.


OR logo ko bhanak tak nhi hoti kai yai ameer hai. dekhko dosto ameer ho ya gareeb zindigi saadgi mai hi katna chahiyai.


Baki unki marzi wo apnai paisai ka dekhawa krai ya nhi. ghamandi insaan hi apnai paiso ka dekhawa karta hai.


Jo gairatmand gareeb hai wo to apni izzat hi banatai banatai mar jaatai hai. Or is duniya sai izzat banatai banatai hi Allah Rabbul izzat kai pass chalai jaatai hai.


OR kisi kai saamnai hath nhi phailaatai hai. Bhalai sai bhukhai mar jaaye. Yahi asal mai sacchai or acchai gareeb log hai.


Aisai hi kuch ameer chichoro nai sahi acchai ameer logo ko badnaam kar rakha hai. 


100 baat ki aik baat ameer ho ya gareeb jitni chadar ho utnai hi pair pasarnai chahiyai. 

Shukriya...

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah

Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah


Welcome to Nifaq or jahannum sai mehfooz bandah



Hazrat anas raziallahutaala anho sai riwayat hai. Kai Rasulalla sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya. Jis shakhs nai chalees Din musalsal jamaat kai sath iss tarha namaz ada ki kai. Wo takbeer oola sai jamaat mai shareek raha. Uskai liyai Do cheezo sai braat or hifazat ka faisla ho gaya. Jahannum ki aag sai braat wa hifazat or nifaq sai braat wa hifazat... 


Deeni aamal mai namaz purai deen ka sarchashma hai. Namaz aadmi KO buraiyo sai Rokti bhi hai. Or puri zindigi mai khuda ki bandigi kai liyai taayaar bhi karti hai. Deen mai namaz ka muqam wahi hai.  Jo jismai insaani mai sar ka hai. Namaz ka qiyam darasal deen ka qiyam hai. Or jo shakhs namaz ki hofazat nhi kar sakta wo hargis deen ka pairow nhi ho sakta... 


Hazrat umar raziallahutaala anho nai apnai gawarnaro KO likha tha. Tumharai saarai kamo mai sabsai badkar ahaimyat meray nazdeek namaz ki hai. Jisnai namaz ki hifazat ki or uski daikh bhaal karta raha usnai apnai purai Deen ki hifazat ki. Or jisnai namaz ko zaaya kar diya. too wo dusri deeni cheezo ko or ziyadah zaaya karnai wala hoga... 


Namaz ki yai ahaimyat or azmat samnai rahai too iss baat ko samajhnai kai liyai kisi daleel wa hijjat ki zarurat nhi rehti kai. Namaz ki paabandi or hifazat karnai wala shakhs yaqeenan jahannum sai bhi mehfooz hai or nifaaq sai bhi... 


Iss liyai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualyhiwasallam nai saadah andaaz mai mehaiz yai baat nhi samjhaee balkai paighambraana baseerat wa hikmat kai sath aik aisa muharrak saamnai rakha or aisi kaamyaab tadbeer bataee kai. Har musalmaan kai andar paabandai namaz bannai ka shoq bhi paida ho or iss amli tadbeer sai wo waqaye namaz ka paaband bhi ban jaaye... 


Allaha kai bando kai kaam aana

Allaha kai bando kai kaam aana

Welcome to Allaha kai bando kai kaam aana



Jo bandah acchi niyat sai Allaha kai bando kai kaam aata hai. too Allaha taala bhi us bandai ka kaam aasaan Karta hai. Magar kuch log aisay hai. Jo kisi kai kaam bilkul bhi nhi aatai. Jaisai wo kisi par kuch kharch kar daingai. Wo log paisai laikar bhi kam nhi karana chahatai...


Badi hi choti soch rakhnai Walay log hai. agar kisi kaam mai mahir hai. ya kisi aisay insaan sai acchai taaluq hai. Jo kisi kamzor ka kaam bhohot aasaani sai kra sakta hai. Laiken yai log kisi kai kaam nhi aana chahatai. Kya maloom aisay log konsi soch laikar jeetai hai...


