आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Teen naikiya' Teen silay

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Teen naikiya' Teen silay

Teen  naikiya'  Teen  silay

 


Welcome to Teen  naikiya'  Teen  silay


Hazrat Abu umama raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai Rasulalla Huzur  sallalahualayhiwassalam nai irshaad farmaya. Logo kai sath husnay suluk buri mout sai bachata hai. Or chupa Kar diya janai wala sadqa Rab ki aatish gazab ko bujhata hai. Or Sila rahmi sai umar mai Barkat hoti hai. Yai mukhtasar  tareen hadees teen naikiyo ki talqeen karti hai...


  1. Yai kai aap khuda kai bando kai sath naik suluk krai.
  2. Yai kai aap posheeda tariqay sai rahay khuda mai kharach krai.
  3. Yai kai aap Rishtaidaaro Kai sath sila rahmi krai.


Or phir sath sath inn teeno naikiyo kai teen silay bhi bayan kiyai gaye hai. Khuda kai bando kai sath naik suluk karnai wala buri mout sai bachaiga. Posheeda tariqay sai sadqa khuda kai gussay sai bachaiga. Rishtaidaaro Kai sath sila rahmi sai umar mai Barkat hogi...



Inn teeno silo mai momin kai liyai ghair mamoli kashish Or jaazbiyat hai. Or inn ki khatir aadmi mai husnay amal kai liyai baipanah shoq Or josh paida ho sakta hai. Khuda kai Rasul huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai insaani nafsiyaat ki intaihaye hakeemaana riyaayat kartai huai inn naikiyo ki intaihaye kamyaab targheeb Dee. Or shoq wa jazbay ko ubharnay ka nihayat mousar andaaz ikhtayaar farmaya hai...


Bando kai sath naik suluk par youn too Quraan WA sunnat mai jagah jagah mukhtalif pehluow sai guftgu ki gaye hai. Laikeen yaha aik aisay pehlu ko ubhara gaya hai. Jiski talb mai momin intaihai harees hai. acchi Or buri mout hi par saara daromadar hai. Momin ki saari tagg WA dwa isiliyai hai. Kai wo acchi mout sai ham aaghosh ho. Or uska khatma imaan par ho...


Aakhrat ki saari naimatay Or khuda ki raza usi banday ko naseeb hogi. Jiska khatma imaan par ho. Or Rasulalla huzur sallalahualayhiwassalam ki bisharat yai hai kai. Husnay anjaam usi banday ka hissa hai. Jo bando kai sath naik suluk krai. Quraan paak mai bhi yai ishaara nihayat imaan afroz andaaz mai moujood hai...


No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...