आज की डील: Yash Gallery महिलाओं के लिए रेयॉन जियोमेट्रिक प्रिंट कढ़ाई अनारकली कुर्ता (काला) https://amzn.eu/d/fpPbN1b DUNiYA OR AKHRAT : Neend kai faidai Or nuqsaanaat

Popular Posts

Saturday, August 19, 2023

Neend kai faidai Or nuqsaanaat

Neend kai faidai Or nuqsaanaat



Welcome to Neend kai faidai Or nuqsaanaat




Hamain maloom hona chaiyai kai. Jismani elajo mai aik musar elaj neend yani sona hai. Chanancha Haq taala Rabbul izzat nai apnai kalamai paak mai irshad farmaya hai. Kai Allaha taala aisa hai.kai tumharai liyai Raat ko muqarrar kiya takai tum aaraam kro. Or tamam din ki thakaan jati rahai. Or tandrusti qayam rahai. Takai Haq taala ki ibadat mai mashghool rah sako...


Jalinoos nai kaha hai. Kai jis kisi ko khana or pait ka maida tahleel karna ho. Too usko chaiyai kai wo neend hasil krai. Laikeen sonai mai bhi aitdal rakhna zaruri hai. Kyunki ziyada sonai sai aadmi kamzor or sust ho jata hai. Or qayamat kai din aisa aadmi mufliso kai sath uthaya jayenga. 


Hazrat sulaimaan alayhisalam kai walid nai Hazrat sulaimaan alayhisalam ko nasihat ki kai. Aey ladkai too ziyada na soya kar kyunki ziyada sona qayamat kai din muflis karkai uthanai ka sabab hoga. Olma nai likha hai kai chaar waqt sona nhi chaiyai.  (Subh) ko, (Chasht) kai waqt (zuhar) kai baad (Maghrib) kai baad. Sheikh alraiees nai likha hai. Kai subh ka sona jism ko kamzor or hawaas ko praganda karta hai. Magar aieen dophar kai waqt khanai kai baad sona jisko qaylola kehtai hai. Yai masnoon hai. Or iskai bhout sai faydai hai. MaslDimagh quvvi hota hai. Aqal taiz hoti hai...

No comments:

Post a Comment

Thank you for comment

Duniya or akhrat

Matlabi Log

  प्रस्तावना : हमारी दुनिया में विभिन्न प्रकार के लोग रहते हैं, और उनमें से कुछ 'मतलबी' कहलाते हैं। 'मतलबी' शब्द का प्रयोग उ...