Agar tum Allaha kai kisi bhi Bandai kai kaam aaow gai. too Allaha bhi tumhara kaam banayega. Agar tum kisi par ahsaan krowgai too Allaha bhi tum par ahsaan krainga. Or Allaha hamesha hi apnai bando par ahsaan karta hai. Agar tum kisi par Raihaim krowgai too Allaha bhi tum par Raihaim krainga. Jaisi niyat hoti hai wasay hi milta hai. Jo bowgai Wahi kaatowgai...


Aajkal insaaniyat Marti ja rhai hai. Or hamdardi logo mai sai khatam hoti ja rahi hai. Ziyadahtar log sirf or sirf apnai hi baarai mai sochtai hai. unko kisi bhi Yateem garib ya kisi kamzor Allaha kai bandai ki koi fikr nhi hoti hai. kai wo jeeyai Ya marai unhai koi matlab nhi...


Allaha aisay kamzarf logo ko hidayat dai. Kai wo kisi kai kaam aa asakai. Agar yai log kisi kai kaam aa jaayengai too inka kya bigad jaayenga kisi ka kaam hi ban jaayega. Khali hath aaya tha khali hath jaayega. Shukr kar us Rabbul izzat ka jisnai Teri mout kai  waqt tujhai kafan ata farmaaya. Or teri paidaish Kai waqt teri maa ki godd Or uskai seenai mai teray liyai doodh utaara. wo bhohot hi gafurrurraheem hai. Or ham log bhohot hi nafarman Or zalim hai...

Duniya chaar din ki chandini Or akhrat hamaisha ka ghar. ((Kisi kai kaam aa jaayega tera kya bigad jaayega kisi ki Duwa sai tera akhrat mai ghar ban jaayega))...

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk

Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk 


Welcome to Musalmaan gharaano mai yateem kai sath husnay suluk



Hazrat jabir raziallahutaala aanho nai Nabi Huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam sai daryafat kiya. ya rasullala. mai apnai zair nigraani yateem KO kis surat mai maar sakta hoon? irshaad farmaaya. Jis bina par tum apnai bacchai KO saza daitai no. usi bina par usai bhi saza dai saktai ho... 


Laiken tum aisa na karna kai tum uskai maal kai bal bootai par apna maal bachanai ki koshish karo.  or na uskai maal mai sai kuch samaitnai or jama karnai ki koshish karna... 


Yai hadees wazaa andaaz mai batati hai. Kai musalmaan gharano mai yateem kai sath husnay suluk ka kya matlab hai. Khuwa wo yateem apna Rishtaidaar ho ya koi ghair or ajnabi ho. Yateem ki nigraani or tarbiyat isi tawajjai; Shafqat or dard mandi kai sath ki jaaye... 


Jis tarha apnai bacchai ki tarbiyat or nigraani ki jaati hai. or uskai maal wa jaaydaaad ki usi tarha hifazat ki jaaye. Jis tarha apnai maal ki hifazat ki jaati hai. Yai nhi kai yateem kai maal kai bal bootai par apnai maal ko bachanai or mehfooz rakhnai ki koshish ki jaaye... 


Yateem ki kifalat or husnay suluk ki targheeb daitai huwai Nabi Huzur hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai uska wo ajar or sila bataya hai. Jo aik momin ki sabsai badi tamanna ho sakti hai. Yani jannat mai Nabi Huzur sallallahualyhiwasallam kai sath rehnai ki saaadat. Aap Huzur sallallahualyhiwasallam nai irshaad farmaaya... 


Jo shakhs apnai ya kisi or kai yateem ki kifaalat kraiga. Wo jannat mai meray sath iss tarha rahaiga.  Aap Huzur Hazrat Muhammad sallallahualyhiwasallam nai kalmai ki ungli or beech ki ungli sai isharah farmaaya or Dono kai darmiyaan zara saa fasla rakha... 

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...