आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : islaami aadab

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

islaami aadab

islaami aadab




welcome to  islaami   aadab


Hazrat abu zar raziallahutaala sai riwayat hai. Kai unhonai kaha mujhai nabi huzur hazrat Muhammad mustufa sallalahualayhiwassalam nai teen batoon ki hidayat farmaye. Khuda sai dartai raho. Jaha kahi Or jis haal mai ho. Or gunaho kai baad naiky kar liya kro kyunki naiky usay mita dai gee. Or logo Kai sath husnai ikhlaq ka bartaou kro...


Iss hadees mai nabi huzur sallalahualayhiwassalam nai nihayat ikhtaisaar kai sath teen batoon ki hidayat farmaye hai. Magar teeno batain iss qadar jama hai. Kai puri zindigi par havi hai...

  1. Har Hal mai khuda ka taqwa.
  2. Gunah kai baad naiky ka ahtmaam.
  3. Bandaganai khuda kai sath husnay suluk...


Islah WA tarbiyat kai nuqta nazar sai yai tariqa intaihai nafsyati Or hakimaana na hai. Kai chand mutaayyen Or maqsoos batoon ko paishai nazar rakh kar khaas ahtmaam Kai sath un par amal karnai ki koshish ki jaye. Paheali hidayat yai hai. Kai aadmi har haal mai khuda ka taqwa ikhtaiyaar krai...



Aadmi jaha kahi ho. Jis haal mai ho. Jis zamanay mai ho. Majlis mai ho ya tanhaaye mai. Raat ki tareeki mai ho ya din ki roshni mai. Aqwanai shabab kai ayyaam ho ya budhapay ka aalim. Halat khushgawar ho ya sakht Or sangeen, marz ki kaifeeyat ho ya saihat wa tandrusti ka dowr. Nadaani ya ho khushhaali. Nfa ka maamla ho ya nuqsaan ka. Zaati maamla ho ijtaimaye... 


Kisi sai judna ho ya kudna. Apna Haq laina ho. Ya dusray ka Haq daina. Badai sai maamlay ho ya chotay sai.  Gharz wo jis dowr mai ho. Jis haal mai ho. Jis muqam par ho. Jis hasiyat mai ho. Khuda ka taqwa ikhtaiyaar krai. Or jo kuch krai khuda sai dartai huai krai..






No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...