आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : istaikharah ka hukum

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

istaikharah ka hukum

istaikharah  ka  hukum


Welcome to istaikharah  ka  hukum


 Istaikharah kai maynai hai. ((Khair chahana)) istaikharah ka matlab yai hai. Kai aadmi khuda sai khair or bhalaye chahanai kai liyai wo amal krai. Jis ki nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai ummat ko tasleem di hai. Baaz ouqaat aadmi kisi kaam ko chodnai ya na karnai mai mutaraddid hota hai. Or usko shrah Sadr nhi hota kai. wo kya rawayya ikhtayaar krai...


Khair Or bhalaye us kaam ko ikhtaiyaar karnai mai hai. Ya chod dainai mai hai. aisay tamaam aihaim amur mai nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai taakeed farmaaye hai. Kai istaikharah kiya jaye. Istaikharah darasal khuda taala sai mashwara talb karna hai. Aadmi khuda sai yai duwa karta hai. Kai parwardeegaar...


Mai apni kam ilmi Or kotah nazri kai baais samajh nhi paa rha hoon. Kai paish aamdah maamlai mai mairay liyai khair ka pehlu konsa hai. Parwardeegaar too khoob jaanta hai. Kai meray liyai khair or bhalaye kis pehlu mai hai. Parwardeegaar. Meray qalb ko usi tarha maaeeil farma dai. Jismai khair or bhalaye ho...


Nikah or shaadi ka masla ho ya kaarowbaar ka, mulazmat chodnai ya ikhtaiyaar karnai ki baat ho. Ya mulazim na rakhnai ka maamla ho. Ya kisi safar par janai ki baat ho. Gharz Jo maamla bhi darpaish ho. Agar aadmi ko usmai taraddod ho or us par khair ka pehlu wazai na ho too wo istaikharah krai. Or phir jis taraf uskai qalb ka milaan ho. Usko qazai ilahi samajh kar itminaan kai sath ikhtaiyaar kar lai...


Hazrat abu ayyub ansari raziallahutaala sai manqool hai. Unhai nabi huzur sallallahualayhiwasallam nai shaadi kai liyai istaikharah ka hukum diya tha. Hazrat shaikhul islaam allama ibnai taimya farmaya kartai thai. Wo shakhs kabhi pasheemaan Or sharmindah nhi hota Jo har maamlai mai khaliq sai istaikharah Kar laita hai. Or insaano sai mashwara lai laita hai. Or phir apnai faislay par jam jata hai...


Hazrat saad ibnai Abi waqqas raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam nai irshaad farmaya. Khuda sai istaikharah karna oulaadai aadam ki saaadat hai. Or qazai ilahi par raazi ho jana bhi oulaadai aadam ki khush naseebi hai. Or oulaadai aadam ki badbakhti yai hai kai wo Khuda sai istaikharah na krai. Or khuda kai faislay par naakush ho...


Hazrat jabir raziallahutaala anho ka bayan hai. Kai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallallahualayhiwasallam jis tarha hamai Quraan ki taaleem daitai thai. Usi tarha istaikharah karnai ki taaleem bhi daitai thai. Aap huzur sallallahualayhiwasallam farmatai thai. Jab tum mai sai koi kisi aihaim maamlai mai mutaraddid ho too wo ((Do Rakaat Namaz padhkar istaikharah ki DUWA padhai))....

No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...